रविवार, 2 दिसंबर 2012

ghazal ..........MAOO,N KI APNI KHOOKH KE BAHCHE BHI MAR GAYE ..

KUCH AISE HADSAAT WATAN ME GUZAR GAYE ..
MAOO,N KI APNI KHOOKH KE BAHCHE BHI MAR GAYE ..

GHAR ME NAHI,N THA ANN KA DANA TO AI KHUD .
JANGAL KE KUCH PARIND MIRA PET BHAR GAYE ..

IS HAUSLE KI DAD TO DEEJE HAM AISE LOG .
KAGHAZ KI KASHTIYOO,N SE NADI ME UTAR GAYE ..

JATE HAI,N GHOONSLOO,N ME PARIDE BHI SHAM KO.
HAM JISM KE MAKAN SE NIKLE TO GHAR GAYE ..

POOCHA KI ZINDGANI KA ANJAM TO BATAOO .
HATHOO,N SE MERE TASH KE PATTE BIKHAR GAYE ..

AANKHE,N NAHI,N HAIN SHAUQ HAI SAPNO,N KI QABRGAH.
KHAWABOO,N KI MAUT KO TO ZAMNAE GUZAR GAYE ..

कोई टिप्पणी नहीं: