गुरुवार, 13 अगस्त 2015

kuch sher

qasr_e_shahi khafa hai phir ham par-
hamne in_aam jo liye hii nahi N

--------------------------------------------------

MAI,N BHII AUROO,N KII TARAH AADMI ACHCHA HUN MAGAR.
JAISA TU CHAHTA HAI KASH MAI,N WAISA HO JAUN ..
---------------------------------------------------------------------------------

NA JANAY LOOG IS DUNYA MEIN KESAY GHAR BANATAY HAIN
HAMARI ZINDGI TO KATT GAI, NAQSHA BANANAY MEIN>>>>>
NIHAYAT UMDA SHAIR,, PYARAY BHAI SANJAY SHUQ KAY
SHAIRI MAJMOOAY KA SR-WARAQ 
---------------------------------------------------------------------------

SOORAJ ZAROOR NIKLEGA APNE MAQAAM SE..
HAM LOOG CHAHE,N RAKH DEN KALEJA NIKALKAR..
-----------------------------------------------------------------------------

RAQSAA,N HAI,N GHUNCH-O-GUL JIS SAMT DEEKHIYE AB.
YE KAUN AA GAYA HAI URDU KII ANJUMAN ME..
-------------------------------------------------------------------------------

Naz n kar urooj par razm -gahe - hayat me.
wo bhii to zeer-e-khaak hai,n jinme bahut ghuroor tha..
-------------------------------------------------------------------------
Kis pari khaan-ye-gulgast me pahuncha hun ki ab.
aaaine me bhii thaherte nahi,n paikar apne..
--------------------------------------------------------------
Nazar ne tod diya jab hawaskade ka tilism.
phir apne aap se masroof-e-jang mai,n bhii hua
----------------------------------------------------------
..Ham se to andhdhe achche hai,n hamko to.
qadam qadam par zakhm diye beenai ne..
-----------------------------------------------------------------

TIRA KHAYAAL MIRE ZEHN SE NIKALTE HI .
PAHEN KE DEEKH HI LETA HAI PAIRAHAN MERA...
------------------------------------------------------------------------

YE ZAMI,N YUN HII AGAR LETI RAHII ANGDAIYAA,N.
IS ZAMI,N PAR BU-E-AADAM-ZAAD KAM PAD JAYEGI....


ghazal

MERI PALKOO,N KE PARINDOO,N KO UDAANE WALE..
DARD KI SHAAKH PA KUCH PHOOL HAI,N AANE WALE..
PAHLE BAS EK GHARANA THA ZAMI,N KE UPAR .
SAB GHARANE HAI,N USI EK GHARANE WALE..
YE BHII MUKIN HAI NAI KHAAK PAHEN KAR AAUN.
AAG KA GHUSL MUJHE AAJ KARNAE WALE ..
DASHT-E-IMKAA,N KI KISANI ME AKELE HAI,N HAM.
IN ZAMEENOO,N SE NAI FASL UGANE WALE ..
SHOOLGI BARSEGI EHSAAS KE VEEERANO PAR.
SURKH BADAL HAI,N MIRI FIKR PA CHANE WALE..
MUFLISI SHAAN SE RAHTI HAI MIRE AANGAN ME.
USKI HIJRAT KE KABHII DIN NAHI,N AANE WALE ..
HAM TIRI YAAD KE ZINDAA,N ME TANE-TANHA HAI,N.
GHAR KI TANHAI KO TE-ZAAB BANANE WALE ...
SARDMEHRI KA TO EHSAAS N HOGA UNKO .
DHOOP OODHE HAI,N ABHII CHHAUN ME JANE WALE.

ghazal

KYUN SHAHER KII TAHZEEB NE DAM TOOOD DIYA HAI..
YE SOOCH KE HAMNE BHII QALAM TOOOD DIYA HAI..
HAR SILSILA-YE-JAUR-O-SITAM TOOOD DIYA HAI..
JO NAQSH THA MEYAAR SE KAMTOOOD DIYA HAI..
AANA HAI TO AA JAOO KI AB RUT HAI SUHAANI -
TAROO,N NE TILISM-E-SHAB-E-GHAMTOOOD DIYA HAI..
IKPYASE MUSAFIR NE TIRE SHAHER ME AAKAR .
MAIKHANE KE DARWAAZE PA DAM TOOOD DIYA HAI..
SABIT N HUA JURM TO MUNSIF NE BIL AAKHIR.
MUJRIM KO SAZA DE KE QALAM TOOOD DIYA HAI..

MANZIL

Dhoop
hamre sar par thahri hai muddat se
isi sabab se dhoop me chalna
aadat me shamil hai apni
dhoop kii shiddat chhao,n me bhii
zinda rahti hai
jeevan se
shikwa karna aasaan hai lekin
jeevan se ladna aasaan nahi,n hai jaanaa,n
lekin azm-e-muhkam ho to
manzil khud chal kar aati hai
raahi ka aalingan karne
aur-------------------dhoop ki sari shiddat
khud hi zaayal ho jati hai..

RUBAI

AANKOO,N KE DAREECHOO,N ME HAWA AATI HAI ..
QADMOO,N KE TALE APNI ANA AATI HAI ..
JAB AANKH ME MARTA HAI KOI KHWAAB MIRE.
KANOO,N ME SISAKNE KII SADA AATI HAI ..
آہوں کے دریچوں میں ہوا آتی ہے
قدموں کے تلے اپنی انا آتی ہے
جب آنکھ میں مرتا ہے کوئی خواب مرا
کانوں میں سسکنے کی صدا آئی ہے

------------------------------------------

Aakaash se girte huye tare tham jaye,n..
Bikhri hui dharti ke nazaare tham jaye,n..
khata hun mai,n bahte huye dariya ki qasam.
kashti koi doobe to kinare tham jaye,n ..

-----------------------------------------------------------
HAR NARGHA-YE-BATIL SE NIKALEGA MUJHE..
KHALIQ SE HAI UMMEED BACHALEGA MUJHE..
BAYYET SE MAI,N INKAAR KARUNGA TO YAZEED.
NAEEZE KII BALANDI PA UCHCHALEGA MUJHE...

-----------------------------------------------------------


मंगलवार, 21 अप्रैल 2015

EK NAZM----HASIL KA ANAND UTHAYE,N-

AAJ ACHANAK 
SOOCH RAHA HUN
JEEVAN KA HASIL HI KYA HAI
DUNIYA ME AANA AUR AAKAR ISE KAMANA
DAULAT AUR ASBAAB BANANA
LEKIN DUNIYA CHAND DINOO,N KA KHAIL HAI PYARE
PHIR HASIL SE KAISA MATLAB ?
HASIL KAB HOTA HAI KUCH BHII
SAB KUCH YAHI,N PADA RAHTA HAI
PHIR YE JHAGDE KYUN HOTE HAI.N ?
SAB KUCH HASIL KARNE KI BEJA CHAHAT ME
LOG ZINDGII KHO DETE HAI,N
MAHROOMI UNKA ZEWAR BANTI JATI HAI
AUR HOSH AATA HAI JAB TO
KOOCH KA DIN BHII AA JATA HAI
LEKIN KUCH TO AISE BHII HAI,N
JINKO HOSH NAHI,N AATA HAI
BEHOSHI ME ZINDA RAHKAR
BEHOSHI ME MAR JATE HAI,N
YE UQDA JAB KHULA HUA HAI
TO PHIR HAM BHII
AB ISSE FAYDA UTHAYE,N
NEKI KARE,N KAMAYE,N NEKI
HASIL KA ANAND UTHAYE,N-----

Nazm--

AAJ SUBH
PHIR BAGH ME DEEKHA
RANG-BIRANGE PHOOLOO,N KA AMBAAR LAGA THA
KHILE-ADH KHILE SAB PHOOLOO,N KO
DEEKH RAHE THE LOOG HAZAROO,N
KAHI,N--KAHI,N KUCH PHOOLOO,N PAR THI,N SAJI,N TITLIYA,N
HUSN SARAPA CHAMAK RAHA THA
AUR PHOOLOO,N KI MAHEK SE SABKE
ZEHN-O-DIL BHII
KHILE HUYE THE
INSANI JEEVAN BHII HAI PHOOLOO,N KE JAISA
PHOOLOO,N KO BAS EK TABASSUM
UNKE JEEVAN KA HASIL HAI
INSAA,N KO YE EK TABASSUM
KITNI MUSHKIL SE MILTA HAI
SOOCH RAHA HUN-----
BAGH KE BAHER
MURJHAYE PHOOLOO,N KA BHII AMBAAR LAGA HAI
HUSN KE MIT JANE KA JISE MARSIYA KAHIYE
LEKIN YE TO LAAZIM THARA
SABKA WAQT MUTAYYAN HAI TO
KAISI CHINTA ?
JEEVAN KO LAMBA KARNE SE BEHTAR HAI KII
KHILE RAHE,N HAM
US MUSAKAN KO ZINDA RAKHKHE,N
JO IS JEEVAN KA HASIL HAI !
JO HASIL KARNA MUISHKIL HAI-----------------------

NAZM ----- MARKAZ

Ye meri fikr kii
raftar ko shikan de kar
ye kaun hai jo chala ja raha hai su-e-falak
ye rahguzar sa banata har ek manzil ko
sab aasmanoo,n pa apne qadam badhata hua
hayat-o-maut ke sangam ke geet gata hua
masaratoo,n ki qabaye,n hawaoo,n ne pahni,n
diloo,n ke bujhte diye
phir se ho gaye raushan
wo raushni hai ki zulmat shikasht khurda hai
tulooh hone lage hai,n naye naye imkaan
ye kaun hai main yahi soochta hun
barambaar
ye dayra hai jo ik raushni ka kaun hai ye ?
mai,n apne aap se bahar hun
deekhta ye hun
sukhan ko zarb lagi hai
badan bhii sakit hai
dimaagh sunn hai aankhe,n khuli hai,n hairat se
so ab khula ki
ye jo raushni hai mahw-e-Safar
ye aur koi nahin hai
wajood main mera
jo phir rawana huaa
raushi ke markaz ko---------------------------------

EK NAZM----Tumhare khwaab tumhare khayaal taza hai,n-

Hawa ka lams
tiri yaad kyun dilata hai ?
ye soochta hun to kuch bhii samjh nahi,n aata
bichad chuka hun mai,n tujhse kai baras pahle
magar ye gham bhii mujhe gham nahi,n laga ab tak
juda to jism huye dil kabhii juda n hua
to phir judai ka mafhoom hi ghalat thahra
yahi sabab hai
ki mai,n mutmain hun zindaa,n me
hawa ko qaid me rakh hi nahi,n saka koi
ham aur tum bhii to ik roz khud hawa honge
aur uske bad hamara milan yaqeeni hai
so mere zehn ki wadi me
dil ke sahera me
tumhare khwaab tumhare khayaal taza hai,n------

