गुरुवार, 11 दिसंबर 2014

NAZM ----AARZU


MIRE KHUDA
MIRI AANKHOO,N ME RAUSHNI BHAR DE !
JAHAAN JAISA HAI WAISA MUJHE DIKHAI DE
MAI,N AAINE KE MUQABIL KHADA RAHUN DATKAR
HAWAS KI GARD MIRE PAS BHII PHATAK N SAKE
ANDHEERE CHHOO N SAKE,N ROOH KE UJALE KO
TAHARATE,N MIRA HAR DAM TAWAF KARTI RAHE,N
MAI,N KHWAHISHAAT KE JANGAL SE BHII NIKAL JAUN
JO MUJHME AIB HAI,N DUNIYA KE
WO NIKAL JAYE,N
TALAB KI AAG SE JHULSE N AB BADAN MERA
ATA KIYA HAI KHAZANA JO ILM KA TOONE
USE MAI,N BANT DUN ILMI GHAREEB LOOGOO,N ME
NAHI,N HAI YE MIRI KHWAHISH KI MAI,N FARISHTA BANU,N
TIRA KARAM HO TO BAS AADMI HI BAN JAUN,N
KI AADMI KI ZAROORAT BAHUT HAI DHARTI PAR
MIRE KHUDA
MIRI AANKHOO,N ME RAUSHNI BHAR DE !

गुरुवार, 27 नवंबर 2014

salaam

YE CHAND TARE JO SABKI NAZAR ME AAYE HUYE HAIN. .FALAK NE ASHK-E-AZAA AANKH ME SAJYE HUYE HAIN..
TABASSUM -E -ALI ASGHAR KA JIN PA SAYA HUA HAI- -WO PHOOL FASL-E-KHIZAA,N ME BHII MUSKURAYE HUYE HAI,N..
SHUROOH HOTA HAI JAGEER-E-JAUN BHII WAHA,N DEEKHO . KUCH AAFTZBOO,N NE KHEME JAHA,N LAGAYE HUYE HAI,N.
YE JANE KAUN SI DUNIYA KA KHANWADA HAI FATEH -- YAHAN TO TEEROO,N KO BACHCHE GALE LAGAYE HUYE HAI,N.
ALAM LIYE HUYE NIKLA HAI SBR KA WAHI,N SOORAJ . TAMAM SHAAM KE LASHKAR SHIKASHT KHAYE HUYE HAI,N...
ISI LIYE TO YE ZARRE BHII SURKHURU NAZAR AAYE - ZAMEEN-E-KARB-O-BALA PAR HUSAIN AAYE HUYE HAI,N..
IZAALA HO N SAKEGA KABHII BHII PAPOO,N KA UNKE . YE KOOFE WALE BHALE AAJ SAR JHUKAYE HUYE HAI,N..
HAWA BUJHA N SAKI DEEN-E-MUSTAFA KE DIYOO,N KO.. LAHU SE APNE HUSAIN IINKO JAGMAGAYE HUYE HAI,N.
YAZEEDIYAT NE SAJAYA HAI JAB SE NEEZE PA SAR KO. HUSAINIYAT KE PARSTAAR SAR UTHAYE HUYE HAI,N..
ZABAA,N KO NUTQ KI KUSHKII SE AASHNA KIYE HUYE HAM . TAQADDUS-E-LABE TASHNA KO BHII BACHAYE HUYE HAI,N..

janab Sanjay Shauq ki ek jazbati rubayee


jazbaat ki aaNdhi ka tarannum sun lo
balaoN ko zara nauch lo or sar dhun lo
shetan ke qadmoN ke tale he insaaN
chaho to falisteen ki cheekheN sun lo

chand sher


KABHI -KABHI TO MAIN TANHAIYOO,N SE GHABRAKAR.
KHUD APNE JISM SE KUCH DOOR JA KE BAITHTA HUN 


.wo jo bichhda to ajab dard uga seene me .
ab agar soochne baithun bhii to wahshat ho jaye..

HAM BAHUT TAKLEEF MEN HAI,N IN DINOO,N.
AAP KO TO MUSKURANA CHAHIYE 


BA RAHA GHAM KI FASEELOO,N SE UTARA HUA MAI,N..
MUSKURATI HUI AANKHOO,N KA NAZARA HUA MAI,N ...


