गुरुवार, 27 दिसंबर 2012

CHEHRE SE LAG RAHE HO GUNHGAAR SAAF-SAAF..

BHAGWAN KA HE TUM PE YE UPKAAR SAAF SAAF 
SHAITAA,N KE HO TUM KOI AUTAAR SAAF-SAAF..

KAISE KAHUN HO SHAIR-E-KHUDDAAR SAAF-SAAF..
CHEHRE SE LAG RAHE HO GUNHGAAR SAAF-SAAF..

TUMSA KAHI,N PA KOI NAHI,N HAI JANAB-E-MAN.
DEEKHA HAI FACE BOOK KA BHI BAZAAR SAAF-SAAF..

KARTA HUN KOSHISHE,N TO TUMHE,N GHEERNE KI MAI,N.
BACH KAR NIKAL HI JATE HO HAR BAR SAAF-SAAF..

AANKHOO,N SE JANE KISNE PILAYI HE AAP KO .
ABBA TO JEET KE BHI GAYE HAR SAAF-SAAF..

IN QAHQAHOO,N KE RAQS KE PEECHE CHIPA HAI GHAM.
BEGAM NE KYA LAGAI HE PHITKAAR SAAF-SAAF..

AA JAO BAAZ APNE GUNAHOO,N SE ABBA-JAAN.
MAI,N KAR RAHA HUN TUMKO KHABARDAR SAAF-SAAF..

GHAZLOO,N KI ITNI KHEEP LAGA DI HAI APNE .
KHALI HUA HAI AAPKA BHANDAAR SAAF-SAAF..

BAITHE HO SAR JHUKAYE JO TASVEER ME BHI TUM.
NUCHWA KE AYE HO KAHI,N DASTAAR SAAF-SAAF..

CHADAR KE DAGH TUMSE N CHOOTENGE AB KABHI .
AAMAL PA GUNEH KI HAI YALGHAAR SAAF-SAAF..

ALLAAH NE DIYA HAI HAR IK AADMI KO FAN ,
APNI HASAD KO KHUD KARO MISMAAR SAAF-SAAF..

SAALIM HO,N KI NAVED HO,N HASSAAS YA HUMA .
ABBA HE'N SAB TUMHARE WAFA DAAR SAAF-SAAF..

MULLA TUMHARE NAGLE ME JATA BHI HAI KOI .
YE KAH RAHA HAI AAJ KA AKHBAAR SAAF-SAAF..

BAITHE HO TEEZ DHOOP ME TANGE,N SIKOOD KE .
AMMI NE PHIR LAGAI HAI KYA MAAR SAAF-SAAF..

AB JANG KI TO BAT BHI KARNA N TUM KABHI .
KHOONTI PA TANG AAYE HO TALWAR SAAF-SAAF..

GHATE KA AAPNE KOI SAUDA NAHIN KIYA ..
BECHA TO HAI ZAMEER KO HAR BAR SAAF-SAAF..

JISNE BHI SAR JHUKA DIYA GARDAN UTAR LE .
AISA BHI KYA KHULOOS MIRE YAAR SAAF-SAAF..

SAB CHAHTE HAI,N QATL TUMHARA KARE,N MAGAR .
MARNE KO TUM HUYE NAHI TAIYYAR SAAF-SAAF..

TUM BAKHSHTE NAHI,N HO KISI KO BHI KYUN YAHA,N.
LAGTE HAI,N TUMKO SARE GUNAHGAAR SAAF-SAAF

ABBA ZARROR KHOON BADHA HOGA AAPKA .
SAB GA RAHE HAI,N AAPKI MALHAAR SAAF-SAAF..
...

AAJ USNE BHI MUJHE PHAINK KE MARE PATHTHAR..

NARM EHASAS KI BUNIYAD SE HARE PATHTHAR ..
BAN GAYE SAARE YATEEMOO,N KE SAHARE PATHTHAR.. 

LAZZAT-E_DEED SE MAHROOM HUYE JO UNKE ..
EK JAISE HAI,N JAHAN BHAR KE NAZARE PATHTHAR.. 

SHEESH MAHLOO,N KA MUKHALIF JO HUA HAI WO SHAKHSH.
CHEEN KAR LE GAYA HATOO,N SE HAMARE PATHTHAR.. 

RAUSHNI CHAN KE CHALI AAI GUFA KE ANDAR .
USNE SOORAKH SE WAISE TO GUZARE PATHTHAR.. 

TAH ME PAANI KI MUHABBAT ME PADE RAHTE HAI,N.
AAG RAKHTE HAI,N MAGAR JISM ME SARE PATHTHAR.. 

GHAR KI TANHAI ME IK PEED LAGAY THA KABHI .
JAB SAMR AAYE TO APNOO,N NE BHI MARE PATHTHAR.. 

SIRF IK JURM-E-SIDAQT HI HUA THA MUJHSE .
EK -IK SHKHSH NE KYUN PHAIK KE MARE PATHTHAR.. 

WO TO PAANI NE UNHE,N TAH ME RAKHA TAH WARNA.
AAG DUNIYA ME LAGA DEETE YE SARE PATHTHAR.. 

LAMS-E-SARWAR JO MILA QAID HUYE MUTHTHI ME .
AUR PHIR KALM-E-HAQ BHI TO PUKARE PATHTHAR.. 

GOD ME JISKO KHILAYA TAH KABHI BASOO,N TAK.
AAJ USNE BHI MUJHE PHAINK KE MARE PATHTHAR.. 

AASMAA,N SE YE ZAMI,N BHI TO CHAMKTIHAI BAHUT.
DEEKHNE WALE FAQAT CHAND-SITARE-PATHTHAR.. 

DE GAYE DARS-E-QANA-AKA SABAQ DUNIYA KO .
PEAT PAR BANDH KE MAHBOOB HAMARE PATHTHAR..

RAM KA NAM BALANDI KI ALAMAT THAHRA .
JAB LIKHA NAM SAMNDAR NE UBHARE PATHTHAR.. 

BAR SE UTH NAHI,N PAATE HAI,N JABHI PAANI KE.
SANG HONE KE UTHATE HAI,N KHASARE PATHTHAR.. 

DIL KA TO ZIKR HI KYA ROOH LARZ JATI HAI .
JAB HATHELI SE MIRI KHAL UTARE PATHTHAR.. 

BARISH-E-SANG ME IS DARJA RAHA HUN AI SHAUQ.
MUSKURATE HAI,N MUJHE DEEKH KE SARE PATHTHAR..

MERI TAQKHLEG SE AAYE MIRE FAN KI KHUSHBOO ..

PHAIL JAYEGI HAR IK SAMT SUKHAN KI KHUSHBOO ..
MERI TAQKHLEG SE AAYE MIRE FAN KI KHUSHBOO ..

SHAHED SA GHOOLE HAI KANO ME MUSALSAL URDU.
KITNI SHERI,N HAI SANA-KHWAN-E-DAHAN KI KHUSHBOO ..

MUDDATOO,N TAK JO MIRE QALB ME MEHMAN RAHA.
AB BHI AATI HAI USI ZAKHM-E-KUHAN KI KHUSHBOO ..

NOOR RAHTA HAI ANSIR KI HADOO,N ME JAB TAK .
PHAILTI RAHTI HAI DUNIYA ME BADAN KI KHUSHBOO ..

KAUN AAYA HAI HISAR-E-DIL-E WAHSHI ME ABHI .
QALB-E-EHSAS SE AATI HAI GALAN KI KHUSHBOO ..

TERE DIL ME TO UJALA NAHI,N HONE WALA .
MUJHKO MAHSOOS HUI SANWALEPAN KI KHUSHBOO ..

JAB CHUAA MERI HATHELI ME PADE CHALOO,N KO.
USKO MAHSOOS HUI HATH SE GHAN KI KHUSHBOO ..

GHAR KE MAHAUL KO PAKEEZA BANA DETI HAI .
GHAR ME PHAILI HUI DATA KE HAWANKI KHUSHBOO ..

WAHSHATE,N RAQS ME RAHTI HAI,N MUSALSAL DEKHO.
AAJ HAR SHAHER ME DAR AAI HAI BAN KI KI KHUSHBOO ..