गुरुवार, 26 मार्च 2015

BAHUT ACHCHE SHAYAR_ NAZIM _NAZIM _DOST IMRAN ANWARVI KE ACHANAK SHANT HOJANE PAR----EK NAZM-- ``umeed

UDASIYOO,N KA SAMNDAR UROOJ PAR HAI ABHII
PHIR IK HAYAT KI KASHTI HAI GHARAQ PANI ME
SISAK RAHI HAI FAZAOO,N ME RAUSHNI KII LAKEER
SIYAHIYOO,N KE NAGAR ME HAI GUMSHUDA UMMED
UFUQ PA JALTE DIYE KO BHII KHA GAYE BADAL
AZAAB JAISA HUA DIN PAHAAD JAISI RAT
QALAM SE APNE DILASE KE GEET KAUN LIKHE
MAI,N APNI AANKH KE AANSU BAHA NAHIN SAKTA
TUMHARARI YAD KO SEENE ME PAL RAKHKHA HAI
YAHI ASAASA MIRI ZINDGI KA HASIL HAI
YE BEH GAYA TO MIRI ZINDGI BACHEGI NAHI,N !
WO ZINDGI SE BHARA HANSTA KHEELTA IK SHAKHSH
WO USKA RANG-E-SUKHAN WO NIZAMTE,N USKI
DAYAAR-E-ZEHN ME ZINDA RAHENGI AAKHIR TAK
WO CHAL PADA HAI ACHANAK NAYE SAFAR KE LIYE
AB USKI ROOH HAI AAMAAL-E-NEK SATH LIYE
YE WO SAFAR HAI JO SABKE LIYE ZAROORI HAI
TO IS SAFAR KII PRESHAANIYOO,N SE DAR KAISA ?
AB APNE AZM KO BHII MOTBAR BANAYA JAYE
KI YE SAFAR BHII HO AASAN ROOH-E-INSAA,N PAR
BHREGA PHIR SE KOI ZINDGI KA MASHKEEZA
YAHI UMMEED HAI GETI PA PHOOL KHILNE TAK--

NAZM---MAIN BHII AB KHELUNGI HOLI-

MAIN BHII AB KHELUNGI HOLI
SAAJAN KE AANE KI AAHAT
SANSOO,N KII BUJHTI SARGAM KO
PHIR SE TEZ KIYE DETI HAI
BIRAH AGAN SE JALTI KAYA
NAYE RANG ME DOOB CHUKI HAI
AAHAT PAR YE HAAL HUA TO
PII SE MILKAR KAISA HOGA
MAN ME NAI UMANG SAMETE
TAN PAR SARE RANG LAPETE
PREETAM SE PHIR LIPAT-LIPAT KAR---MAIN BHII AB KHELUNGI HOLI-----
MITTI RAQS PA AAMADA HAI
NOOR BHII ALLAH HU KARTA HAI
IS JEEVAN SE US JEEVAN TAK
NIRMOOHI JADU KARTA HAI
JANAM-JANAM SE JISKI CHAHAT
LEKAR AB TAK GHOOM RAHI HUN
USKI KUSHBU HI HAI MUJHME
MAI,N TO KHUD KO CHOOM RAHI HUN
NAIN MOOND APNE PREETAM KO
IN AANKHOO,N ME BAND KARUNGI
ANUNAYA-VINAYA N MANI TO PHIR
MANWAUNGI DANT-DAPATKAR------MAIN BHII AB KHELUNGI HOLI-----
APNA RANG NAHIN HAI MUJHME
KHULA TO APNI SANJH HO GAYI
TUJHKO JAB JAB SOOCHA PYARE
FIKR HI MERI BANJH HO GAYI
TUJH BIN HAI YE DUNIYA SOONI
JAN GAYI PAHCHAN GAYI MAI,N
TUJHKO PANA TUJHKO KHONA
DIL ME ITNI AAS MAKI,N HAI
JAN GAYI MAI,N PREETAM PYARE
TUJH BIN MERA KOI NAHI,N HAI
AANE DO ROOTHE SAJAN KO
SULJHUNGI MAI,N ULAJH ULAJHKAR......MAIN BHII AB KHELUNGI HOLI-----

NAZM ____KI JISKE SAYE ME HAR ROOH RAQS KARTI HAI.

