रविवार, 24 फ़रवरी 2013

khak khud paan,o choomti hai janab.


main use dhoondhta raha hun aur ..
.wo mujhe dhoondhti rahi hai janab..

 main to nikla hun janib-e-manzil ...
khak khud paan,o choomti hai janab.

takh gaye log so gayi,n aankhen .
..bazm veeran ho gayi hai janab..

mere ghar tak to aai thi lekin .
.maut bahar hi ruk gayi hai janab..

khoon peete hain aaj ke bachche .
.ye shikayat to aapki hai janab..

aap kahte rahe,n ghazal ke sher
.. maine to fasl kat di hai janab ..

roz kahta hun main naye ashaar ........
..bhook ummeed se badi hai janab..

kis tarah se bujhaun main isko..
aag seene me jo lagi hai janab..

jagne ka sabab bhi hai ayuob ___
ya yunhi neend ud gayi hai janab..

roz hota hai raushni ka raqs .
.phir bhi gulshan me teergihai janab..

bhook ne cheen li hai beenai ..
 fikr -e-uqba to kho gayi hai janab....

YE JAGAH SIRF AAPKI HAI JANAB .



AUR KOI NAHI,N MIRE DIL ME _
YE JAGAH SIRF AAPKI HAI JANAB .

GHAUR SE DEEKHIYE TO KHUL JAYE ..
ZINDGI BHI TO SHAYRI HAI JANAB.

BUJH GAYI AANKH MAR GAYE SAPNE .
. SANS TO JAISE DHAUNKNI HAI JANAB.

AAP TAK HI NAHI,N HUN MAIN MAHDOOD.
. MERI DUNIYA BAHUT BADI HAI JANAB...

KHEEM-YE-GUL ME CHAIN SE RAHIYE .
.DHOOP AANKHOO,N ME BHAR GAYI HAI JANAB....

CHND BAUNOO KE ZEHN ME AB TAK.
. GUMRAHI RAQS KAR RAHI HAI JANAB.....

HAR MUNAFIQ LAGA HAI GHEEBAT ME .
. PHIR BHI QEEMAT KAHAN GHATI HAI JANAB ....


MAIN TO APNI JAGAH PA HUN MAUJOOD .

. AUR DUNIYA TO GHOOMTI HAI JANAB

 SANS CHALTI RAHI MIRE JAB TAK . 
ZINDGI MAUT SE LADI HAI JANAB..

DAAD KI BHEEK MANGTE RAHIYE .
SHAYRI DOOR HO GAYI HAI JANAB..

 AAG RAHTI HAI MERE LAHJE ME_____
_YE HAQEEQAT KHULI HUI HAI JANAB

DILLAGI MAIN KABHI NAHIN KARTA ,,
ZINDGI SE YE SEEKH LI HAI JANAB..

MUJH KO CHHOO KAR JHULAS UTHEGA TU.
.AAG MAINE BHI AAJ PI HAI JANAB..

AAINA DEEKH KAR KAHA HOTA ..
TERI DUNIYA BAHUT BURI HAI JANAB

DEEKH LETI HAI JAB KABHI WAHSHAT 
..DASHT ME JA KE CHEEKHTI HAI JANAB.

MERA DUSHMAN KHADA HAI BHAUNCHAKKA.
..JEET HATHOO,N SE CHEEN LI HAI JANAB..

ZINDGI JISKO AAP KAHTE HAI,N .
MUJHSE MILKAR UDAS SI HAI JANAB..

JEET KA JZASHN KYUN NAHI,N HOTA --
FATEH KE BAD KHAMUSHI HAI JANAB.

 USKI AANKHOO,N SE RAKH SAPNO KI___
 TEEZ AANDHI ME UD RAHI HAI JANAB.

RAET ME AUR SABZA-YE UMMEED _
_AAJ TO AAPNEBHI PI HAI JANAB ..


MERA GHAR JAL GAYA FASADOO,N ME .
.DOOSTOO,N KO KUSHI MILI HAI JANAB

MUJHME PAHLE SI TAZGI HAI JANAB ..
AAPKI AANKH ME KAMI HAI JANAB..

KOI GHAYAL ZUROOR NIKLA HAI ..
KHOO,N SE LATPATH MIRI GALI HAI JANAB

BHOOK SE JISM PAD GAYA KALA ..
MAUT AANKHOO,N ME NACHTI HAI JANAB

MERE AJDAD KI SHARAFAT HI .
.RASTA ROOKTI RAHI HAI JANAB ..

 MUJHSE MILNE KOI NAHIN AATA ..
IS SHIKYAT ME DILLAGI HAI JANAB..

JA RAHA THA MAIN JANIB-E-MANZIL ..
 DHOOP THANDAK SI DE GAYI HAI JANAB..


USKI AANKHOO,N KI KHAMUSHI MERA 
..RASTA ROOKTI RAHI HAI JANAB..

 MAINE CHAHA NAHIN USE LEKIN ..
.WO MUJHE CHAHTI RAHI HAI JANAB..

MAIN AKELA BACHA HUN MAHFIL ME .
.AUR BAHUT RAT HO GAYI HAI JANAB..

KOI AATA NAHIN MIRE NAZDEEK ...
.KYA YE TANHAI CHEEKHTI HAI JANAB

 KITNI LAASHEN UTHAUN KHWABOO,N KI ....
 EK INME SE ADHJALI HAI JANAB..

MERI AANKHOO,N ME HAI MIRI MANZIL ..
 DHOOP ME BHI TO NAGHMAGI HAI JANAB..

KISKO ILZAM-E-BEWAFAI DUN .
.YE MIRE APNI ZINDGI HAI JANAB.

 SAB ANASIR KA KHAIL HAI JISME ---
EK QINDEEL JAL RAHI HAI JANAB..

AAJ INSANIYAT TO BHARAT ME .
.APNE SEENE KO PEETTI HAI JANAB..

WO PILATA NAHIN MUJHE MAINE .
.USSE KHUD BADH KE CHEEN LI HAI JANA

HAQPARASTOO,N KA QATL HONE SE .
...HAMME IMAA,N KI TAZGI HAI JANAB..

MUSFLISI SHAHER KE AMEEROO,N SE .
.MERA HI NAM pOOCHTI HAI JANAB


रविवार, 17 फ़रवरी 2013

TU BARHNA HO CHUKA HAI TUJHKO ANDAZA NAHIN..




KHOON-E-ARMAA,N HAI TIRE CHEHRE PA YE GHAZA NAHI,N 
TU BARHNA HO CHUKA HAI TUJHKO ANDAZA NAHIN....

PYAS KI SHIDDAT KO JISNE AAJ TAK PARKHA NAHIN
.. DAR HAQEEQAT KARBALA KO WO ABHI SAMJHA NAHIN

DIL ME RAHANA HAI TO AANKHOO,N KI NADI ME BHI UTAR .
 DOSRA IS GHAR ME KOI AUR DARWAZA NAHIN ..

MUFLISI NE CHEEN LI HAI ZINDA RAHNE KI ADA .
 BHOOK KA TUMNE ABHI UNWAN TAK RAKHKHA NAHIN

 JUSTJU USKI HAME BHI HAI MAGAR USKE NAGAR
. JO GAYA WO AAJ TAK WAPAS KABHI AAYA NAHI,N..

APNE GHAR ME EK HI DIN KE LIYE DI THI PANAAH..
MUFLISI NE AAJ TAK TO GHAR MERA CHHOODA NAHI,N

DEEKHTA HAI WO TO MAIN BHI DEEKH LETA HUN USE
. USKI BHI AANKHEN HAN AUR MAIN BHI KOI ANDHA NAHIN


MAI FAQAT TANQEED KI KAI PE HUN THAHRA HUI .
 AUR DUNIYA NE KISI KO AAJ TAK DEEKHA NAHI,N ..

USKI KHUSHBOO HAI MIRE SEENE KE AATISHDAN ME.
DIL KE JAISA TO KHARA SONA KAHIN MILTA NAHIN

FIKR KA SHARA HAI JALTI RET JAISI ZINDGI
. DHOOP HAI THAHRI HUI AUR DOOR TAK SAYA NAHi,N..

 WO NAHIN HAI PHIR BHI USKI YAD HAI JALWA FIGAN
. DIL KI DEEWAROO,N SE USKA RANG TAK UTRA NAHI,N


KAB KISE JANNAT ATA KAR DEN KISI KO KYA PATA .
 BADSHAHOO,N KO FAQEERI KA KUCH ANDAZA NAHI,N ..

USKI AAHAT HAI NA APNE DIL DHADAKNE KI SADA .
 SOOCH KI ANDHI GALI ME KOI AAWAZA NAHI,N..


BALMEEKI SE KAHA THA UNKE KUL PARIWAR NE .
 HAM BHARENGE AAAPKE PAPOO,N KA KHMIYAZA NAHI,N.

JO MILA HAI USKA SHUKRAN ADA KARTE RAHO .
 YE N SOOCHOO TUM HAMRE PAS KYA HAI KYA NAHI,N..

YUN TO DUNIYA PAR KIYE HAIN TABSRE LAKHOO,N MAGAR .
AAINE ME TOONE APNE AAP KO DEEKHA NAHI,N

PHAIK DI HAI AAJ PHIR SOORAJ NE YE KOHRE KI SHAAL
. TEERGI KA DOOR TAK NAMO_NISHAA,N MILTA NAHI,N..


HAN BAHUT SE LOG JO SHAYR BHI ACHCHE THE MAGAR .
 DEEKHIYE TO AAJ WO TAREEKH KA HISSA NAHI,N ..


 MAIN BHI AANSU KI TARAH GHAR SE NIKAL AAYA TO PHIR.
 APNE GHAR KI SAMT MAIN WAPAS KABHI LAUTA NAHI,N ..

TU TO SONA HAI MIRI JAA,N ISHQ TERA LAZAWAAL.
YE SABAB HAI MAINE TUJHKO AAJ TAK PARKHA NAHI,N

TU MIRI AANKHOOO,N ME MERE DIL ME HAI MERE AZEEZ.
 YE ALAG HAI MUHN SE APNE MAIN KABHI KAHTA NAI,N.

AJIZI TO THEEK HAI PAR BHEEK KYA MANGOUN MIYAN.
HAR KISI SE MANGANA BHI TO MIRA SHEWA NAHI,N..

 MAINE APNA KHOON PI KAR KAT DI HAI ZINDGI .
 HAN ABHI TAK JISM KO TO KAT KAR KHAYA NAHI,N..

TU MIRE MANZIL HAI TUJH TAK AA HI JAUNGA KABHI
. BAS ISI UMMEED PAR TO KHUD KO BHATKAYA NAHI,N..

JO TIRI TAREEF ME LIKHTA NAHIN KUCH BHI SIYA
. WO HAI DOOZAKH KA MUSAFIR RAM TAK PAHUNCHA NAHI,N.

ZAHER ME DOOBI HAI MERI SANS AB USKE BINA .
 MAINE DUNIYA KO TO DUNIYA NE MUJHE SAMJHA NAHI,N ..

TUJHKO KYA ILZAM DUN MUJHME HI HAIN LAKHOO,N KAMI.
APNE ANDAR BHI TO MAINE AAJ TAK JHANKA NAHI,N..

 DHOOP NE CHEHRE SE MERE NOOCH LI HAI TAZGI ..
 HAN MAGAR YE HAUSLA HAI JO ABHI TOOTA NAHI,N.

 AABLOO,N SE TO MUJHE MILNE LAGA HAI AB SUKOON.
 RATA LEKIN MIRE EHSAS KO SAMJHA NAHI,N..

AAPKO MUJH PAR YAQEE,N AAYA NAHIN HAI AAJ TAK .
JAIYE AUR DEEKHIYE ISHRAT KADOO,N ME KYA NAHI,N.

TERE GHAM KO PI LIYA HOTOO,N KO APNE SI LIYA .
 ASHK BANKAR MAI,N TUMHARI AANKH SE NIKLA NAHI,N..


SAZISHEN KARNE KA USKO WAQT MILTA HAI ZUROOR .
HAN AGAR DUSHMAN HAMARI AANKH ME RAHTA NAHI,N..

JA RAHA THA HAQ KI KHATIR JANG KARNE KE LIYE .
 MAA,N NE KHUD TALWAR DI AUR RASTA ROOKA NAHI,N ..

JA RAHA THA HAQ KI KHATIR JANG KARNE KE LIYE .
MAA,N NE KHUD TALWAR DI AUR RASTA ROOKA NAHI,N


.SHAYRI KARTA HUN SANJAY SHAUQ APNE DAUR KI ..
 HAN YE SACH HAI PAS MERE MEER KA LAHJA NAHI,N




गुरुवार, 14 फ़रवरी 2013

LIKH DIYA AAJ MARSIYA DIL KA ..


MERE ASHKOO,N NE MERE CHEHRE PAR .
 LIKH DIYA AAJ MARSIYA DIL KA ..

MERI AANKHE,N BHI KHUSK HAI,N AB TO 
BHAR GAYA ZAKHM THA HARA DIL KA ..

TERE CHEHRE PA AAJ HI MAINE .
 PADH LIYA JO BAYAN THA DIL KA ..

