रविवार, 11 नवंबर 2012

PHOOL MAINE UGAYE MEHNAT SE


MERA MOHSIN ABHI NAHIN AAYA 
-DHOOP KHUMBHLA GAYI HAI FURQAT SE-

HAM SABHI KO HAWAS HAI DUNIYA KI-
KOI BACHTA NAHIN BURI LAT SE-

MUJHKO MANZIL PUKARTI HAI JAB-
AABLE DEKHTE HAIN HAIRAT SE

DIL JALAYA THA MAINE DHARTI PAR 
JHUK GAYA AASMAN HAIRAT SE

KHUSHBUYE,N RAQS PAR HAI,N AAMADA
GHAR ME SAB NOOR HAI IBADAT SE

APNI JANNAT BANAI HAI MAINE
-GHAR ME QURAAN KI TILAWAT SE

YE TO BANJAR ZAMEEN THI ISME
PHOOL MAINE UGAYE MEHNAT SE

 MAIN TO BE KHAUF BOOLTA HUN SACH
-LOG DARTE HAIN MERI HIMMAT SE

 USKE SAPNE KHAREED LAYA MAIN-
 SIRF TANHAIYOO,N KI DAULAT SE

 SAIKDOO,N AANGNOO,N KE DEEPAK WO_
 KYUN BUJHATA HAI APNI NAFRAT Se

 MUJHKO ROOKE HAI MERI MAJBOORI _
KHELTE HAI,N WO MERI GAIRAT SE

DEEKH FAULAD GAL BH I SAKTA HAI
---AANKH KE AANSUON KI TAQAT SE
AAJ HAI DUSHMANI PA AAMADA-
KAL PATANGE,N UDAI,N JIS CHAT SE
 KHAWAB AANKHOO,N SE HO GAYE RUKHSAT
 -WO BHI GHABRA GAYE QANAAT SE

LOG SAMJHENGE BUZDILI SO MAIN
DOOR RAHTA HUN AB SHARAFAT SE

 AAP MUJH KO SHIKAST KYA DEENGE
HAUSLA MIL RAHA HAI DIQQAT SE

DIL ME KHANJAR WAHI UTAREGA -
-MUJHSE MILTA HAI JO MUHABBAT SE

 FIKR KE PAAN,O RUK NAHI,N SAKTE
-AASMAA,N PAS HAI MIRI CHAT SE

MERE LAFZOO,N ME JAAN HAI SARI
MERE MAULA TIRI INAYAT SE

ZINDGI BHEEK ME MILE TO PHIR -
-NOCH KAR PHAINK DUN HIQARAT SE

 SEHN-E-GULSHAN ME TAZGI KYA HO-
PHOOL MURJHA GAYE SIYASAT SE

DAUR-E-HAZIR ME SHAUQ SAHIB AB
-KAM CHALTA NAHI,N SHARAFAT SE

 USNE PAIROO,N ME RAKH DIYA HAI SIR
-WO BHI WAQIF HAI MERI AADAT SE

शुक्रवार, 9 नवंबर 2012

DIYA KISI KA BHI RAHTA NAHIN KABHI MAHFOOZ ..

HAR IK MAQAM PA JAB TU HAI WAQAI MAHFOOZ ..
TO PHIR YE KAISE HAI ZEHNOO,N ME GUMRAHI MAHFOOZ ..

BINA HAWA KE BHI BUJHNA HAI EK DIN USKO .
DIYA KISI KA BHI RAHTA NAHIN KABHI MAHFOOZ ..

TO KHUD KUSHI N KARO MASALE KA HAL DHOONDHO.
JAHAN KE BAD BHI RAHTI HAI ZINDGI MAHFOOZ ..



KI MOR JHOOM KE NAACHE HAI BHEEGTE BAN ME .
RAKHO TO AISE RAKHO DIL KI HAR KHUSHI MAHFOOZ ..



HAI APNI MAUT KI AAHAT PA ROOH PHIR KHANDA,N.
BICHAD KE BHI THI YE PREETAM SE BAWALI MAHFOOZ ..



JAHAN-E-GUMSHUDGAA,N KE MAKEEN HAI,N SAARE .
YAZEED HO KI HO FIRAUN HAI KOI MAHFOOZ ..



