गुरुवार, 27 दिसंबर 2012

MERI TAQKHLEG SE AAYE MIRE FAN KI KHUSHBOO ..

PHAIL JAYEGI HAR IK SAMT SUKHAN KI KHUSHBOO ..
MERI TAQKHLEG SE AAYE MIRE FAN KI KHUSHBOO ..

SHAHED SA GHOOLE HAI KANO ME MUSALSAL URDU.
KITNI SHERI,N HAI SANA-KHWAN-E-DAHAN KI KHUSHBOO ..

MUDDATOO,N TAK JO MIRE QALB ME MEHMAN RAHA.
AB BHI AATI HAI USI ZAKHM-E-KUHAN KI KHUSHBOO ..

NOOR RAHTA HAI ANSIR KI HADOO,N ME JAB TAK .
PHAILTI RAHTI HAI DUNIYA ME BADAN KI KHUSHBOO ..

KAUN AAYA HAI HISAR-E-DIL-E WAHSHI ME ABHI .
QALB-E-EHSAS SE AATI HAI GALAN KI KHUSHBOO ..

TERE DIL ME TO UJALA NAHI,N HONE WALA .
MUJHKO MAHSOOS HUI SANWALEPAN KI KHUSHBOO ..

JAB CHUAA MERI HATHELI ME PADE CHALOO,N KO.
USKO MAHSOOS HUI HATH SE GHAN KI KHUSHBOO ..

GHAR KE MAHAUL KO PAKEEZA BANA DETI HAI .
GHAR ME PHAILI HUI DATA KE HAWANKI KHUSHBOO ..

WAHSHATE,N RAQS ME RAHTI HAI,N MUSALSAL DEKHO.
AAJ HAR SHAHER ME DAR AAI HAI BAN KI KI KHUSHBOO ..

MUZTARIB KARTI HAI,N JIDDAT KE PARASTAROO,N KO.
MERI GHAZLOO,N ME RIWAYAT-E-KUHAN KI KHUSHBOO ..

AAPSI PREM HAI BHARAT KA BAHUT HI AALA .
KHANQAHOO,N SE BHI AATI HAI BHAJAN KI KHUSHBOO ..

कोई टिप्पणी नहीं: