मंगलवार, 21 अप्रैल 2015

EK NAZM----HASIL KA ANAND UTHAYE,N-

AAJ ACHANAK 
SOOCH RAHA HUN
JEEVAN KA HASIL HI KYA HAI
DUNIYA ME AANA AUR AAKAR ISE KAMANA
DAULAT AUR ASBAAB BANANA
LEKIN DUNIYA CHAND DINOO,N KA KHAIL HAI PYARE
PHIR HASIL SE KAISA MATLAB ?
HASIL KAB HOTA HAI KUCH BHII
SAB KUCH YAHI,N PADA RAHTA HAI
PHIR YE JHAGDE KYUN HOTE HAI.N ?
SAB KUCH HASIL KARNE KI BEJA CHAHAT ME
LOG ZINDGII KHO DETE HAI,N
MAHROOMI UNKA ZEWAR BANTI JATI HAI
AUR HOSH AATA HAI JAB TO
KOOCH KA DIN BHII AA JATA HAI
LEKIN KUCH TO AISE BHII HAI,N
JINKO HOSH NAHI,N AATA HAI
BEHOSHI ME ZINDA RAHKAR
BEHOSHI ME MAR JATE HAI,N
YE UQDA JAB KHULA HUA HAI
TO PHIR HAM BHII
AB ISSE FAYDA UTHAYE,N
NEKI KARE,N KAMAYE,N NEKI
HASIL KA ANAND UTHAYE,N-----

Nazm--

AAJ SUBH
PHIR BAGH ME DEEKHA
RANG-BIRANGE PHOOLOO,N KA AMBAAR LAGA THA
KHILE-ADH KHILE SAB PHOOLOO,N KO
DEEKH RAHE THE LOOG HAZAROO,N
KAHI,N--KAHI,N KUCH PHOOLOO,N PAR THI,N SAJI,N TITLIYA,N
HUSN SARAPA CHAMAK RAHA THA
AUR PHOOLOO,N KI MAHEK SE SABKE
ZEHN-O-DIL BHII
KHILE HUYE THE
INSANI JEEVAN BHII HAI PHOOLOO,N KE JAISA
PHOOLOO,N KO BAS EK TABASSUM
UNKE JEEVAN KA HASIL HAI
INSAA,N KO YE EK TABASSUM
KITNI MUSHKIL SE MILTA HAI
SOOCH RAHA HUN-----
BAGH KE BAHER
MURJHAYE PHOOLOO,N KA BHII AMBAAR LAGA HAI
HUSN KE MIT JANE KA JISE MARSIYA KAHIYE
LEKIN YE TO LAAZIM THARA
SABKA WAQT MUTAYYAN HAI TO
KAISI CHINTA ?
JEEVAN KO LAMBA KARNE SE BEHTAR HAI KII
KHILE RAHE,N HAM
US MUSAKAN KO ZINDA RAKHKHE,N
JO IS JEEVAN KA HASIL HAI !
JO HASIL KARNA MUISHKIL HAI-----------------------

NAZM ----- MARKAZ

Ye meri fikr kii
raftar ko shikan de kar
ye kaun hai jo chala ja raha hai su-e-falak
ye rahguzar sa banata har ek manzil ko
sab aasmanoo,n pa apne qadam badhata hua
hayat-o-maut ke sangam ke geet gata hua
masaratoo,n ki qabaye,n hawaoo,n ne pahni,n
diloo,n ke bujhte diye
phir se ho gaye raushan
wo raushni hai ki zulmat shikasht khurda hai
tulooh hone lage hai,n naye naye imkaan
ye kaun hai main yahi soochta hun
barambaar
ye dayra hai jo ik raushni ka kaun hai ye ?
mai,n apne aap se bahar hun
deekhta ye hun
sukhan ko zarb lagi hai
badan bhii sakit hai
dimaagh sunn hai aankhe,n khuli hai,n hairat se
so ab khula ki
ye jo raushni hai mahw-e-Safar
ye aur koi nahin hai
wajood main mera
jo phir rawana huaa
raushi ke markaz ko---------------------------------

EK NAZM----Tumhare khwaab tumhare khayaal taza hai,n-

Hawa ka lams
tiri yaad kyun dilata hai ?
ye soochta hun to kuch bhii samjh nahi,n aata
bichad chuka hun mai,n tujhse kai baras pahle
magar ye gham bhii mujhe gham nahi,n laga ab tak
juda to jism huye dil kabhii juda n hua
to phir judai ka mafhoom hi ghalat thahra
yahi sabab hai
ki mai,n mutmain hun zindaa,n me
hawa ko qaid me rakh hi nahi,n saka koi
ham aur tum bhii to ik roz khud hawa honge
aur uske bad hamara milan yaqeeni hai
so mere zehn ki wadi me
dil ke sahera me
tumhare khwaab tumhare khayaal taza hai,n------