WO N AAYENGE AAJ PHIR SHYAD . 
YE BHI WAHM-O-GUMAN THA DIL KA ..

 UN SE NAZRE,N MILE,N ARE TAUBA .
 KHUL GAYA PHIR MUAMLA DIL KA .

GHAUR SE DEEKH KAR TIRA CHEHAR . 
KHAT BHI AANKHOO,N SE PADH LIYA DIL KA..

UN CHARAGOO,N ME RAUSHNI KYA HO--
-KHOON JINME NAHI,N BHARA DIL KA..

AAJ THOOKAR LAGI KHULI AANHKE,N...
 MAIN KAHAN TALTA RAH DIL KA .

SARE JHGDE TAMAM KARNA HAI_-
-BHOOL JA SAB KAHAN SUNA DIL KA..

AAJ PHIR USNE PHAEER LI AANKHE,N . 
AAJ PHIR SHAHER JAL GAYA DIL KA..

 USNE AANKHE,N JO MOOND LI,N TO MAI,N.
 RASTA DHOODHTA RAHA DIL KA .

 USNE DIL SE MUJHE NIKALA TO___
GHAT GAYA USKE MARTBA DIL KA

KAT DE MERA RASTA BILLI___
LUT GYA SHAHER KAL JO THA DIL KA


DIL NAHI,N HAI TO PHIR HAI KYA DIL KA 
.. RABTE SE HAI RABTA DIL KA..

USKE GHAM ME LIKHE BAHUT ASHAAR .
 QARZ HOTA NAHI,N ADA DIL KA ..

HIJR KA GHAM BHI GHAM NAHIN HAI AB. 
DARD SANGEET BAN GAYA DIL KA ..

USKE ANDAR BHI HAI KHUDA MAUJOOD.
 DIL ME RAHTA HAI KHAUF SA DIL KA ..

chand sher

SHAYRI KYA WAFA KARE TUMSE .
TUMNE LAFZOO,N SE BE-WAFAI KI.....


ZAHIRI HUSN DEEKNE WALE .
JHAANK LE ANDROON ME PAHLE ..

BAHAR NIKAL GAYE HAI,N SABHI JISM-O-JAA,N SE LOG ..

DUNIYA KE KARKHANE KE SOOD-O-ZIYA,N SE LOG ..
BAHAR NIKAL GAYE HAI,N SABHI JISM-O-JAA,N SE LOG ..

KAISE MUHABATOO,N SE BITANA HAI ZINDGI .
YE SEEKHTE RAHE HAI,N FAQAT APNI MAA,N SE LOG ..

HOTI HAI SHAHER-E-ISHQ ME AANKHOO,N SE GUFTGU.
LETE NAHI,N HAI,N KAM YAHA,N PAR ZABAA,N SE LOG ..

KHALWAT ME USKI YAAD HI RAHTI HAI MERE SATH .
JISKI AMA,N ME RAHTE HAI,N SARE JAHA,N SE LOG ..

QAYAD PA APNE INKO BHAROOSA NAHI,N RAHA .
DARTE HAI,N RAHNUMAOO,N KE DAST-E-AMA,N SE LOG ..

TABDEEL-YE-MIZAJ-E-NAFAS DEEKHIYE JANAB .
EMAAN LE KE AAYE HAI,N SHAHER-E-BUTA,N SE LOG ..

SHAYAD NIZAM-E-DAHER ISI SE BIGAD GAYA .
KAB JAGTE HAI,N SUBAH KI PAHLI AZA,N SE LOG ..

IS SHAHER ME TO ZULM HI SAHTE HAI,N ROZ-O-SHAB.
KAHTE NAHI,N HAI,N KUCH BHI KABHI BHI ZABA,N SE LOG ..

DUNIYA KI JUSTJU ME PHANSE HAI,N N JANE KYUN .
BAHAR TO JAYENGE HI BADAN KE MAKA,N SE LOG ..

ITNA ZUMOOD FIKR PA TARI HUA HAI SHAUQ .
THAHRE HUYE HAI,N KHAUF SE AAB-E RAWA,N SE LOG ..

BE-HIJZBI HIJZAAB KAUN KARE ..

MUFLISI PAR NAQAAB KAUN KARE ..
BE-HIJZBI HIJZAAB KAUN KARE ..

MAI,N TO KUCH YAD HI NAHI,N RAKHTA.
MUJHSE AAKHIR HISAB KAUN KARE ..

SHAHER ME WO NAHI,N TO KYA DEEKHUN .
APNI AANKHE,N KHARAB KAUN KARE ..

