गुरुवार, 11 दिसंबर 2014

NAZM ----AARZU


MIRE KHUDA
MIRI AANKHOO,N ME RAUSHNI BHAR DE !
JAHAAN JAISA HAI WAISA MUJHE DIKHAI DE
MAI,N AAINE KE MUQABIL KHADA RAHUN DATKAR
HAWAS KI GARD MIRE PAS BHII PHATAK N SAKE
ANDHEERE CHHOO N SAKE,N ROOH KE UJALE KO
TAHARATE,N MIRA HAR DAM TAWAF KARTI RAHE,N
MAI,N KHWAHISHAAT KE JANGAL SE BHII NIKAL JAUN
JO MUJHME AIB HAI,N DUNIYA KE
WO NIKAL JAYE,N
TALAB KI AAG SE JHULSE N AB BADAN MERA
ATA KIYA HAI KHAZANA JO ILM KA TOONE
USE MAI,N BANT DUN ILMI GHAREEB LOOGOO,N ME
NAHI,N HAI YE MIRI KHWAHISH KI MAI,N FARISHTA BANU,N
TIRA KARAM HO TO BAS AADMI HI BAN JAUN,N
KI AADMI KI ZAROORAT BAHUT HAI DHARTI PAR
MIRE KHUDA
MIRI AANKHOO,N ME RAUSHNI BHAR DE !