HAI MERE JISM ME TERE HI NOOR KA PARTAV .
ISE TO RAHNA HAI MARNE KE BAD BHI MAHFOOZ ..



N KOI KHARJI MISRA N HI KOI MAFHOOM .
HAMRE SHEROO,N ME HAI FIKR-E-DAKHILI MAHFOOZ ..



KAHI,N JAHA,N ME THIKANA NAHIN MILA ISKO .
HAMRE GHAR ME HI RAHTI HAI MUFLISI MAHFOOZ ..



MITHAS ITNI BHARI HAI ZABAN-E-URDU ME .
JABHI HAI ISME BALA KI SHAGUFTGI MAHFOOZ ..



NIKAL TO AAYE HAI,N JANGAL SE SHAHER ME LEKIN.
TAMAM SHAHER ME AB TAK HAI,N JANGLI MAHFOOZ ..



BACHANE WALE SE KAMTAR HAI MARNE WALA .
JABHI HAI SHAHER-E-SITAMGAR ME ZINDGI MAHFOOZ ..



WO BANT TA HAI UJALE TAMAM DUNIYA KO .
HAI JISKI PUSHT PA SADIYOO,N KI TEERGI MAHFOOZ ..



KHUSHI ILAQ-YE-DIL SE NAHIN GUZARTI HAI .
N WO YAHAN HAI N AB USKI YAD HI MAHFOOZ ..



KHUDA NE TUMKO BANAYA HAI AFZALUL -MAKHLOOQ.
TO KISNE ZEHN ME RAKHKHI DARINDGI MAHFOOZ ..



ZAMEEn-E-FIKR ME BOTA HUN ROZ TUKHM -E-NAU.
JABHI TO GHAZLOO,N ME RAHTI HAI TAZGI MAHFOOZ ..



N RAH SAKI TIRI AANKHOO,N ME PYAR KI KHUSHBOO.
N AB BACHI MIRE SEENE ME AAG HI MAHFOOZ ..



TAMAM SHAHER SE ZINDA DILI NADARAD HAI .
BAGHAIR USKE N DIN HI N RAAT HI MAHFOOZ ..



JANAB AAPNE KAISA SAWAL POOCHA HAI .
WABA-YE -FIRQA PARASTI ME AADMi MAHFOOZ ..



HAI SIRF WIRD-E-ZABAA,N NAM IK TIRA MALIK.
N KOI DAWA E SAJDE NA DAGH HI MAHFOOZ.....

शनिवार, 3 नवंबर 2012

naat.....

KHULEGA OR NA KHUL PAYA KABHI UQDA MUHAMMAD KA.
KHUDA HI JANTA HAI MANSABO DARJA MUHAMMAD KA..

AGAR AANKHOO,N ME BAEENAI KII LAZZAT HAI ABHI BAQI .
ZAMI ,N SE AASMA,N TAK DEKHIYE JALWA MUHAMMAD KA..

MA-E- TAUHEED PEENA HAI TO JAB CHAHE CHALE AAO.
KHULA RAHTA HAI ROZ- O-SHAB YE MAIKHANA MUHAMMAD KA..

KITAB- E- HAQ PADHOOGE TO KHULEGA RAZ YE TUM PAR .
KHUDA KA HAI WAHI BANDA JO HAI BANDA MUHAMMAD KA..

AMAL SE AUR TAQWE SE MILEGI FAUQIYAT TUMKO .
YAHI THA NASL-E-AADAM AAKHIRI KHUTAB MUHAMMAD KA..

MUHAMMAD KI SANA KARTA HAI KHUD QURAA,N ME KHALIQ.
HUDOOD- E - FIKR SE AAZAD HAI RUTABA MUHAMMAD KA..

GHULAM-E-MUSTAFA HUN MAIN MUJHE DUNIYA SE KYA MATLAB.
MUJHE PAHCHAN LEGA WO JO KHUD HOGA MUHAMMAD KA..

HASAD NE AAJ KAR DALI HAIN FIRQABANDIYA,N KITNI.
WAGARNA IBTIDA SE EK THA FIRQA MUHAMMAD KA..

