शनिवार, 8 जून 2013

AANCH ME JISKI UNKE SAAYE HAI,N..

AAG IK DIL ME HAM JALAYE HAI,N .
AANCH ME JISKI UNKE SAAYE HAI,N..

JINSE AB TAK NAHi,N HUA MILNA .
 DHADKANOO,N ME WAHI'N SAMAYE HAI,N..

 CHAHTE HAI,N WO ZAKHM DE,N MUJHKO .
JINKE SAYE PA MERE SAYE HAI,N

HAMNE DEEWAR-O-DAR SE KI BATE,N .
YUN BHI FURQAT KE DIN BITAYE HAI,N..

 MUSKURAYE HAI,N PAAN,O KE CHALE
 JAB WO MANZIL KO DEEKH PAYE HAI,N..

AAPK KE HOOT CHOO KE KHUD MERE .
 CHAND ALFAZ GUNGUNAYE HAI' N..

AAJ PHIR CHOOT KHAI HAI HAMNE .
AAJ PHIR AAP MUSKURAYE HAI,N

TERE RAHMO_KARAM SE HAM APNI.
 BAT BIGDI HUI BANAYE HAI,N ..

 MERE TASVEER SE MIRE DUSHMAN .
DAST 0 BAZU UTAR LAYE HAI,N ..

DHOOP NE RASTA BAHUT ROKA .
HAM TO MAZIL PA PHIR BHI AAYE HAI,N..

HAM UDASI KE BAL-O-PAR APNI .
MUSKURAHAT SE NOOCH LAYE HAI,N..

 AAINA BAN KE KUCH NAHI,N MILTA .
 PATHTHAROO,N NE DIYE JALYE HAI,N..

CHOO KE GUZRE HAI,N SAIKDOO,N TOOFAA,N .
HAM DUAAO,N SE BACHTE AAYE HAI' N ..

 AAINA UNKO SAF KAR DEGA .
RANG JO AAPNE LAGAYE HAI,N..

JINKE AANE KA MUNTAZIR THE HAM .
 WO BADI DEER BAD AAYE HAI,N .

UNKO KHUSHIYAN TO DE N PAYE HAM .
 UNKE AANSU KHAREED LAYE HAI,N

UNKE HO KAR JIYE,N BHI HAM KAISE .
HAM TO KHUD AAJTAK PARAYE HAI,N..

PUST PAR UNKI HAI,N KAI DHABBE .
HAM JINHE,N AAINA BANYE HAI,N ..

 FIKR APNI ZARA JUDA SI HAI .
HAMNE KHEEME ALAG LAGAYE HAI,N .

BAD MUDDT KE AAJ PHIR HAMNE .
TUMKO DEEKHA TO MUSKURAYE HAI,N .

ISSE ZAYAD KHIRAJ KYA DETE .
 HAM TIRA SATH CHHOOD AAYE HAI,N..

MAINE MANZIL YUN HI NAHI,N PAI
. RASTE KHUD QAREEB LAYE HAI,N

NAME _ MAULA ALI LIYA HAMNE .
DOOR AB MUSHKILOO,N KE SAYE HAI,N

ERI CHAHAT KE JANGALOO,N SE HAM
. PED PAUDHE UKHAAD LAYE HAI,N ..

JIN KI KHATIR GANWAA,N DIYA SAB KUCH .
WO HAMI,N KO SAMJH N PAYE HAI,N

ZINDGI KO HAME,N SAMJHNA THA .
 SOOKE PATTE SAMET LAYE HAI,N ..

 KHEMA-YE JAA,N ME DARD KE PAIWAND .
 SAIKDOO,N BAR TO LAGAYAE HAI,N ..

TERE MAHFIL SE KUCH N LAYE BAS
. CHAND AANSU UDHAR LAYE HAI,N .

QARZ JO HAM PA THA TIRA AB TAK .
AAJ WO BHI UTAR AAYE HAI,N ..

CHAAN,O ME JAL CHUKE HAIN HAM ITNA .
 DHOOP ME KUCH SUKOON PAYE HAI,N ..

JINSE MILANA MUHAL THA AI SHAUQ .
 WO HAME,N DEEKHEN KO AAYE HAI,N .

 LAUT KAR IS LIYE HAM AAYE HAI,N .
MAUT KE US KE DAR PA SAYE HAI,N ..

GHAIR KAHTE HAI,N AAP KYUN HAMKO .
 HAM MUHAMMAD [s.a] SE LAU LAGAYE HAI,N ..

MAIN UJALA HUN TO ANDHEERE KYUN
. GHAR SE BAHAR NIKAL KE AAYE HAI,N ....

सोमवार, 3 जून 2013

RAUSHNI AAKHRI SAFAR TAK HAI ..

RIZQ KI FIKR BAL-O-PAR TAK HAI ..
RAUSHNI AAKHRI SAFAR TAK HAI ..
ABR-E-NEESAA,N RIHAI BHI HOGI .
SEEP KI QAID BAS GUHAR TAK HAI..
USKE DIL ME HUN SIRF MAIN HI MAIN.
YE KHABAR MUJH SE BE-KHABAR TAK HAI ..
MERI KHAWAHISH HAI MANZILE-IRFAA,N.
AB E SAUDA BHI MERE SAR TAK HAI ..
YUN BHI VEERAN HAI,N MIRI AANKHE,N .
RAQS-E-TANHAI MERE GHAR TAK HAI ..
MERE BACHCHOO,N ME JAZBA-E-KHIDMAT.
SIRF AUR SIRF MAAL-O-ZAR TAK HAI..
DIL KI DHADKAN ME PYAR KI KHUSHBOO.
TERI PAZEEB KE ASAR TAK HAI ..
SHAKH-E-UMMEED PAR HAI VEERANI .
ISLIYE MURDANI SHAJAR TAK HAI ..
DIL NAHI,N TOODTA KISI KA MAI,N .
YE HUNAR MUJHSE BE HUNAR TAK HAI ..

TAMAM LOG TARSTE HAI,N IK HANSI KE KE LIYE ..

HAZAR DARD MILE MUJHKO ZINDGI KE LIYE ..
MAGAR MAI,N HAR KE BAITHA NAHI,N KISI KE LIYE ..

JUNOON-E-SHAUQ ME TAKMEEL-E-ZINDGI KE LIYE..
KHUDI KO BEENCH DIYA MAI,NE BE KHUDI KE LIYE ..

CHAMAN ME TEERA-SHABI KE SIWA KUCH AUR NAHI,N/
CHARAGH ROZ HI JALTE HAI,N RAUSHNI KE LIYE ..

TAMAM SHAHER HI MUJHKO UDAS LAGTA HAI .
TAMAM LOG TARSTE HAI,N IK HANSI KE KE LIYE ..

JISE BHI APNA BANAYA USI NE MUJHKO DASA .
YE HATH AB N BADHAUNGA DOSTI KE LIYE ..

KHIZAA,N KI DHOOP MASAIB KI DHOOL DARD KE PHOOL.
GALE LAGA LIYA SABKO TIRI KUSHI KE LIYE ..

WO MERE QATL KI SAZISH ME SABSE AAGE THA.
DUAAYE,N MAANGI,N THI,N MAINE JIS AADMI KE LIYE .