मंगलवार, 29 जनवरी 2013

KAI PARINDE PAREESHAA,N HAI,N BAL-O-PAR KE LIYE ..

MIRA TO AZM BAHUT HAI MIRE SAFAR KE LIYE ..
KAI PARINDE PAREESHAA,N HAI,N BAL-O-PAR KE LIYE ..

UDAS NASLOO,N NE DEEKHE HAI,N QAHQAHOO,N KE KHWAB.
TARAS RAHE HAI,N JO TABEER-E-MAOTBAR KE LIYE ..

HAR IK CHARAGH KO BUJHNA HAI EK MUDDAT BAD .
HAR EK NAO BANI GAYI BHANWAR KE LIYE ..

ABHI TO SIRF IRADA KIYA HAI SAJDE KA .
HAZAR NEZE LAPAKNE LAGE HAI,N SAR KE LIYE ..

KASHEED KARTA HUN LAFZOO.N SE FIKR KI KHUSHBOO.
KI YE HUNAR BHI ZAROOI HAI IS HUNAR KE LIYE ..

YE MASALA BHI MIRE MAUT NE KIYA AASAN .
TARAS RAHA THA BAHUT DIN SE EK GHAR KE LIYE ..

YE KISKE PAAN,O PADE HAI,N YE KAUN AAYA HAI .
ZAMI,N KE BOSE FARISHTOO,N NE JO UTAR KE LIYE ..

TAMAM SHAHER ME BIKHRI HUI THI TANHAI .
JISE SAMEET KE LAYA HUN APNE GHAR KE LIYE ..

मंगलवार, 22 जनवरी 2013

MERE AZEEZ KO HAI NIDAMAT PA MERI SHAK ..

KHIDMAT PA MERI SHAK N INAYAT PA MERI SHAK ..
TAMBEEH KARNE WALI HAI AADAT PA MERI SHAK ..

PAKEEZGI PA USKO BHAROOSA NAHI,N JABHI .
SHITAN KAR RAHA HAI IBADAT PA MERI SHAK ..

KARTA HAI WO HAREEF-E-SUKHAN SANJ AAJ BHI.
URDU ME FARSI KI IZAFAT PA MERI SHAK ..

EHKAM-E-SHAYRI KE HUNAR SEEKHIYE JANAB .
KAB TAK KARENGE AAP VILAYAT PA MERI SHAK ..

MERE KALAM ME HAI,N BAGHAWAT KI BIJLIYAA,N.
PHIR KYUN HUA HAI TUMKO BAGHAWAT PA MERI SHAK ..

AANKHOO,N NE MOOTIYOO,N KE KHAZANE LUTA DIYE .
MERE AZEEZ KO HAI NIDAMAT PA MERI SHAK ..

JAB WO MIRE TO DIL BI HAI UNKA MIRA MUREED.
LEKIN ABHI UNHE,N HAI AMANT PA MERI SHAK ..

KAFIR HAI USKO DEEN KI KOI SAMJH NAHI,N .
JO KAR RAHA HAI SHAUQ-E-TILAWAT PA MERI SHAK ..

सोमवार, 21 जनवरी 2013

MERI DUNIYA MUJHEI SE KAT JAYE ..

MAHWAR-E-FIKR JAB ULAT JAYE ..
MERI DUNIYA MUJHEI SE KAT JAYE ..

JAB BHI MANZIL KI JUSTJU KAR LUN.
RASTA PAAV'N SE LIPAT JAYE ..

SHAHER-E-PAKEEZAGI ME JA PAHCHU
JAB YE DEEWAR-E-JISM HAT JAYE ..

USSE ITNI DUAAYE,N MAGUN MAIN.
NAM HI USKO MERA RAT JAYE ..

ITNA SACH BOOLNE SE KYA HASIL .
SHAHER KA SHAHER MUJHSE KAT JAYE ..

APNE RAB SE KABHI AKELE ME .
JAB DUA MANGUN DHYAN HAT JAYE ..

ISHQ KI AAG BUJH NAHIN SAKTI .
AAG BUJH JAYE TO LAPAT JAYE ..

YE SAMNDAR PAHAD DUNIYA BHAR .
EK KOOZE ME SAB SIMAT JAYE ..

AAINE KI TARAH NIKHAR JAUN .
MAN SE GARD-E-HAWAS JO HAT JAYE ..

HAQ PARASTOO,N KE AAAGE MAQTAL ME .
JO BHI AAYE WAHI NIMAT JAYE ..

USKI AZMAT KO KAUN MANEGA .
APNE MEYAR SE JO GHAT JAYE ..

CHUT N PAYEGI JONK NAFRAT KI .
FIKR SE JAB KABHI CHIMAT JAYE ..

MAI,N JO NIKLUN TO MERA DUSHMAN BHI.
KHUD MIRE RASTE SE HAT JAYE ..

FIKR-E-INSAA,N HAWAS KI KAI PAR.
PAAV'N RAKHNE LAGE RAPAT JAYE ..

DENE WALE KI KYA KHATA ISME.
TERA KASA AGAR ULAT JAYE ..

ROZ BHARTA HUN MAQTAL-E-UMMEED.
YE TO MUMKIN NAHIN KI PAT JAYE ..

AB WO BOSA BHI DE TO SANJAY SHAUQ .
MERE HOOTOO,N KI KHAL PHAT JAYE .

SAB YAHI,N CHHODNA HAI JANE DO


MUJHKO KHUD PAR UBOOR PANA HAI --
BHOOK SE HADDIYAA,N JALANE DO-
HAR MUSFIR KA KHWAB HO POORA __
RASTE PAR DIYA JALANE DO
DASTE-WAHSHTAT PUKARTA HAI MUJHE ---
MUJHKO JANA HAI MUJHKO JANE DO
KHAKSARI TAWAF KARTI HAI __
KOI MUJHKO GALE LAGANE DO
BARE _E--HASTI UTHA N PAUNGA---
SAB YAHI,N CHHODNA HAI JANE DO
AAHTE,N KAH RAHI HAIN KANOO ME__
USKO KAMRE ME AAJ AANE DO
USKO ROOTI KI JUSTJU ME SHAUQ--
DHOOP ME CHHTRIYA,N BANANE DO
KHEM-A YE GUL ME AAJ TANHA HUN--
TITLIYOO,N KO QAREEB AANE DO
ZINDGI AAIDIYAA,N RAGADTI HAI __
MUFLISOO,N KO DABE KHAZANE DO
PATHTHAROO,N SE KASHEED KAR LO AAG-----
NAFRATOO,N KE MAHAL JALANEDO
MAIN ISI JUSTJU ME RAHTA HUN __
BHEED ME RASTA BANANE DO
SAD N JAYE KAHIN YE KUL KHANA __
JO BHI KHATA HAI USKO KHANE DO
CHOOR HO JAYENGI WO TAKRA KAR ------
MUSHKILOO,N KO QAREEB AAN DO
MAINE AANKHEN BICHHAI HAIN GHAR ME_--
AAJ AANA HAI UNKO AANE DO
QURBATE,N ZHER GHOOL SAKTI HAI,N _
TUM MUJHE THOODA DOOR JANE DO
AASMAA,N SE ZAMI,M PA AAYA HUN ___
MERE APNE YAHI THIKANE DO
APNI QOOWAT KO AAZMANE DO __
DASHT ME PHOOL TO UGANE SO
AB JO SOORAJ NAHIN TO GHAM KAISA___
RAT KO JUGNUOO,N KE SHANE DO
JO BHI BATIL PARAST HAI USKE ___
DONO BAZU UTAR LANE DO __
AB HAIN EEMAN BEECHNE WALE _
_DAM MUHKO ZARA LAGANE DO
TEER KHA KE BHI MUSKURAYE WO ____
UNKA QISSA MUJHE SUNANE DO
TASHNAGI DEEKHTI HAI HAIRAT SE----
TEER KHANE DO MUSKURANE DO
MAI BHI RANA PRTAP HUN MUJHKO__
_GHANS KI ROOTIYA,N BANANE DO
DHOOP CHEHRA BADLNE WALI HAI _
AB GHADI BHAR TO MUSKURANE DO
TEERGI RAQS PAR HAI AAMAADA __
JUGNUOO,N KE DIYE JALANE DO_
USKA GHAM HAI TO MERI AANKHOO,N KO ___
AANSUOO,N KE DIYE JALANE DO
TERA CHEHRA TUJHE DIKHA DOONGA
BAS MUJHE AAINA UTHANE DO

रविवार, 13 जनवरी 2013

ghazal ...dhuye,n ko bhi qaidi banoo to janu..

diye ki lawoo,n ko qatar to rahe ho____
dhuye,n ko bhi qaidi banoo to janu..

muhe zindgi ki saza dene wale ...

mire sath rishta nibhaoo to janu..

