LAUTTA HUN FIKR KE DHEROO,N GUHAR PANE KE BAAD ..
MAI,N TAKHAIYUL KE SAMANDAR ME UTAR JANE KE BAAD ..
DEEN-O-DUNIYA KI SAMJH AA BHI GAYI TO KYA HUA .
BHOOK KE KASHKOOL ME ROOTI UTAR JANE KE BAD ..
KUCH NAYE MAZMOON LE AATA HUN USKI AAG SE .
FIKR KI BHATTI KO MAI,N DIN-RAT BADHKANE KE BAD ..
DARD BHI SANGEET BAN JATA HAI TERE ISHQ MEIN
MAUT HOTI HI NAHI,N YE ZINDGI PANE KE BAAD ..
RAQS KARTI HAI ABHI TAK DHOOP AANKHOO,N ME KAHI,N.
SHAM KE DHALNE PA SOORAJ KE GUZAR JANE KE BAAD ..
DAFN HAI,N BOODHI HAWELI ME KAI SACHCHAIYAA,N.
SAB KHULEGI HAN MAGAR USKE BIKHAR JANE KE BAAD..
RAQS KARTI HAI,N MIRE ANDAR BADI TANHAIYAA,N .
ZINDGI BIKHRI HUI HAI USKE MAR JANE KE BAAD ..

कोई टिप्पणी नहीं:
एक टिप्पणी भेजें