रविवार, 21 अप्रैल 2013

RUBAI ...aur kuch sher


ISHQ KE KHAIL ME HOTA HAI KHASARA SAHIB .
HAR KO JEET BATATE HO YE KYA KARTE HO ..
MAKHKHIYAA,N ISPA HAWAS KI N KAHI,N AA BAITHE,N.
ZAKHM-E-DIL APNA DIKHATE HO YE KYA KARTE HO..


.....................................................................................


.BADLI HAI ZAMANE KI KAHANI HAMNE --
CHOODI N RAVISH APNI PURANI HAMNE --
BHAGWAN PA PHAL -PHOOL CHADHATE HI RAHE_
BHAGWAN KI IK BAT N MANI HAMNE...........

.................................................................

EK RUBAI 

SAQI KI NAZAR TOOL KE PI LETA HUN..
CHUP RAHTA NAHI,N BOOL KE PI LETA HUN..
HO JATI HAI JAB KHTM MAYE-LALAFAAM.
PANI ME LAHU GHOOL KE PI LETA HUN ..

..................................................................

JISE SAB ISHQ KAHTE HAI,N MIRE SEENE ME RAHTA HAI ..
KI SADIYOO,N SE YE IK PATHTHAR ISI KABE ME RAHTA HAI .

...................................................................................

JABKI HARSOO HAI RAQS-E-URIYANI.
PHIR BATAOO HIJAB KAUN KARE ..

.................................................................

IK ROZ MIRE FIKR ME TAFSEEL SE NIKLO..

TAHREER KI ULJHI HUI TAMSEEL SE NIKLO..

.........................................................

YE INQLAB-E-ZAMANA NAHI,N TO PHIR KYA HAI.
MUJHE PADHATI HAI BACHCHI MIRI PADHAI HUI..

........................................................................

SHAYRI KYA WAFA KARE TUMSE .
TUMNE LAFZOO,N SE BE-WAFAI KI..

.............................................................


FAREEBKARI ZUROORI HAI JEETNE KE LIYE .
SHIKASHT-E-FASH HUI TAB MUJHE KHAYAL AAYA..

............................................................................


MAI,N TUMAHARA HUN TO TUMKO BHI YE HAQ HASIL HAI.
TUM MUJHE TOD KE JA SAKTE HO DARPAN KI TARAH ..

..................................................................................

TOOT JATI HAI... HASRAT-E-TAMEER ,
JAB...KISI KA MAZAAR DEEKHTE HAI.N !
________________________________ - Sanjay Shauq.

PADH RAHA HUN TUMHARE CHEHRE KO .
MUFLISI ME KOI KITAB KAHAN ..

.......................................................

TALKHI MIRE ZABAAN PA JAMTI NAHI,N KABHI .
PEETA HUN ROZ NEEM KI PATTI NICHOOD KE..
..................................................................

HAZAR DARD MILE MUJHKO ZINDGI KE LIYE ..
MAGAR MAI,N HAR KE BAITHA NAHI,N KISI KE LIYE..

...................................................................................




AB MIRI RAT HI NAHI,N HOTI ..


AAG DIL ME LAGI NAHI,N HOTI ..
PHIR KAHI,N RAUSHNI NAHI,N HOTI ..

ITNA JAGA HUN TERI FURQAT ME .
AB MIRI RAT HI NAHI,N HOTI ..

MUFLISI KO SUKOON HAI WARNA .
MERE GHAR ME PADI NAHI,N HOTI ....

ILM KI BHOOK MUJHME HAI KITNI.
KUCH BHI KAR LUN KAMI NAHI,N HOTI ..

DHOOP MUJHKO JALA HI DETI GAR.
BADLOO,N SE DHAKI NAHI,N HOTI ..

BAIL NAFRAT KI CHAHE JAISE HO.
DOSTI SE BADI NAHI,N HOTI ..

SAB QANAAT KA KHAIL HAI WARNA.
MUJHME YE AAGHI NAHI,N HOTI ..

TUM BHI AATE NAZAR JO AANKHOO,N ME.
ITNI KAI JAMI NAHI,N HOTI ..

IS SHARAFAT KO CHOOD DO SANJAY .
YE KISI KAM KI NAHI ,N HOTI ..

DARIYA N JANE KITNE BHANWAR LE KE AA GAYA ..

TOOFAA,N ME MUJHKO SHAUQ-E-SAFAR LE KE AA GAYA ..
DARIYA N JANE KITNE BHANWAR LE KE AA GAYA ..

KAM TO NAHI,N HUI HAI,N MIRI SAR BALANDIYAA,N .
QATIL ZAROOR NAIZE PA SAR LE KE AA GAYA ..

BAHRE -TAFAKURAAT ME GHOOTE LAGA KE MAI,N.
TAKHEEL KE TAMAM GUHAR LE KE AA GAYA ..

BAHAR NIKAL GAYI HAI,N LAHU SE UDASIYAA,N .
UNKI NAZAR SE APNI NAZAR LE KE AA GAYA ..