LATEEFOO,N SE GHZALE,N BANA LI HAI,N TUMNE.
GHZAL KO LATEEFA BANOO TO JANUN ..

JAHA,N RAQS KARTI HAI HAR DAM UDASI---
WAHA,N GEET KHUSHIYAOO,N KE GAOO TO JANU

UROOS-E-SAHAR SE SHAB-E-GHAM YE BOLI..
UDASI KA GHOOnGHAT HATAOO TO JANU

YE BAR-E-GHAM-E DIL HATOO TO JAUN...
MUSEEBAT ME BHI MUSKURAOO TO JANU

GHAZAL KI ZAMEE,N TANG HONE LAGI HAI .
NAYA GUL KOI TUM KHILAOO TO JANU

FAZA RAQS KARNE LAGEGI KUSHI SE ... 
HAWAS KE DIYOO,N KO BUJHAOO TO JANU.

ZABAA,N PAR JAHA,N HO KHMOOSHI MUSLLAT ..
WAHA,N AANKH SE GEET GAO TO JANU...

BADAN KI HAWEELI TO MISMAAR HOGI ...
MAGAR ROOH APNI BACHAOO TO JANU..

KABHI DUKH BHARE BADLOO,N KO HATAKAR . 
MUHABBAT KI BARISH KAROO TO JANU ..

GHAMOO,N KO GALE SE LAGAYE PADE HO. 
HANSI ME INEH ,N BHI UDAOO TO JANU..

dhuye,n ki lakeroo,n me kya dhoondhte ho 
. nishaa,n zindgi ke jo paoo to janu ..

MIYAN SACH KI QEEMAT CHUKANE KI KHATIR .. 
LAHU ME BHI APNE NAHAOO TO JANU..

ABHI TUM JISE ZINDGI KAH RAHE THE .
.KAHI,N SE USE DHOONDH LAO TO JANU..

MUSALSAL GUROOR-E-SUKHAN KARNE WALE .. 
SAMANDAR KO QATRE ME LAOO TO JANU .

diye ki lawoo,n ko qatar to rahe ho____
dhuye,n ko bhi qaidi banoo to janu..

agar ishq ka tune dawa kiya hai .. 
qadam se qadam bhi mialoo to janu..

andhere jaha,n se mitane ki zid hai .. 
diye ki tarah jagmagaoo to janu

ye bheega hua hai mire dil ka kaghaz..
.jala kar ise phir bujhaoo to janu..

KABHI KHUD SE MILNE KI KOSHISH BHI KI HAI..
KABHI AAINA DEEKH PAOO TO JANU

TILIS-ME-SHAB-E-GHAM MUJHE DHOONDHTI HAI.. 
PATA USKO APNA BATOO TO JANU .

LAHU ME TIRE NACHTI HAI JO WAHSHAT.. 
USE BHI KAHI,N CHHOD AAO TO JANU.

शनिवार, 12 जनवरी 2013

ghazal....THAK GAYE HAI,N MIRE ASHAAR CHURNE WALE..

TERI AANKHOO,N DE CHALKATI HUI SAHBA PI KAR
MAIKADA BHOOL GAYE MAIKADE JANE WALE



 SHER KAHNE ME ABHI TAK HUN MAIN PAHLE JAISA . 
THAK GAYE HAI,N MIRE ASHAAR CHURNE WALE..

GHAR KI MAHDOOD FAZAOO,N SE NIKAL KAR DEEKHO. 
SHAHER ME GHOOMTE HAI,N AAG LAGANE WALE 

husn ko apne kisi taraha chupakar rakhkhoo
. aag bahte huye paani me lagne wale .

MAIL TO MAN KA KISI TAUR NAHI'N DHULNE KA .
 BAT YE JAAN  LO GANGA ME NAHANE WALE

 aaj phir khwaab se veeran hui hai,n aankhen.... 
khawab ab inme nahi,n laut ke aane wale 

KYUN MUJHE CHHOD GAYA GOSH _E _GUMAN MEIN 
. MERI AAWAAZ SE AAWAAZ MILANE WALE ..

deekhNa mulk ka itihas likhenge ik din 
. patiyaa,n sooki hui hans  ke chabane wale

 jane us shaher ki galyoo,n mein  kashish kaise hai. 
laut kar phir nahi,n aate kabhi jane wale .