MUZTARIB KARTI HAI,N JIDDAT KE PARASTAROO,N KO.
MERI GHAZLOO,N ME RIWAYAT-E-KUHAN KI KHUSHBOO ..

AAPSI PREM HAI BHARAT KA BAHUT HI AALA .
KHANQAHOO,N SE BHI AATI HAI BHAJAN KI KHUSHBOO ..

रविवार, 2 दिसंबर 2012

chand ash'aar

RAUSHNI KI TALAB TO THI AI DOST.
 MERA HI GHAR JALA DIYA TOONE..

 APNE DIL SE NIKALNE KE BAAD. 
PHIR MUJHE RASTA DIYA TOONE..

 DOSTI THI TO YE ZUROORI THA. 
PHIR MIRA QAD GHATA DIYA TOONE

AB KISI AUR KO MAIN KYA DEEKHUN.
 APNA JALWA DIKHA DIYA TOONE

RANJ ULJHAN GHUTAN PARESHAI 
. MUJH KO KYA KYA NAHIN DIYA TOONE

SHUKRIYA PHIKR PAR LADI ITNI . 
BEDIYOO,N KO HATA DIYA TOONE..

APNE JAZBAT MUJH PA URIYAA,N KAR. 
AAINA PHIR DIKHA DIYA TOONE

 SHAHER KI AAKHRI FASEEL PA PHIR.
. MERA HI SAR LAGA DIYA TOONE

TERE DIL SE TO MAIN NIKAL AAYA.
 AANKH ME AASRA DIYA TOONE..

MAINE MANGA THA TUJHSE DIL LEKIN
. KYA KAHA AUR KYA DIYA TOONE..

GHAZAL...JAB JALA KHUD KO MAI,N BANA KE CHARAGH ..



ZEHN ME HAIN TIRI ATA KE CHARAGH ..
SAB JALATE HAI,N IN SE AA KE CHARAGH ..

LALIMA BADH GAYI LAHU PI KAR .
DEKH SOORAJ UGA HAI KHA KE CHARAGH ..

HO GAYA KHATM RAQS ZULMAT KA .
JAB JALA KHUD KO MAI,N BANA KE CHARAGH ..

SATWE,N AASMA,N KE UPAR BHI ,
HAI,N ABHI MERE NAQSH-E-PAKE CHARAGH ..

SARBALANDI ATA-E-RABBI HAI .
BUJH GAYE SABKI BADDUAKE CHARAGH ..

ZULMATE,N MUHN CHIPAYE PHIRTI HAI,N.
AUR JALTE HAI,N SAR UTHAKE CHARAGH ..

CHAHTE HAI,N BAQA KISI SOORAT .
GHUP ANDHERE ME SAB FANA KE CHARAGH ..

PHIR SE IMKAN BARISHOO,N KE HAI,N .
JALNE WALE HAI,N PHIR GHATA KE CHARAGH ..

JISKA JI CHAHE GHAR CHALA JAYE .
USNE SABSE KAHA BUJHA KE CHARAGH ..

MUSHTAIL HO RAHE HAI,N ZEHN-O-DIL .
BUJH N JAYE,N KAHI,N HAWA KE CHARAGH ..

RAH CHALTE N LOG TAKRA JAYE,N .
DIN ME CHALTA HUN MAI,N JALA KE CHARAGH ..

BUZDILOO,N KI QATAR ME GUMSUM .
CHIP KE BAITHE HAI,N BEWAFA KE CHARAGH ..

RASTA KAT DEGI PHIR BIL LI .
APNE SAR PAR RAKHO DUA KE CHARAGH ..

RAUSHNI ME GUNAAH NA MUMKIN .
LOG SOTE RAHE JALA KE CHARAGH ..

SANS LENGE ZARA SUKOON SE PHIR .
ANDHIYOO,N KO ABHI HARA KE CHARAGH ..

KAN ME GOONJTE RAHE SHAB BHAR .
AAPKI AN KAHI SADA KE CHARAGH ..

AAYATOO,N KA NUZOOL AHMAD PAR.
AUR QURAA,N ME HAI,N KHUDA KE CHARAGH ..

MAIN BHI KARTA HUN MATAM-E-SHABBEER.
AANSUOO,N KE JALA JALA KE CHARAGH ..