KASHKOOL LE KE BAITH GAYI THI,N SHARAFTE,N.
BAZAAR SE UNHE,N KOI GHARLE KE AA GAYA ..

SAB TAIRAAN-E-SHAHER-E-ADAB SOOCHTE RAHE .
AUR MAI,N TIRE KHAYAL KE PARLE KE AA GAYA ..

TANHAIYOO,N KE RAQS ME AANE LAGI KAMI .
JAB MAI,N KISI YATEEM KO GHAR LE KE AA GAYA ..

SHAB KHOON MARNE KI ZAROORAT NAHI,N PADI .
DUSHMAN KO KHUD PANAAH ME DAR LE KE AA GAYA ..

SOOKE HUYE DARKHTOO,N PA AANE LAGI BAHAR .
MAUSAM YE AAJ KISKI KHABAR LE KE AA GAYA ..

GUM HO GAYA THA SHAUQ KISI KE KHYAL ME.
PHIR USKE BAD APNI NAZAR LE KE AA GAYA ..

मंगलवार, 9 अप्रैल 2013

PAHUNCHA HUN KIS MAQAM PA ISKI KHABAR BHI HAI .

RAQS-E-JUNOON-E-ISHQ MIRA MOTBAR BHI HAI ..
PAHUNCHA HUN KIS MAQAM PA ISKI KHABAR BHI HAI ..

SAHERA KI KHAUFNAAK HAWAOO,N KA DAR BHI HAI..
NAQA-SAWAR KOI MUSAFIR IDHAR BHI HAI ..

ZANZEER JISNE DAL DI DUNIYA KE PAAOO,N ME .
WO AAMNA KA LAL BHI PAIGHAMBAR BHI HAI ..

DILLI ME JO HUA HAI WO BHOOLE NAHI,N HAI,N HAM.
INSAN JISKO KAHTE HAI,N WO JANWAR BHI HAI ..

LIKHKHI HAI AANSUOO,N NE JO DIL KI KITAB PAR .
WO HAR HADEES-E- ISHQ HADEES-E DIGAR BHI HAI ..

AANKHOO,N NE RAUSHANI ME JALAYE HAI,N ITNE KHWAB.
DEEKHO TO GHAUR SE KI DHUYE,N KA ASAR BHI HAI ..

KIS JA MAI,N LE KE JAUN YE BHEEGA HUA BADAN .
ASHKOO,N KI BARISHOO,N SE BADAN TAR BA TAR BHI HAI ..

TAHAIYOO,N KO ISHQ KA LOBAAN CHAIYE .
YADE,N HAI,N JINME KOI SHAREEK-E-SAFAR BHI HAI ..

AB UNSE APNE DIL KO MAI,N MANGU,N TO KIS TARAH.
KAB SE TAKALLUFAT KI BHATTI ME SAR BHI HAI ..

BASTI KO KAISE AAG LAGAU,N MIRE AZEEZ .
BASTI ME MERA APNA NAHI,N USKA GHAR BHI HAI ..

HAR CHAAK-E-DIL KO DIL SE RAFU KAR RAHA HUN MAI,N.
SADIYOO,N SE MUJHME IK YAHI KAR-E-HUNAR BHI HAI ..

HOTOO,N PA TO HANSI HAI MAGAR DIL NA DEEKHIYE .
AHBAB KE KHULOOD KE ZAKHMOO,N SE TAR BHI HAI ..

BAHAR SE DEEKHNE ME TO TOOTA NAHI,N HAI KUCH .
JHANKOO TO ANDROON ME RAQS-E-SHARAR BHI HAI ..

HAR LAHER KI RAWANI KO PADHTA HUN GHAUR SE .
AANKHE,N BHI MERE PAS HAI,N ZAUQ-E-NAZAR BHI HAI ..

AANKHOO,N ME AB N KEEJIYE MAHBOOB KI TALAASH .
SAHERA ME KOI NAQSH KAHI,N MOTBAR BHI HAI ..

BIKHRE HUYE HAI,N SHAHER ME JO AASTEE,N KE SANP.
SAZISH TO KAR RAHE HAI,N SAPEEROO,N KA DAR BHI HAI ..

SHAKHOO,N SE UD GAYE HAI,N PARINDE CHAHAR SAMT.
TANHAIYOO,N KI SHAAL ME LIPTA SHAJAR BHI HAI ..

LASHOO,N KA KAROBAR N KAR PAUNGA JANAB .
YE KAM WO HAI JO KI KHLAF-E-BASHAR BHI HAI ..

SOORAJ KI RAUSHNI ME TO KHO JAYEGA WAJOOD .
JUGNU KO DIN KE WAQT NIKLNE ME DAR BHI HAI ..

MUJHKO ZALEEL KARNE SE PAHLE YE SOOCH LE .
TERA AMEER-E-WAQT KE PAROO,N ME SAR BHI HAI ..

UQDA TO YE AMIM NE KHOOLA JANAB-E-SHAUQ .
JO NAM DIL PA NAQS HAI,N UNME ZAFAR BHI HAI ...