YAZEEDIYAT KE CHARAGHOO,N ME RAUSHNI HII NAHI,N
KI JAGTA HAI ABHI TAK
JAHA,N ME KHOON-E-HUSAIN
JO KOOFE WALOO,N KE DAAM-E-FAREB ME PHANSKAR
KHUD APNE AAP KO QURBAN KAR GAYE WO HUSAIN
ZAMI,N PA ZINDA RAHENGE ZAMI,N KI MAUT TALAK
AMAL SE UNKE YE INSANIYAT BHII HAI MAKROOZ
WO EK SHAKHSH JO MAQTAL ME GHAR KE SATH GAYA
WO EK DARS JO HAM HI SAMAJH NAHIN PAYE
WAGARNA AAJ YE PASTI N HAMKO CHHU PATI
HAME,N SAMJHNA HAI PHIR SE HUSAIN KI AZMAT
AUR APNE AAP KOMISL-E-HUSAIN KARNA HAI
YAZEED-E-WAQT KA JADU BHII CHAL NAHI,N SAKTA
BAS EKJURAAT-E-INKAR KI ZUROORAT HAI
KI JISKI AANCH ME INSANIYAT PANAPTI HAI
KI JISKE SAYE ME HAR ROOH RAQS KARTI HAI.....

NAZM----


TAREEKI
BOOJHAL KARNE KI
JUGAT LAGTI HAI LEKIN
JUGNU KE MASHKEEZE
SHAB KO RAUSHAN KARTE HAI,N
QALB-O-ZEHN KO RAUSHAN RAKHKAR
HAR INSA,N KI HAR MUSHKIL AASAN HUI HAI
IS DUNIYA ME
HAM KHUD KO BHII RAUSHAN RAKHKHE,N
PHIR SARE AASEEB KATENGE
LEKIN HAWAS KI KALAKH NE TO
AAJ RAUSHNI PAR NAQAB SA DAL DIYA HAI
JO JAISA HAI WAISA HAMKONAHI,N MILA HAI
IS NAQAB KO KAUN UTARE ?
YAHI SOOCHTE RAHTE HAI,N HAM
FIKR HAMARI RAUSHAN HO TO
YE NAQAB KHUD HAT JAYEGI
HAMKO YE BHII KHABAR HAI LEKIN
FIKR BHII KAISE RAUSHAN HOGI ?
HAME,N SAMJHNA HAI AB KHUD KO
KHUD KO JAN KE HAM JANENGE
HAM BHII HAI,N BAS EK RAUSHNI !
ITNA LIYA HAMNE TO
RAZ MUNKASHIF HONGE SARE
HAM BHII RAUSHAN HO JAYENGE
DUNIYA RAAH SE HAT JAYEGI----

EK NAZM--


PATTOO,N PAR
GIRT SHABNAM NE
RAT KE GHAM KA GEET LIKHA PHIR
RAT DHUAA,N BANTE JEEVAN KI SHAHID RAHKAR
NAVJEEVAN KE
PHOOL KHILANE ME BHII TO KOOSHAA,N RAHTI HAI
TAMEERI FIKROO,N KO
AMLI PAIRAHAN DENE KI KHATIR
SO KAR ISE GANWANA THEEK NAHIN HAI BILKUL
DIN KI SARI KARASTANI
RAT KE KANDHOO,N PAR THAHRI HAI
YAHI SABAB HAI RATOO,N KO BEKAR N SAMJHO
HIJR KI RATE,N LAMBI HOKAR
JEEVAN KE KHLTE PHOOLOO,N KI
ANGDAI PAR ZARB LAGATI RAHTI HAI,N PAR
HIJR KA GHAM BHII RAT GAYE HI GAHRATA HAI
AUR ISHQ KE
RANG KO GADHA KAR JATA HAI
YANI HIJR ZAROORI THAHRA !
RAT HAMARE ARMANOO,N KO
SONE KAB DETI HAI JANA,N
ISILIYE TO HAMKO ISSE DIN SE ZAYAD PYAR HUA HAI
RAT GAYE HAM BHII JEEVAN KE
NAVRAS KA ANAND UTHAYE,N
GEET LIKHE,N NAVJEEVAN KE AUR
DUNIYA KA UPWAN MAHKAYE,N..............