KYA AJAB YE NIZAM-E-QUDRAT HAI .
JALTE RAHTE HAI,N SAR KATA KE CHARAGH ..

BAZU -E-KUFR KAT DALENGE .
HAM BHI IMAN KE JALANKE CHARAGH ..

USKI AANKHOO,N ME JALTE RAHTE HAI,N.
MERE HI ISHQ KI HAYA KE CHARAGH ..

ghazal....KAGAZ PA JAB KHYAL KE PAIKAR UBHAR GAYE ..

SHOHRAT KI TEEZ DHOOP ME HAM BHI NIKHAR GAYE ..

KAGAZ PA JAB KHYAL KE PAIKAR UBHAR GAYE ..

YE BARGAH-E-HAQ HAI YAHA,N SAR KE BHAL CHALO.

JO SAR UTHA KE CHALTE THE UN SABKE SAR GAYE ..

INSAF KE HUSOOL ME HAM JAISE CHAND LOG .
'
CHAKKAR ADALATOO,N KE LAGANE ME MAR GAYE ..

MUJH PAR TUMAHARE LAMS KA ZAHIR HUA ZAHOOR.

TUMNE JO CHU LIYA TO MIRE ZAKHM BHAR GAYE ..

YE SAB TAGHAYYURAAT -E-ZAMANA KE KHAIL HAI,N.

JO AASMM,N KE LOG ZAMI,N PAR UTAR GAYE ..

ghazal ..........MAOO,N KI APNI KHOOKH KE BAHCHE BHI MAR GAYE ..

KUCH AISE HADSAAT WATAN ME GUZAR GAYE ..
MAOO,N KI APNI KHOOKH KE BAHCHE BHI MAR GAYE ..

GHAR ME NAHI,N THA ANN KA DANA TO AI KHUD .
JANGAL KE KUCH PARIND MIRA PET BHAR GAYE ..

IS HAUSLE KI DAD TO DEEJE HAM AISE LOG .
KAGHAZ KI KASHTIYOO,N SE NADI ME UTAR GAYE ..

JATE HAI,N GHOONSLOO,N ME PARIDE BHI SHAM KO.
HAM JISM KE MAKAN SE NIKLE TO GHAR GAYE ..

POOCHA KI ZINDGANI KA ANJAM TO BATAOO .
HATHOO,N SE MERE TASH KE PATTE BIKHAR GAYE ..

AANKHE,N NAHI,N HAIN SHAUQ HAI SAPNO,N KI QABRGAH.
KHAWABOO,N KI MAUT KO TO ZAMNAE GUZAR GAYE ..

ghazal ....JAHA,N ME ISKI KOI BHI MISAL KYA HOGA ..

MISAL-E-GUMBAD-E-KHAZRA JAMAL KYA HOGA ..
JAHA,N ME ISKI KOI BHI MISAL KYA HOGA ..

USE JO YAD KARU,N DIL KI DHADKANE,N BADH JAYE,N.
YE HAL-E-DIL HAI NIGAHOO,N KA HALL KYA HOGA ..

HAWAS ME BAP NE BETI KII AABRU LOOTI .
AB IS SE AUR ZIYADHAH ZAWAL KYA HOGA..

GIRA HUN APNI NIGAHOO,N SE MAIN SO AB MERA.
TIRI NIGAAH ME MANSAB BAHAL KYA HOGA ..

TIRA WAJOOD HI SHEESHE SE MAVIRA HAI AI DOST.
AB IS HISAB SE SHEESHE ME BAL KYA HOGA ..

MAIN ANDROON SE KAISA SHAREEF BANDA HUN .
HAWAS NASEEB NAZAR KO KHAYAL KYA HOGA ..

JAHA,N ME HOTA HAI SAB KUCH USI KI MARZI SE .
TO AB HAMARA , KISI KA , KAMAL KYA HOGA ..

MAIN IK KISAN HUN MEHNAT TO MERA SHEWA HAI .
GHAMOO,N KI DHOOP ME CHEHRA NIDHAL KYA HOGA..

JAHAN-E-FIKR KI DAULAT LUTA RAHE HAI,N HAM .
HAMRE JAISA KOI KUCH-KHISAAL KYA HOGA ..