शुक्रवार, 17 मई 2013

TERE BAGHAIR MERI KOI DASTAA,N NAHI,N.


TERA HI ZIKR-E-KHAIR HAI MERE BAYAN ME
TERE BAGHAIR MERI KOI DASTAA,N NAHI,N..

TUMSE N KAR SKENGE KABHI GUFTGU JANAB 
 PAIROO,N TALE HAMARE KAHI,N AASMAA,N NAHi,N.

HAMNE HI SARE SHAHER KO BAKHSHI THI KAL AMAA,N.
 AUR AAJ YE KI HAMKO HI HASIL AMMA,N NAHI,N .

 SADIYOO,N SE SAM RAHE HAI,N TUMHARA HAR EK ZULM .
 PHIR BHI HAMARE MUHN ME ABHI TAK ZABAA,N NAHI,N..

KHUD SAYBAA,N ME DHOOP KO RAKHKHA SAHEJ KAR .
AADAT HI SHAD RAHNE KI HAMKO YAHAA,N NAHI,N

AANKHE,N HI HAMNE MOOND KE RAKHKHI HAI,N KAN BAND
. WARNA JANAB AAPKE CHARCHE KAHAA,N NAHI, N .

AADAT HAI UNKO DHOOP ME JALNE KO DOSTOO,N 
. MEHNAT KASHOO,N KE SAR PA KAHI,N SAAYBAA,N NAHI,N..


NAZROO,N SE BHEJTA THA WO PAIGHAM-E-AASHIQI .
 DIL NE KIYA QUBOOL NAZAR KA BAYAA,N NAHI,N ..

INKO KHUDA KE HONE PA AB TAK NAHI,N YAQEEN 
. WO SOOCHTE RAHE,N KI KAHA,N HAI KAHA,N NAHI,N..

SHAYAD YAHAN,N CHARAGH JALE THE KAI BARAS .
 DEEWAR KE BADAN PA KAHA,N TAK DHUAA,N NAHI,N.


USNE TO LABKUSHAI KI KOOSHISH HI KI THI BAS . 
TUMNE ABHI SE KAT DI USKI JABAA,N NAHI,N ..

DONO JAHAA,N ME USKI HUKOOMAT HAI AAJ BHI .
 MERA YAEEN HAI MERA WAHEM-O-GUMAA,N NAHI,N..


JAB CHAHE,N AASMAN SE AAGE KARE,N SAFAR .
 YE FIKR KE PARINDE UDENGE KAHA,N NAHI,N ..

JISKI NAZAR ME KOI BHI SOOD_0_ZIYAA,N NAHI,N .
 AISA BHI KOI DOST MILEGA YAHA,N ? NAHI,N ..

YE AUR BAT HAI KI KUSHI SE N MILA SAKE .
 GHAM TO HAMARE CHEHRE SE AB TAK AYAA,N NAHI,N.

YE BHI TO SACH HAI RISHTOO,N KA BAZAR GARM HAI . 
YE BHI TO SACH HAI KOI KISI KA YAHA,N NAHI,N ..

AANKHOO,N ME RAUSHNI HO TO PHIR DEEKH LEEJIYE 
. MERE BADAN PA DHOOP KE DHABBE KAHA,N NAHI,N ..

MANA KI ZINDGI KA TAAQQUB KARE HAI MAUT 
. LEKIN KISI CHARAGH KI LAU ME DHUAA,N NAHI,N..

AB RAHNUMA NAHI,N HAI QAYADAT KO IN DINOO.N .
AB RASTE ME LUTNE KA DAR BHI YAHA,N NAHI,N ..


YE CHALTE PHIRTE BUT BHI BAHUT HI AJEEB HAI,N . 
ACHCHA HAI INKE MUHN ME ZABAA,N HAI BAYA,N NAHI,N..

MANZIL KI JUSTJU N KARO JAB YAQI,N N HO .
 AANKHOO,N ME KOI KHWAB TUMHARE JAWA,N NAHI,N.

HAM BHI DHUAA,N BANENGE KISE ROZ DEEKHNA .
 DUNIYA SAMJH SAKEGI DHUYE,N KI ZABA,N NAHI,N..


NAZM

APNI MANZIL PA
ABHI TAK NAHI,N PAHUNCHA HUN MAI,N
MUDDATE,N HO GAYI,N MUJHKO
MAI,N MUSAFIR THAHRA !

JANE KAISA YE SAFAR HAI
KI NAHI,N RUKTA JO

JILD DAR JILD BADALTI HAI MIRE APNI ROOH

AUR MAI,N
NAAM-YE-AAMAL KA DAFTAR LE KAR
HAR JANAM ME HI TAHI-DAST RAHA

SOOCHTA HUN
KI JAHA,N KHALQ HUA THA MAI,N KABHI

PHIR WAHI,N LAUT KE AA JATA HUN .