ZABT KARNA MUJHE NAHI,N AATA .
AANSUOO,N KO SHARAB KAUN KARE ..

JABKI HARSOO HAI RAQS-E-URIYANI.
PHIR BATAOO HIJAB KAUN KARE ..

KHOO,N UGALNE LAGA HAI HAR MANZAR .
SHAYARI AB JANAB KAUN KARE ..

JISKI FITRAT HAI MUSTAQIL DHOOKA .
PHIR USKE HAM RAQAAB KAUN KARE ..

TERE CHEHRE PA MAKR HAI USKO .
PADHNE WALI KITAB KAUN KARE ..

WO N CHAHE TO AI JANAB -E-SHAUQ .
ASHK KO AAFTAB KAUN KARE ..

रविवार, 10 फ़रवरी 2013

MERA QAD MERE MUKHALIF SE GHATAYA NA GAYA ..

ILM KA WAZN KISI SE BHI UTHAYA NA GAYA ..
MERA QAD MERE MUKHALIF SE GHATAYA NA GAYA ..

ASMATE,N LUT TI HUI DEEKH KE BHI SAB CHUP THE .
AI QALAMKAROO,N QALAM TUMSE TUTHAYA NA GAYA ..

TUMNE DAULAT KE EWAZ BEENCH DIYA APNA ZAMEER.
TUMSE ALFAZ KO BAROOD BANAYA NA GAYA ..

GHEER KE BAITHA HAI VEERAN HAWAOO,N KA TILISM.
GHAR ME TANHAI KO BAHAR SE BULAYA NA GAYA ..

FIKR KI CHHAOO,N ME SOOYE HAI,N KAI SADIYOO,N SE .
DHOOP SE BHI TO KABHI HAMKO JAGAYA NA GAYA ..

SIRF IK PHOOL KO TODA THA KABHI DALI SE .
HAMSE IS JURM KA HI BOOJH UTHAYA NA GAYA ..

MANZILE,N PAOO,N KE CHHALOO,N SE LIPAT KA ROOYE,N.
YE WO MANZAR HAI JO TASVEER BANAYA NA GAYA ..

RAUSHNAI KO BIKHEERA THA ADOO NE QASDAN .
NOOR LAFZOO,N KI CHAMAK KA JO BUJHAYA NA GAYA ..

KUCH KISI SE CHUPA N PAOOGE --- HAAL CHEHRE PA HAI LIKHA DIL KA


ISHQ KARNE KA SHAUQ THA TUJHKO ___
AB YE BAR-E-GARA, UTHA DIL KA-

KUCH KISI SE CHUPA N PAOOGE ---
HAAL CHEHRE PA HAI LIKHA DIL KA

UNKI RAHOO,N ME DIL BICHAYA THA ___
KHOON PAIROO,N ME LAG GAYA DIL KA

 DARD AANKHOO,N ME RAQS KARTA HAI .
 KARWA,N RAH ME LUTA DIL KA

IK ZARA THEES MAT LAGA DENA ___
PHOOT JAYEGA AABLA DIL KA .

USKI YADOO,N KE SATH JEETA HUN ....
ZAKHM RAKHKHA HARA BHARA DIL KA

USNE JAB MUJHSE HAL-E-DIL POOCHA ....
ZAKHM PHIR AUR KUCH KHILA DIL KA ..

USNE JAB MUJHSE PHEER LE NAZRE,N ______
PHOOL MURJHA KE RAH GAYA DIL KA ..

MERE SEENE PA NAQSH HAI TERE ..............
.AANSUOO,N SE LIKHA HUA DIL KA..

 IK NAZAR USKO DEEKHNE KE BAD ...........
DHOONDHTA RAH GAYA PATA DIL KA..

TUM BHI CHAHOO TO RAUSHNI LE LO ..
JAL RAHA HAI ABHI DIYA DIL KA

MERA DIL LOOT KAR AKELE ME ..
MUSKURATA RAHA KHUDA DIL KA...

USKI AANKHE,N TO BOLTI,N MUJHSE ..
KASH KHULTA TO MUDDUA DIL KA

AAJ BHI TO QAYAM HAI USKA .
..DIL ME RAHTA HAI DEWTA DIL KA ..

CHAAVO'N KI AARZOO RAHI LEKIN .
. DHOOP ME SHAHER JAL UTHA DIL KA..

 KOI AB TAK N ISME AA PAYA ..
KITNA MUSHKIL HAI RASTA DIL KA ..
..