NAZM-----------MITTI............MITTI HO JATI HAI-----


MITTI BOLI
MAI,N SADA HUN
MUJHME JO KUSHBU HAI WO BHII
PHOOLOO,N KE RAS KI KUSHBU HAI
JO MERE AANCHAL ME GIRKAR
MERE ANDAR SAMA GAYE HAI,N
YE KHSLAT MERI APNI HAI
JO MUJHKO MERE MALIK SE MILI HUI HAI
MUJHME JO BHII JAZB HUA WO
MERA HO KAR RAH JATA HAI....
MAINE SOOCHA
MAI,N BHII HUN MATI KA PUTLA
PHIR KYUN MUJHME IS MITTI KI
KOI SIFAT NAHI,N RAH PAI
MUJHME NOOR BHARA HAI RAB NE
AUR SABHII
RANGOO,N KO BHII MAHSOOS KIYA HAI
DUNIYA KE SAB RANG BIRANGE
HARE-BHARE PHOOLOO,N KI KUSHBU
KYUN KAR JAZB NAHI,N HAI MUJHME ?
IS SAWAAL NE MUJHE TARDDUD ME BHII DALA
FIKR NE MERE BHEED YE MUJHPAR KHOOL DIYA HAI
MAI,N HUN EK RAUSHNI MUJHME
JAZB NAHI,N HO PATA KUCH BHII
AUR RAUSHNI MITTI SE BAHAR HOTE HI
APNE MARKAZ KO JATI HAI
MITTI............MITTI HO JATI HAI----

EK NAZM----HASIL KA ANAND UTHAYE,N----


AAJ ACHANAK
SOOCH RAHA HUN
JEEVAN KA HASIL HI KYA HAI
DUNIYA ME AANA AUR AAKAR ISE KAMANA
DAULAT AUR ASBAAB BANANA
LEKIN DUNIYA CHAND DINOO,N KA KHAIL HAI PYARE
PHIR HASIL SE KAISA MATLAB ?
HASIL KAB HOTA HAI KUCH BHII
SAB KUCH YAHI,N PADA RAHTA HAI
PHIR YE JHAGDE KYUN HOTE HAI.N ?
SAB KUCH HASIL KARNE KI BEJA CHAHAT ME
LOG ZINDGII KHO DETE HAI,N
MAHROOMI UNKA ZEWAR BANTI JATI HAI
AUR HOSH AATA HAI JAB TO
KOOCH KA DIN BHII AA JATA HAI
LEKIN KUCH TO AISE BHII HAI,N
JINKO HOSH NAHI,N AATA HAI
BEHOSHI ME ZINDA RAHKAR
BEHOSHI ME MAR JATE HAI,N
YE UQDA JAB KHULA HUA HAI
TO PHIR HAM BHII
AB ISSE FAYDA UTHAYE,N
NEKI KARE,N KAMAYE,N NEKI
HASIL KA ANAND UTHAYE,N---

शुक्रवार, 27 फ़रवरी 2015

NAZM----ISHQ-E-IMROZ

MUHABBATOO,N KI TALASH ME HAM
N JANE KAB SE BHATAK RAHE HAI,N
QADEEM-O-KOHNA RAWAYATOO,N KA 
GHILAAF GALNE LAGA HAI ABTO
NAYA AHED HAI SO HAMKO ISME
NAYE HI PAIMAAN CHAHIYE HAI,N----
MAGAR YAHAN TO
QADAMTOO,N NE WARAST-E-ZEHN BADLI NAHI,N HAI AB TAK
WAHI HAI LAILA WAHI HAI,N MAJNU,N
ISI SABAB SE FASAD BANNE LAGI MUHABBAT
YE AHED-E-NAU HAI
SO IS AHED KO
WARAST-E-ISHQ ME BHII JADEEDTAR ZAVIYOO,N KI
HAJAT HAI JUSTJU HAI----
YE JUSTJU MUSTAQIL HAMARE
DILOO,N ME PALNE LAGE TO PHIR AB
BADAL BHII SAKTE HAI,N ZEHN-E-INSHAA,N
YE AHED-E-HAZIR KII ULJHANOO,N SE NAJAAT
HAMKO DILA SAKEGI
YAQEEN KARNA PADEGA HAMKO
JABHII MUQADDAR BADAL SAKEGA
HAMARA APNA !
JO HAMNE MAZI KI GHALTIYOO,N KO DURUST KARNE KI
SEEKH LE LI
TO HAM BHII APNE AHED SE AANKHE,N MILA SAKNGE
HAME BHII SADIYAA,N BHULA N PAYENGI IS ZAMI,N PAR ----

