शुक्रवार, 27 फ़रवरी 2015

NAZM----ISHQ-E-IMROZ

MUHABBATOO,N KI TALASH ME HAM
N JANE KAB SE BHATAK RAHE HAI,N
QADEEM-O-KOHNA RAWAYATOO,N KA 
GHILAAF GALNE LAGA HAI ABTO
NAYA AHED HAI SO HAMKO ISME
NAYE HI PAIMAAN CHAHIYE HAI,N----
MAGAR YAHAN TO
QADAMTOO,N NE WARAST-E-ZEHN BADLI NAHI,N HAI AB TAK
WAHI HAI LAILA WAHI HAI,N MAJNU,N
ISI SABAB SE FASAD BANNE LAGI MUHABBAT
YE AHED-E-NAU HAI
SO IS AHED KO
WARAST-E-ISHQ ME BHII JADEEDTAR ZAVIYOO,N KI
HAJAT HAI JUSTJU HAI----
YE JUSTJU MUSTAQIL HAMARE
DILOO,N ME PALNE LAGE TO PHIR AB
BADAL BHII SAKTE HAI,N ZEHN-E-INSHAA,N
YE AHED-E-HAZIR KII ULJHANOO,N SE NAJAAT
HAMKO DILA SAKEGI
YAQEEN KARNA PADEGA HAMKO
JABHII MUQADDAR BADAL SAKEGA
HAMARA APNA !
JO HAMNE MAZI KI GHALTIYOO,N KO DURUST KARNE KI
SEEKH LE LI
TO HAM BHII APNE AHED SE AANKHE,N MILA SAKNGE
HAME BHII SADIYAA,N BHULA N PAYENGI IS ZAMI,N PAR ----

PESHAWAR KE WAQYE SE MUTAASIR HO KAR KAHI GAYI NAZM BILA UNWAN


TAMAM LAASHE,N 
HATA KE HAMNE
KHUD APNE BACHCHE KI LAASH DHOONDHI
DAFN KIYA HAI
KHAAK KI TAH ME
KABHII BANEGA WAHI SAHARA YE SOOCHTE THE
MAGAR YE DAHSAT KII AAG LEKAR
JO GHOOMT E HAI.N
UNEHE,N TO KHAUF-E-KHUDA NAHI,N HAI
TAMAM ROOHE,N JO JISM-E-KHAAKI PAHEN KE AADAM BANI HUI HAI,N
MAGAR YE AADAM KI NASL BHII HAI,N
SAWAL YE HAI !
YE ITNE BACHCHOO,N KO MAUT DEKAR
YE BE QUSOOROO,N KO ZAKHM DE KAR
N JANE KISKO JILA RAHE HAI,N !
KHUDA SE MILNA INHE,N BHII HOGA
ZAROOR IK DIN--------
YE MIL SAKE,NGE----------
GUNAAH KA BHII HISAB KARNA PADEGA
PHIR TO
INHE,N KHABAR BHII NAHI,N HAI SHAYAD
SAWAB SAMJHE HUYE HAI,N JISKO
WAHI GUNAAH-E-AZEEM THAHRA -------!
KHUDA HI INKI
TAMAM FIKROO,N KE BAND DWAR OO,N KO KHOOL SAKTA HAI
YE BHII SACH HAI
MAGA R KHUDA BHII TO MAUN BAITHA HUA HAI KAB SE ?
HAMARI AANKHOO,N KE
SARE AANSU NIKAL CHUKE HAI,N
N INME SAPNE HI JAGTE HAI,N N AAS HI KII CHAMAK HAI KOI
N ZINDGI KI RAMAQ HAI KOI
SULGTE SAHRA KI RET JISA BAN A HAI JEEWAN
YE SOOCHTE HAI,N KI ZINDGI AB THAHER HI JAYE
TO KYA BURA HAI
NAHI,N - NAHI,N YE GHALAT HAI LOGO
HAME,N BACHANA HAI NASL-E-AADAM KO IS ZAMI,N PAR----
AHED KARE,N AUR BATAYE,N SABKO
HAMARE DIL ME KHUDA BASA HAI
HAME,N AB UNKA BHII DAR NAHI,N HAI
JO DAHSHATOO,N KO FAROOGH DENE ME MUHAMIK HAI,N..

ghazal

ZAKHM JO BHII MILE SIYE HI NAHI,N ,,
HAM KI ZINDA RAHE JIYE HI NA HI,N..

HAMKO UNKI SAZA MILI AKSAR .
WO GUNAH JO KABHI KIYE HI NAHI,N..