PATHTHAROO,N TUMKO UCHALNE KI BURI AADAT HAI.
 DEEKHTE HO KI HAI,N PHAL SHAAKH PE AANE WALE .

 KAL ISI KHAAQ KA WO RIZQ BANENGE AYE SHAUQ .
 AAJ SOORAJ HAI,N HATEELI PE UGANE WALE ..

rasta deekhti aankhoo,n ki qasam hai tumko .
. laut bhi aana mujhe chhood ke jane wale

AAG JANGAL KE DARKHTOO,N ME LAGATE KYUN HAI,N . 
AAM KE PED KO GAMLE ME LAGANE WAALE ..

 deekhta rahta hun main roz isi basti mein
 . hath aai hui daulat ko ganwane wale..

EK NAZM

EK NAZM

SUNE HAI,N MAINE 
ANDHERO,N KI KHANQAAH KE GEET
BAHUT DINOO,N SE UJALOO,N KO
QAID KARNE KI
WO KOOSHISHOO,N ME LAGE HAI,N, TO KYA KIYA JAYE
JO APNA AKS TALAK DEEKH HI NAHI,N SAKTE
WO DOOSROO,N KI CHABI DEEKHNE KO AATUR HAI,N
AJEEB HAI,N
YE ANDHEROO,N KI KOSHISHE,N JANAA,
ANDHEERE KHUD BHI TO APNA WAJOOD RAKHTE HAI,N
YE INKISHAF
NAHI,N HO SAKA ABHI UN PAR
ISI KE GHAM ME HIRASAA,N
N JANE KAB SE WO
AB EHTEJAJ BHI KARNE LAGA UJALOO,N KA
YE EHTEJAJ ZAROORI NAHI,N
MAGAR JANAA
USE YE BAT BATAYE BHI TO BATAYE KAUN?
KI YE UJALA HI USKA BADA MUHAFIZ HAI
SUKODTA HAI PAROO,N KO JO SHAM HOTE HI
GHARAZ YE HAI KI ANDHERA WAJOOD ME AAYE
MAGAR ANDHERE KI AANKHE,N NAHI,N HUA KARTI,N
USE YE BAAT
BHALA KAUN JA KE SAMJHAE ??

MAI,N TAKHAIYUL KE SAMANDAR ME UTAR JANE KE BAAD ..

LAUTTA HUN FIKR KE DHEROO,N GUHAR PANE KE BAAD ..
MAI,N TAKHAIYUL KE SAMANDAR ME UTAR JANE KE BAAD ..

DEEN-O-DUNIYA KI SAMJH AA BHI GAYI TO KYA HUA .
BHOOK KE KASHKOOL ME ROOTI UTAR JANE KE BAD ..

KUCH NAYE MAZMOON LE AATA HUN USKI AAG SE .
FIKR KI BHATTI KO MAI,N DIN-RAT BADHKANE KE BAD ..

DARD BHI SANGEET BAN JATA HAI TERE ISHQ MEIN
MAUT HOTI HI NAHI,N YE ZINDGI PANE KE BAAD ..

RAQS KARTI HAI ABHI TAK DHOOP AANKHOO,N ME KAHI,N.
SHAM KE DHALNE PA SOORAJ KE GUZAR JANE KE BAAD ..

DAFN HAI,N BOODHI HAWELI ME KAI SACHCHAIYAA,N.
SAB KHULEGI HAN MAGAR USKE BIKHAR JANE KE BAAD..

RAQS KARTI HAI,N MIRE ANDAR BADI TANHAIYAA,N .
ZINDGI BIKHRI HUI HAI USKE MAR JANE KE BAAD ..

शुक्रवार, 4 जनवरी 2013

KHUDI PA HAMNE LAGAYA HAI BE-KHUDI KA WARAQ .

HAMARI AQl-O-KHIRD PAR HAI GUMRAHI KA WARAQ .. 
KHUDI PA HAMNE LAGAYA HAI BE-KHUDI KA WARAQ .. 

JO KAH RAHA THA PADHA DUN MAI,N AAGAHI KA WARAQ .. 
WO PADH N PAYA KHUD APNI HI ZINDGI KA WARAQ .. 

KABHI MAI,N TOD SAKUNGA MUSEEBATOO,N KA HISAR.
KITAB-E-ZEEST ME HAI HI NAHI,N KHUSHI KA WARAQ ..

UNHE,N ANDHEEROO,N ME MAINE BHI ZINDGI KAR LI .
CHARAGH LIKHTE RAHE JIS SE TEERGI KA WARAQ ..

ZABAN USNE BHI KHOLI NAHI,N HAI ABKE BAR .
CHADHA KE BAITH GAYA MAI,N BHI KHAMUSHI KA WARAQ ..

KAHI,N SE DEEKH LO TUM BHI HAMRI TAHREERE,N .
HAMARI FIKR ME RAHTA HAI TAZGI KA WARAQ ..

HAMRI NASL KI TAREEKH KO SIYAAH KIYA .
LIKHA HAI DILLI ME JISNE DARINDAGI KA WARAQ ..

HAMARI FIKR KA TEEZAB GIR GAYA TO PHIR .
TUMHARI FIKR SE MIT JAYEGA KHUSHI KA WARAQ ..

LAB-E-FURAT WAHA,N KARBALA ME LIKHKHA HAI .
HUSINIYAT KE LAHU SE BHI TASHNAGI KA WARAQ ..

RAKHA HAI KISNE HATHELI SE NEELE AMBAR PAR .
SIYAH RAAT KE MAHTE PA CHANDNI KA WARAQ ..

AJEEB SHAKHS HAI KIS DAYRE ME RAKHKHA JAYE.
JO DOOSTI PA LAGATA HAI DUSHMANI KA WARAQ ..

YE DIL KA ZAKHM BHAREGA NAHI,N KISI BHI TARAH.
HAZAAR AAP LAGAYE,N TAWANGARI KA WARAQ ..

BUJHE BUJHE HUYE CHEHROO,N PA LIKH DIYA IS BAR.
ZABAN-E-URDU SE MAINE SHAGUFTAGI KA WARAQ ..

GUNAAHGAR NAZAR KA FAREEB TO DEEKHO .
USE PASAND N AAYA KABHI KISI KA WARAQ ..

TAL LUQAT KE NEEZE KI ZAD ME JAB AAYA .
KHULA HAI MUJH PA USI ROZ DOSTI KA WARAQ ..

WO LE GAYA THA NUMAISH KE WASTE MUJHKO .
SADAN ME USKO DIKHANA THA MUFLISI KA WARAQ ..

SAAL NAYA AAYA HAI DEEKHO KHUSHIYOO,N KA PAIGHAM LIYE ..

YAKJAHTI KI TAQAT KA IK SUNDAR SA PAIGHAM LIYE ..
DEEKH SHIKARI UDE KABOOTAR AAJ TUMHARA DAM LIYE ..

GURBAT KO AANSU DE KAR PHIR DAULAT NE HAI,N JAAM LIYE ..
SAAL NAYA AAYA HAI DEEKHO KHUSHIYOO,N KA PAIGHAM LIYE ..

AAJ BHI USKE SHAIDAI HAI,N DUNIYA BHAR KE SARE LOG.
IK ALLAAH KA BANDA AAYA DUNIYA ME ISLAAM LIYE ..

APNI ACHCHAI KI QEEMAT MAINE KHOOB CHUKAI HAI .
SABKO KHUSH RAKHNE KI KHATIR APNE SAR ILZAM LIYE..

DHOOKA DENA USKI FITRAT BAN JAYE TO HAIRAT KYA.
APNE SAR PAR JISNE SARE DUNIYA BHAR KE KAM LIYE ..

AAG SHIKAM KI PHIR BHADKI TO BHEEK MANGNA BHI CHAHA.
MERI ANA NE PAAN,O ROK KAR PHIKR KE BAZU THAAM LIYE ..

WADI-E-DIL ME PHIR SE TAZA UMMEEDOO,N KE PHOOL KHILE.
USKI AANKHOO,N NE JAB MERI AANKHOO,N KE PAIGHAM LIYE..

QEEMAT KAUN CHUKA PAYA HAI KHALIQ TERI RAHMAT KI .
JALTE SOORAJ KE UJIYARE DUNIYA NE BE-DAM LIYE ..

MAINE USME NAI RAUSHNI DALI APNE KAUSHAL SE .
PAS KOI JAB AAYA MERE LAFZ KOI NA-KAM LIYE ..