PESHAWAR KE WAQYE SE MUTAASIR HO KAR KAHI GAYI NAZM BILA UNWAN


TAMAM LAASHE,N 
HATA KE HAMNE
KHUD APNE BACHCHE KI LAASH DHOONDHI
DAFN KIYA HAI
KHAAK KI TAH ME
KABHII BANEGA WAHI SAHARA YE SOOCHTE THE
MAGAR YE DAHSAT KII AAG LEKAR
JO GHOOMT E HAI.N
UNEHE,N TO KHAUF-E-KHUDA NAHI,N HAI
TAMAM ROOHE,N JO JISM-E-KHAAKI PAHEN KE AADAM BANI HUI HAI,N
MAGAR YE AADAM KI NASL BHII HAI,N
SAWAL YE HAI !
YE ITNE BACHCHOO,N KO MAUT DEKAR
YE BE QUSOOROO,N KO ZAKHM DE KAR
N JANE KISKO JILA RAHE HAI,N !
KHUDA SE MILNA INHE,N BHII HOGA
ZAROOR IK DIN--------
YE MIL SAKE,NGE----------
GUNAAH KA BHII HISAB KARNA PADEGA
PHIR TO
INHE,N KHABAR BHII NAHI,N HAI SHAYAD
SAWAB SAMJHE HUYE HAI,N JISKO
WAHI GUNAAH-E-AZEEM THAHRA -------!
KHUDA HI INKI
TAMAM FIKROO,N KE BAND DWAR OO,N KO KHOOL SAKTA HAI
YE BHII SACH HAI
MAGA R KHUDA BHII TO MAUN BAITHA HUA HAI KAB SE ?
HAMARI AANKHOO,N KE
SARE AANSU NIKAL CHUKE HAI,N
N INME SAPNE HI JAGTE HAI,N N AAS HI KII CHAMAK HAI KOI
N ZINDGI KI RAMAQ HAI KOI
SULGTE SAHRA KI RET JISA BAN A HAI JEEWAN
YE SOOCHTE HAI,N KI ZINDGI AB THAHER HI JAYE
TO KYA BURA HAI
NAHI,N - NAHI,N YE GHALAT HAI LOGO
HAME,N BACHANA HAI NASL-E-AADAM KO IS ZAMI,N PAR----
AHED KARE,N AUR BATAYE,N SABKO
HAMARE DIL ME KHUDA BASA HAI
HAME,N AB UNKA BHII DAR NAHI,N HAI
JO DAHSHATOO,N KO FAROOGH DENE ME MUHAMIK HAI,N..

ghazal

ZAKHM JO BHII MILE SIYE HI NAHI,N ,,
HAM KI ZINDA RAHE JIYE HI NA HI,N..

HAMKO UNKI SAZA MILI AKSAR .
WO GUNAH JO KABHI KIYE HI NAHI,N..

HUMKO CHAHE JAHA'N SE PADH LEEJE 
HUM TO ITNA LIYE DIYE HI NAHI'N 

KHAAK HAI AUR DHUAA HAI TAQOO'N PAR 
SIRF JALTE HUE DIYEN HI NAHI'N 

QASAR -E-SHAAHII KHAFA HAI PHIR HUM PAR 
HUMNE INAAM JO LIYE HI NAHI'N 

JIN MEIN RAQSAA'N HAI KHHO'N GHAREEBO'N KA 
HUMNE WP JAAM TO PIYE HI NAHI'N 


chand sher

BA NAAM-E-ISHQ HUN SHAHTEER SA GHUNA HUA HUN..
MAI,N APNE AHED KII DEEWAR ME CHUNA HUA HUN..
----------------------------------------------------------------------------

SHABE-SIYAH KE GHANE PAIRAHAN KA DAGH N BAN..
ZABAAN KAT LII JAYEGI TU CHARAGH N BA N
------------------------------------------------------------------------

BANDH GHU NGHRU PAAN,O ME HANGAMA KAR AI ZINDGI ..
 KUCH DINO SE SHAHE R ME ZINDA DILI KHAMOSH HAI..