BA -HARSU RAQS-KUNAA,N HAI,N CHARAGH-E-RUSWAI .
MIRE KHUDA YE MIRI SHOHRATE,N KAHA,N TAK HAI,N 


QUBOOLIYAT KA SHARAF BHII DUA KO HSAIL HO.
KI MUDDATOO,N SE HUN DAST-E-DUA UTHYAE HYE..


RAFTAR - E - GARD KHEMAZANI PAR TULI HAI AB..
MAI,N USKI DHADKANOO,N ME KAHI,N BAND HO N JAUN

HAM TO KAB SE DIYE JALATE HAI,N.
KYUN ANDHEERA KAHI,N NAHI,N JATA..

AAJ USNE BHARE BAAZAAR ME GAALI DE DII.
MAI,N KI BACHPAN SE BAHUT KHARCH HUA HUN JIS PAR..

HAMARE GHAR KE KIWADO,N SE JHANKTI HAI JO DHOOP .
USI NE RAAT KE MARNE KI BHII KHBAR DI HAI ..


kaha,n husne-taghazzul dhoondhte ho.
ghazal ghoonghat se bahar aa chuki hai..

TUMHARE BARE ME JIS WAQT SOOCHTA HUN MAI,N .
TAMAM FIKR KE MAIDAN KHULNE LAGTE HAI,N ..


TUMKO MIRE AFQAAR KITABOO,N ME MILENGE .
MAI,N WAQT KI DEEWAR ME CHUNWAAYA GAYA HUN..


MUSHKILE,N RAQS PAR HAI,N AAMADA .
AAO CHUPPI HI SADH LII JAYE ..



HAM UDASI KE BAL-O-PAR APNI .
MUSKURAHAT SE NOOCH LAYE HAI,N..
AAINA BAN KE KUCH NAHI,N MILTA .
PATHTHAROO,N NE DIYE JALYE HAI,N..



--------------------------------------------------------------------

RUBAYEE


MAUSAM KE TAGHAYYUR SE MACHALTI HAI ZAMEE,N...
PHOOLOO,N KI TARAH RANG BADALTI HA IZAMEE,N...
MANZIL KO SIMATNA HAI MIRI HI JANIB--
RUKTE HAI,N MIRE PAAN,O TO CHALTI HAI ZAMEE,N...

बुधवार, 27 अगस्त 2014

GHAZAL------- AUR PHIR GARDISH-E-AY-YAAM KI KHU RAKHKHI GAYII..

JISM KE SHARA ME HALAAT KI LU RAKHKHI GAYII..
AUR PHIR GARDISH-E-AY-YAAM KI KHU RAKHKHI GAYII..

KHAAR PAIRAHN-E-HASTI SE ULAJHTE HAI,N TO KYA.
CHAAK SE QABL KI UMMEED-E-RAFU RAKHKHI GAYII..

JIS JAGAH CHAAD SITAROO,N KA GUZAR MUSHKIL HAI.
ZINDGI AISI JAGAH LA KE BHII TU RAKHKHI GAYII..

SARFARAZI ME KABHII NOOK-E-SINA PAR THE HAM .
INKISARI ME BHI AB TEEGH- E- GULU RAKHKHI GAYII..

GARMI-YE-SHAAM-E-GAREEBAA,N KI LATAFAT HAI AJAB.
AANKH ANDAR JO UTHAI TO KABHU RAKHKHI GAYII..

शुक्रवार, 13 जून 2014

ghazal ............DHOOP ME JAL KE WO TASVEER BHI KALI HUI HAI

DHO .....KE ASHKON........ SE KAI BAR UJALI HUI HAI ..
DHOOP ME JAL KE WO TASVEER BHI KALI HUI HAI ..

MAIN GIROONGA .......TO ISI KHAK SE UTHTHEGA KOI .
HAQ PARASTON SE YE DUNIYA KABHI KHALI HUI HAI ..

LAKHNAW NAZ HAI JIS PAR WAHI KOHANA TAHZEEB .
HAMNE WARSE ME SALEEQE SE SANMBHALI HUI HAI ..

KHAK ME MIL GAYA JAB ROOH KA KHALI PINJRA .
MANSAB E ISHQ PE PHIR APNI BAHALI HUI HAI ..

DASHT E WAHSHAT KA KOI KHAUF NAHIN HAI HUMKO .
SAB BHULA DENE KI TADBEER NIK LI HUI HAI ..