HUMKO CHAHE JAHA'N SE PADH LEEJE 
HUM TO ITNA LIYE DIYE HI NAHI'N 

KHAAK HAI AUR DHUAA HAI TAQOO'N PAR 
SIRF JALTE HUE DIYEN HI NAHI'N 

QASAR -E-SHAAHII KHAFA HAI PHIR HUM PAR 
HUMNE INAAM JO LIYE HI NAHI'N 

JIN MEIN RAQSAA'N HAI KHHO'N GHAREEBO'N KA 
HUMNE WP JAAM TO PIYE HI NAHI'N 


chand sher

BA NAAM-E-ISHQ HUN SHAHTEER SA GHUNA HUA HUN..
MAI,N APNE AHED KII DEEWAR ME CHUNA HUA HUN..
----------------------------------------------------------------------------

SHABE-SIYAH KE GHANE PAIRAHAN KA DAGH N BAN..
ZABAAN KAT LII JAYEGI TU CHARAGH N BA N
------------------------------------------------------------------------

BANDH GHU NGHRU PAAN,O ME HANGAMA KAR AI ZINDGI ..
 KUCH DINO SE SHAHE R ME ZINDA DILI KHAMOSH HAI..

-----------------------------------------------------------------------

SHAFAQ NUMA THI TIRE JISM KI DHULI RANGAT ..
YE KISKE HOONT CHHUYE HAI,N KI JISM NEELA HUA..
---------------------------------------------------------------------

MANZIL KI JUSTJU NE KIYA PATHTHAROO.N KO PHOOL .
CHHILNE KE BAD AUR MIRE PAAN,O KHIL GAYE..
----------------------------------------------------------------------

DIKHAI DE RAHA HAI WO BHII MUJHKO.
TIRI AANKHOO,N ME JO MANZAR NAHI,N HAI..
------------------------------------------------------------------
MERE TASVEER SE MIRE DUSHMAN .
DAST 0 BAZU UTAR LAYE HAI,N .

nazm

HAWA KE RAQS ME KHUSHBU TIRE BADAN KI HAI---
MAHEK RAHE HAI,N FAZA KE MUHEET SANNATE
CHAHEK RAHE HAI,N CHAMAN KE TAYOOR HAR JANIB
BAHAR RAQS-KUNA HAI KHIZAA,N KE MAUSAM ME
UFUQ PA BIKHRI HUI LAL RAUSHNAI NE
LIKHE HAI,N PHIR SE ZAMI,N PAR HAZAAR AFSANE
JALAN NAHI,N HAI KAHI,N ZINDGI KE SAHERA ME
UMMEED-O-BEEM KE LASHKAR DIKHAI DETE HAI,N
DARAKHT MAST HUYE HAI,N YE KISKI AAHAT SE
KHABAR RASAA,N BHII NAHI,N HAI HAMARE AANGAN ME
KOI DIKHAI BHII DETA NAHI,N HAI DOOR TALAK
ZARA SII DEER KO BAND-E-QABA KHULE HONGE
HAWA KE RAQS ME KHUSHBU TIRE BADAN KI HAI---

NAZM-- SULAG RAHE HAIN BADAN KE ALAAO HAR JANIB ! ---------------------------------------------------------------------------


HAWA-E-SARD TIRA RAQS HAI BALANDI PAR
FAZA ME TAIR RAHE HAI,N GHAZAB KE SANNATE
TAMAM AAG DHUNAA,N KAR RAHI HAI HAR JANIB
MAGAR LAHU ME HARARAT TOBHAR RAHI HAI ABHI
HAMARE AHED KOJISKI BADI ZAROORAT HAI
HARARATOO,N SE GUREZAA,N RAHI HAI NASL-E-NAU
RAWAYATOO,N KE TAHAFFUZ KA JAM PEETE HUYE
NAI RUTOO,N PA MUSALLT AZAAB KI SURAT
PURANI FIKR KE JALOO,N ME PHANS GAYI THI UMMEED
SO USSE BACHNE KI KOOSHISH BAHUT ZAROORI HAI
RUKE HUYE HAIN ZAMI,N PAR HAM EK MUDDAT SE
SO APNE HONE KA EHSAS BHII KARANA HAI
NADI KE PANI SA BAHNA HAI HAMKO JEEVANME
THAHER GAYE TO KISI KAM KE RAHENGE NAHIN
YE RAZ KHUL HI GAYA HAI HAMARI KAVISH SE
ISI LIYE TO JALAI HAI HAMNE AATISH-E-NAU
AB ISKI AANCH ME ZINDA-DILAN-E-SHAHER-E AMAA,N
QALAM UTHA KE BHARENGE HAYAT ME NAVRANG
TUMHARAI AANKH BHII KHUL JAYE TO IDHAR DEEKHO
SULAG RAHE HAIN BADAN KE ALAAO HAR JANIB--!