-----------------------------------------------------------------------

SHAFAQ NUMA THI TIRE JISM KI DHULI RANGAT ..
YE KISKE HOONT CHHUYE HAI,N KI JISM NEELA HUA..
---------------------------------------------------------------------

MANZIL KI JUSTJU NE KIYA PATHTHAROO.N KO PHOOL .
CHHILNE KE BAD AUR MIRE PAAN,O KHIL GAYE..
----------------------------------------------------------------------

DIKHAI DE RAHA HAI WO BHII MUJHKO.
TIRI AANKHOO,N ME JO MANZAR NAHI,N HAI..
------------------------------------------------------------------
MERE TASVEER SE MIRE DUSHMAN .
DAST 0 BAZU UTAR LAYE HAI,N .

nazm

HAWA KE RAQS ME KHUSHBU TIRE BADAN KI HAI---
MAHEK RAHE HAI,N FAZA KE MUHEET SANNATE
CHAHEK RAHE HAI,N CHAMAN KE TAYOOR HAR JANIB
BAHAR RAQS-KUNA HAI KHIZAA,N KE MAUSAM ME
UFUQ PA BIKHRI HUI LAL RAUSHNAI NE
LIKHE HAI,N PHIR SE ZAMI,N PAR HAZAAR AFSANE
JALAN NAHI,N HAI KAHI,N ZINDGI KE SAHERA ME
UMMEED-O-BEEM KE LASHKAR DIKHAI DETE HAI,N
DARAKHT MAST HUYE HAI,N YE KISKI AAHAT SE
KHABAR RASAA,N BHII NAHI,N HAI HAMARE AANGAN ME
KOI DIKHAI BHII DETA NAHI,N HAI DOOR TALAK
ZARA SII DEER KO BAND-E-QABA KHULE HONGE
HAWA KE RAQS ME KHUSHBU TIRE BADAN KI HAI---

NAZM-- SULAG RAHE HAIN BADAN KE ALAAO HAR JANIB ! ---------------------------------------------------------------------------


HAWA-E-SARD TIRA RAQS HAI BALANDI PAR
FAZA ME TAIR RAHE HAI,N GHAZAB KE SANNATE
TAMAM AAG DHUNAA,N KAR RAHI HAI HAR JANIB
MAGAR LAHU ME HARARAT TOBHAR RAHI HAI ABHI
HAMARE AHED KOJISKI BADI ZAROORAT HAI
HARARATOO,N SE GUREZAA,N RAHI HAI NASL-E-NAU
RAWAYATOO,N KE TAHAFFUZ KA JAM PEETE HUYE
NAI RUTOO,N PA MUSALLT AZAAB KI SURAT
PURANI FIKR KE JALOO,N ME PHANS GAYI THI UMMEED
SO USSE BACHNE KI KOOSHISH BAHUT ZAROORI HAI
RUKE HUYE HAIN ZAMI,N PAR HAM EK MUDDAT SE
SO APNE HONE KA EHSAS BHII KARANA HAI
NADI KE PANI SA BAHNA HAI HAMKO JEEVANME
THAHER GAYE TO KISI KAM KE RAHENGE NAHIN
YE RAZ KHUL HI GAYA HAI HAMARI KAVISH SE
ISI LIYE TO JALAI HAI HAMNE AATISH-E-NAU
AB ISKI AANCH ME ZINDA-DILAN-E-SHAHER-E AMAA,N
QALAM UTHA KE BHARENGE HAYAT ME NAVRANG
TUMHARAI AANKH BHII KHUL JAYE TO IDHAR DEEKHO
SULAG RAHE HAIN BADAN KE ALAAO HAR JANIB--!