TERE JAISA KAHIN KOI NAHIN HAI JANAN .
HAMNE AAFAQ KI MANZIL BHI KHANGALI HUI HAI ..

HAAN MI RI FIQR ALAG HAI TO SABAB HAI ISKA .
DARD KE CHULEHE PE SAU BAR UBALI HUI HAI ..

APNA HAQ MANGNA HAKIM SE BAGHAWAT HAI MAGAR .
YE RAWAYAT BHI HAMARE HI TO DALI HUI HAI .

EK NAZM........SAWAAL



IK BACHCHI 
SCHOOL KI JANIB
DEEKH RAHI THI
HATH PAKAD KAR
CHOTE BACHCHE
PEETH KE UPAR
BASTA LADE
JATE THE SCHOOL KO APNE
JHANK RAHA THA
USKI CHOOTI AANKHOO,N SE
IK SUNDAR SAPNA
KYA WO SAPNA
KABHI YAHA,N
SAKAAR BHI HOGA ?
BARSOO,N BEET GAYE HAI,N
LEKIN
YE SAWAAL
AB BHII SAWAAL HAI !

बुधवार, 16 अप्रैल 2014

GHAZAL......MUFLISI TOONE BAHUT NAM KAMAYA A HUA HAI ..

MAi,NE JIS DIN SE GALE TUJHKO LAGAYA HUA HAI .. MUFLISI TOONE BAHUT NAM KAMAYA A HUA HAI ..
SIRF DARIYA HI SIMAT KAR NAHI,N AAYA HUA HAI ..
SHAHER KA SHAHER HI KASE ME SAMYA HUA HAI ..
SAR CHIPANE KO ANDHEERE BHI CHALE AAYE HAI,N. IK DIYA MAI,NE HATHELI PA JALAYA HUA HAI ..
IK HARARAT SI JO AAI HAI BADAN ME TERE . AI GHAZAL MAINE TUJHE KHOON PILAYA HUA HAI .
. MUDDATOO,N SHAHER KA SANNATA NAHI,N JAYEGA. HADSOO TUMNE BAHUT SHOOR MACHAYA HUA HAI ..
AI JUNU,N MUFT ME BADNAM KIYA HAI TUJHKO . QAIS KO RAQS TO LAILA NE SIKHAYA HUA HAI ..
USKO FUTPAATH BHI MIL JAYE GHANEEMAT JANO. GAAN,O KO CHOOD KE JO SHAHER ME AAYA HUA HAI ..
MAI,N MUHABBAT HUN MUJHE SHAK KI NIGAHOO,N SE N DEKH. MAI,NE INSAAN KO INSAAN BANYA HUA HAI ..
HAMNE KIRDAR KE PHOOLOO,N KA BANA KAR GAJRA . APNI TAZEEB KI DULHAN KO SAJAYA HUA HAI .
. APNE SAYE SE MUJHE DOOR KIYA HAI JISNE . MERI RAG RAG ME WAHI SAKHSH SAMAYA HUA HAI .

CHAND SHER.................

ADA-YE -SHAHER-E-DILBARAA,N KO DEEKHNE KA SHAUQ THA.
WO RU - BA - RU HUA TO KYUN NAZAR SHIKSHT KHA GAYI .

..........................................................................................................................

MAI,N APNE BADAN SE NIKALNE LAGA HUN__
KI IS GHAR SE MUJHKO MUHABBAT NAHI,N HAI..
......................................................................................
sadiyo'n se chall rahii hai fanaa aur baqaa kii jung
peepal nikal rahaa hai merii chhat ko tod ke ........
... sanjay shauq
...............................................................................

CHALTE-CHALTE EK DIN TASVEER HO JAUNGA MAI,N ..
PHIR JABEEN-E-WAQT PAR TAHREER HO JAUNGA MAI,N.
............................................................................................
ZEER KARNE KE LIYE MUJHKO RAQEEBAANE -ADAB ..
MUDDATOO,N SE CHAHTE HAIN MAI,N KOI LAGZISH KARUN..
................................................................................................

MUDDATE,N HO GAYI,N US SHSKHSH SE BICHDE LEKIN .
RAKH KA DHEER KUREDU,N TO SHARARA NIKLE ..

..........................................................................................

PHOOL MURJHA KE RAH GAYE SAARE .
KOI TITLI UDAS HAI SHAYAD ..

...................................................................

BAHUT DIN BAD YE JANA HAI MAINE .
MAI,N APNE AAP KO BHOOLA HUA HUN..

...............................................................

AAJ PHIR PANI GALE TAK AA GAYA .
HATH APNE AAP UPAR HO GAYE .
..................................................

EK RUBAI 

EEMAN KE MANSAB PA BAHAALI KAR DE ..
KIRDAR KO APNE BHI MISALI KAR DE ..
AUR KUFR KE KHEEMOO,N KO JALAKAR IK ROZ.
KOOFA HAI TIRA SHAHER TO KHALI KAR DE..
...........................................................................

EK RUBAI 

TAIBA Ko MIRE KHWAAB Ka MANZAR KAR DE..
YA AANKH SE BEENAI KO BAHAR KAR DE ..
SARKAR KE JALWOO,N SE SAJAKAR YA RAB.
IS DIL KO MADEENE KE BARABAR KAR DE ..
............................................................

KHIZAA,N KI DHOOP MASAIB KI DHOOL DARD KE PHOOL.
GALE LAGA LIYA SABKO TIRI KUSHI KE LIYE ..

.....................................................................

BEEMAAR HUN MAI,N AAPKE HUSN-O-JAMAL KA .
MERI QASAM HAI AAPKO ACHCHA N KEEJIYE ..

...........................................................................
WO MERE QATL KI SAZISH ME SABSE AAGE THA.
DUAAYE,N MAANGI,N THI,N MAINE JIS AADMI KE LIYE 

..........................................................................................

SHAUQ-E-GUL BOOSI ME APNE HONT ZAKHMI HO GAYE .
BAZ AAYE SHAUQ HAM PHOOLOO,N KE ISTAQBAL SE .

.................................................................................

HAM UDASI KE BAL- O - PAR APNI .
MUSKURAHAT SE NOOCH LAYE HAI,N..
........................................................................

KITNI SADIYOO,N SE JAGTA HUN MAI,N.
NEEND AAYE TO KOI KHWAB AAYE ..
.............................................................

THOKAR ME WO RAKHEGA HAMESHA HI AAPKO. 
HAR AADMI KE SAMNE SAJDA NA KEEJIYE ..
,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,
ISI LIYE TO ACHCHE SHER NAHI,N HOTE .
NOOK-E-QALAM PAR MAINE UJRAT RAKHKHI HAI.
......................................................................................

.AAJ SABSE BICHAD GAYA HUN MAI,N .
AAJ SE KHUD KO JANNA HAI MUJHE ..
..............................................................

ZINDGI MAUT PAR HARAM KARE,N ..
AAO YE EK NEK KAM KARE,N..

FIKAR AAZAD HAI MAGAR DUSHAMAN .
.CHAHTE HAI,N KI ZEER-EDAM KARE,N

.................................................................
SOOKHE HUYE DARKHTOO,N PA AANE LAGAI BAHAR .
MAUSAM YE AAJ KISKI KHABAR LE KE AA GAYA ..
....................................................................

HATELI PAR UGANA CHAHTE HAI,N KHET SARSOO,N KE .
MIRE BACHCHE TO APNI FIKR SE AAGE NIKAL AAYE ..

......................................................................................

Sikka-ye-dars-e-muhabbat ki zuroorat hai hame,n.
aur ye sikka kisi taksal me dhalta hi nahi,n ..

...........................................................................

KISI KE ZAKHM PA RAKHT ANAHI,N KOI MARHAM .
HAZAAR BAR KI DUNIYA HAI AAZMAI HUI ..
............................................................................

TOONE PURKHOO,N KI HAWELI KA KIYA HAI SAUDA.
BAS MUJHE ISME BASI YADOO,N KA MALBA DE DE..

................................................................

KUCH HI DINO,N ME IS MITTI KA .
QARZ ADA HONE WALA HAI ..
..........................................................

MAI,N BHI PYASA HUN TIRE DAR PA KHADA HUN KAB SE .
TU SAMANDAR HAI MUJHE EK HI QATRA DE DE ..

..........................................................................................

HAMARE MULK ME AKSAR HUKOOMAT KE NUMAINDE .
MUSAHIB KE GALE KO NAP KAR PATTA LAGATE HAI,N..
..................................................................................

SHAKH SE PATTE PARINDOO,N SE SHAJAR KHALI HUA ..
EK MUDDAT BAD MEHMANOO,N SE GHAR KHALI HUA ..