गुरुवार, 26 मार्च 2015

BAHUT ACHCHE SHAYAR_ NAZIM _NAZIM _DOST IMRAN ANWARVI KE ACHANAK SHANT HOJANE PAR----EK NAZM-- ``umeed

UDASIYOO,N KA SAMNDAR UROOJ PAR HAI ABHII
PHIR IK HAYAT KI KASHTI HAI GHARAQ PANI ME
SISAK RAHI HAI FAZAOO,N ME RAUSHNI KII LAKEER
SIYAHIYOO,N KE NAGAR ME HAI GUMSHUDA UMMED
UFUQ PA JALTE DIYE KO BHII KHA GAYE BADAL
AZAAB JAISA HUA DIN PAHAAD JAISI RAT
QALAM SE APNE DILASE KE GEET KAUN LIKHE
MAI,N APNI AANKH KE AANSU BAHA NAHIN SAKTA
TUMHARARI YAD KO SEENE ME PAL RAKHKHA HAI
YAHI ASAASA MIRI ZINDGI KA HASIL HAI
YE BEH GAYA TO MIRI ZINDGI BACHEGI NAHI,N !
WO ZINDGI SE BHARA HANSTA KHEELTA IK SHAKHSH
WO USKA RANG-E-SUKHAN WO NIZAMTE,N USKI
DAYAAR-E-ZEHN ME ZINDA RAHENGI AAKHIR TAK
WO CHAL PADA HAI ACHANAK NAYE SAFAR KE LIYE
AB USKI ROOH HAI AAMAAL-E-NEK SATH LIYE
YE WO SAFAR HAI JO SABKE LIYE ZAROORI HAI
TO IS SAFAR KII PRESHAANIYOO,N SE DAR KAISA ?
AB APNE AZM KO BHII MOTBAR BANAYA JAYE
KI YE SAFAR BHII HO AASAN ROOH-E-INSAA,N PAR
BHREGA PHIR SE KOI ZINDGI KA MASHKEEZA
YAHI UMMEED HAI GETI PA PHOOL KHILNE TAK--

NAZM---MAIN BHII AB KHELUNGI HOLI-

MAIN BHII AB KHELUNGI HOLI
SAAJAN KE AANE KI AAHAT
SANSOO,N KII BUJHTI SARGAM KO
PHIR SE TEZ KIYE DETI HAI
BIRAH AGAN SE JALTI KAYA
NAYE RANG ME DOOB CHUKI HAI
AAHAT PAR YE HAAL HUA TO
PII SE MILKAR KAISA HOGA
MAN ME NAI UMANG SAMETE
TAN PAR SARE RANG LAPETE
PREETAM SE PHIR LIPAT-LIPAT KAR---MAIN BHII AB KHELUNGI HOLI-----
MITTI RAQS PA AAMADA HAI
NOOR BHII ALLAH HU KARTA HAI
IS JEEVAN SE US JEEVAN TAK
NIRMOOHI JADU KARTA HAI
JANAM-JANAM SE JISKI CHAHAT
LEKAR AB TAK GHOOM RAHI HUN
USKI KUSHBU HI HAI MUJHME
MAI,N TO KHUD KO CHOOM RAHI HUN
NAIN MOOND APNE PREETAM KO
IN AANKHOO,N ME BAND KARUNGI
ANUNAYA-VINAYA N MANI TO PHIR
MANWAUNGI DANT-DAPATKAR------MAIN BHII AB KHELUNGI HOLI-----
APNA RANG NAHIN HAI MUJHME
KHULA TO APNI SANJH HO GAYI
TUJHKO JAB JAB SOOCHA PYARE
FIKR HI MERI BANJH HO GAYI
TUJH BIN HAI YE DUNIYA SOONI
JAN GAYI PAHCHAN GAYI MAI,N
TUJHKO PANA TUJHKO KHONA
DIL ME ITNI AAS MAKI,N HAI
JAN GAYI MAI,N PREETAM PYARE
TUJH BIN MERA KOI NAHI,N HAI
AANE DO ROOTHE SAJAN KO
SULJHUNGI MAI,N ULAJH ULAJHKAR......MAIN BHII AB KHELUNGI HOLI-----

NAZM ____KI JISKE SAYE ME HAR ROOH RAQS KARTI HAI.

YAZEEDIYAT KE CHARAGHOO,N ME RAUSHNI HII NAHI,N
KI JAGTA HAI ABHI TAK
JAHA,N ME KHOON-E-HUSAIN
JO KOOFE WALOO,N KE DAAM-E-FAREB ME PHANSKAR
KHUD APNE AAP KO QURBAN KAR GAYE WO HUSAIN
ZAMI,N PA ZINDA RAHENGE ZAMI,N KI MAUT TALAK
AMAL SE UNKE YE INSANIYAT BHII HAI MAKROOZ
WO EK SHAKHSH JO MAQTAL ME GHAR KE SATH GAYA
WO EK DARS JO HAM HI SAMAJH NAHIN PAYE
WAGARNA AAJ YE PASTI N HAMKO CHHU PATI
HAME,N SAMJHNA HAI PHIR SE HUSAIN KI AZMAT
AUR APNE AAP KOMISL-E-HUSAIN KARNA HAI
YAZEED-E-WAQT KA JADU BHII CHAL NAHI,N SAKTA
BAS EKJURAAT-E-INKAR KI ZUROORAT HAI
KI JISKI AANCH ME INSANIYAT PANAPTI HAI
KI JISKE SAYE ME HAR ROOH RAQS KARTI HAI.....

NAZM----


TAREEKI
BOOJHAL KARNE KI
JUGAT LAGTI HAI LEKIN
JUGNU KE MASHKEEZE
SHAB KO RAUSHAN KARTE HAI,N
QALB-O-ZEHN KO RAUSHAN RAKHKAR
HAR INSA,N KI HAR MUSHKIL AASAN HUI HAI
IS DUNIYA ME
HAM KHUD KO BHII RAUSHAN RAKHKHE,N
PHIR SARE AASEEB KATENGE
LEKIN HAWAS KI KALAKH NE TO
AAJ RAUSHNI PAR NAQAB SA DAL DIYA HAI
JO JAISA HAI WAISA HAMKONAHI,N MILA HAI
IS NAQAB KO KAUN UTARE ?
YAHI SOOCHTE RAHTE HAI,N HAM
FIKR HAMARI RAUSHAN HO TO
YE NAQAB KHUD HAT JAYEGI
HAMKO YE BHII KHABAR HAI LEKIN
FIKR BHII KAISE RAUSHAN HOGI ?
HAME,N SAMJHNA HAI AB KHUD KO
KHUD KO JAN KE HAM JANENGE
HAM BHII HAI,N BAS EK RAUSHNI !
ITNA LIYA HAMNE TO
RAZ MUNKASHIF HONGE SARE
HAM BHII RAUSHAN HO JAYENGE
DUNIYA RAAH SE HAT JAYEGI----

EK NAZM--


PATTOO,N PAR
GIRT SHABNAM NE
RAT KE GHAM KA GEET LIKHA PHIR
RAT DHUAA,N BANTE JEEVAN KI SHAHID RAHKAR
NAVJEEVAN KE
PHOOL KHILANE ME BHII TO KOOSHAA,N RAHTI HAI
TAMEERI FIKROO,N KO
AMLI PAIRAHAN DENE KI KHATIR
SO KAR ISE GANWANA THEEK NAHIN HAI BILKUL
DIN KI SARI KARASTANI
RAT KE KANDHOO,N PAR THAHRI HAI
YAHI SABAB HAI RATOO,N KO BEKAR N SAMJHO
HIJR KI RATE,N LAMBI HOKAR
JEEVAN KE KHLTE PHOOLOO,N KI
ANGDAI PAR ZARB LAGATI RAHTI HAI,N PAR
HIJR KA GHAM BHII RAT GAYE HI GAHRATA HAI
AUR ISHQ KE
RANG KO GADHA KAR JATA HAI
YANI HIJR ZAROORI THAHRA !
RAT HAMARE ARMANOO,N KO
SONE KAB DETI HAI JANA,N
ISILIYE TO HAMKO ISSE DIN SE ZAYAD PYAR HUA HAI
RAT GAYE HAM BHII JEEVAN KE
NAVRAS KA ANAND UTHAYE,N
GEET LIKHE,N NAVJEEVAN KE AUR
DUNIYA KA UPWAN MAHKAYE,N..............

NAZM-----------MITTI............MITTI HO JATI HAI-----


MITTI BOLI
MAI,N SADA HUN
MUJHME JO KUSHBU HAI WO BHII
PHOOLOO,N KE RAS KI KUSHBU HAI
JO MERE AANCHAL ME GIRKAR
MERE ANDAR SAMA GAYE HAI,N
YE KHSLAT MERI APNI HAI
JO MUJHKO MERE MALIK SE MILI HUI HAI
MUJHME JO BHII JAZB HUA WO
MERA HO KAR RAH JATA HAI....
MAINE SOOCHA
MAI,N BHII HUN MATI KA PUTLA
PHIR KYUN MUJHME IS MITTI KI
KOI SIFAT NAHI,N RAH PAI
MUJHME NOOR BHARA HAI RAB NE
AUR SABHII
RANGOO,N KO BHII MAHSOOS KIYA HAI
DUNIYA KE SAB RANG BIRANGE
HARE-BHARE PHOOLOO,N KI KUSHBU
KYUN KAR JAZB NAHI,N HAI MUJHME ?
IS SAWAAL NE MUJHE TARDDUD ME BHII DALA
FIKR NE MERE BHEED YE MUJHPAR KHOOL DIYA HAI
MAI,N HUN EK RAUSHNI MUJHME
JAZB NAHI,N HO PATA KUCH BHII
AUR RAUSHNI MITTI SE BAHAR HOTE HI
APNE MARKAZ KO JATI HAI
MITTI............MITTI HO JATI HAI----

EK NAZM----HASIL KA ANAND UTHAYE,N----


AAJ ACHANAK
SOOCH RAHA HUN
JEEVAN KA HASIL HI KYA HAI
DUNIYA ME AANA AUR AAKAR ISE KAMANA
DAULAT AUR ASBAAB BANANA
LEKIN DUNIYA CHAND DINOO,N KA KHAIL HAI PYARE
PHIR HASIL SE KAISA MATLAB ?
HASIL KAB HOTA HAI KUCH BHII
SAB KUCH YAHI,N PADA RAHTA HAI
PHIR YE JHAGDE KYUN HOTE HAI.N ?
SAB KUCH HASIL KARNE KI BEJA CHAHAT ME
LOG ZINDGII KHO DETE HAI,N
MAHROOMI UNKA ZEWAR BANTI JATI HAI
AUR HOSH AATA HAI JAB TO
KOOCH KA DIN BHII AA JATA HAI
LEKIN KUCH TO AISE BHII HAI,N
JINKO HOSH NAHI,N AATA HAI
BEHOSHI ME ZINDA RAHKAR
BEHOSHI ME MAR JATE HAI,N
YE UQDA JAB KHULA HUA HAI
TO PHIR HAM BHII
AB ISSE FAYDA UTHAYE,N
NEKI KARE,N KAMAYE,N NEKI
HASIL KA ANAND UTHAYE,N---