UNHI,N KE WASTE DUNIYA BANYI KHALIQ_E _ KUL NE.
TABHI MAQROOZ HAI DUNIYA KA HAR ZARRA MUHAMMAD KA..

DUA DETE THE WO HAR DAM AZEEYAT DENE WALO,N KO.
HAMESHA YAD RAKHKHO US WA_E_ HASNA MUHAMMAD KA..

LAQAB UMMI THA LEKIN SARI DUNIYA KO SIKHATE THE .
THA ILMUL_GHAIB PAR BHI KIS QADAR QABZA MUHAMMAD KA..

TUME,N ALLAH KI QURBAT KABHI HASIL NAHIN HOGI .
JO SAMJHA HI NAHIN QURAAN SE RISHTA MUHAMMAD KA ..

TASHADDUD KI FAZA ME SANS LETE HAR MUSALMA KO.
BANANA CHAHIYE KIRDAR, THA JAISA MUHAMMAD KA ..

LAGE THE KALM-E-HAQ BOOLNE KANKAR HATHELI PAR.
KHUDA KI MEHR THI SARA KARISHMA THA MUHAMMAD KA ..

QANA AT KHUD NABI KE PAAN,O CHOO KAR FAKHR KARTI THI.
WAGARNA DOONO AALM ME NAHIN KYA THA MUHAMMAD KA ..

AGAR TOO ROZA_ E_AQDAS KI JALI TAK KABHI PAUNCHU,N.
TO CHASHM E "SHAUQ" TOO BHI DEKH LE ROZA MUHAMMAD KA ..

DARD SE SEENA GAYA THA PHIR JHULAS..

AANKH SE AANSU NIKALNA THA KI BAS. + DARD SE SEENA GAYA THA PHIR JHULAS..

PHIR ZAMEEN -E-DIL ME CHAYI HAI UMAS. + AANKH KE BADAL YAHAN KHUL KAR BARAS..

KAGHAZOO,N PAR HAI CHAMAN .KALIYA,N N RAS + AUR MAGHAS KYA DOOR HAI AKS-E-MAGHAS

ZINDGI PAL-PAL GHATATA HAI MIRI + KHATAM HOTA TOOT TA IK IK NAFAS

SAB PE QABZE KI TALAB ME AADMI + HAI AZAL SE TA ABAD BE DATRAS

CHEEKHTI HAI,N RAT BHAR TANHAIYA,N + SARD RATOO,N NE BADHAI HAITAMAS

TU SITARA HAI TO RAUSHAN KAR JAHA,N + ABR HAI TO IN ZAMEENOO,N PAR BARAS

NA MURADI MUNTAZAIR THI GHER LUN + HAN MAGAR UMMEED PAR CHALTA HAI BAS

MUFLISI BAL KHAI NAGAN KI TARAH + EK DIN IN BE ZAMEEROO,N KO BHI DAS

DIL DAHELTA HAI JO SUNTA HUN KABHI + NUQRAI LAFZOO,N ME HAI BAANG-E-JARAS

ZINDGI KARNA SIKHA DE,N JO HAME + LOG AISE CHAHIYE DO-CHAR-DAS

KHUD SE MILNE KI TAMANNA THI MILE + DHUL GAYI CHEHRE SE DUNIYA KI HAWAS

BARISHE,N MUJHKO JAGANE AA GAYI,N + EENT KA TAKIYA LAGA SOYA THA BAS

SEEKHTE HAI,N LOG DARYOOZA GARI + BADH GAYI HAI KITNI AADAM KI HAWAS

HUKMRAA,N BHI TILMILATE HAI,N BAHUT + JAB PARINDOO,N PAR NAHI,N CHALTA HAI BAS

MAUT SE MUJHKO DARANA HAI FIZOOL + ROZ HI TO MAI,N BADALTA HUN QAFAS

KHO GAYI HAI PHIR CHAMAN KI TAZGI + DHOOP NE PHIR PII LIYA KALIYOO,N KA RAS

DAGH KAB LAGNE DIYA HAI JISM PAR . + HAMNE YE CHADAR RAKHI HAI JAS KI TAS

BUGHZ RAKHTA HAI TU APNE QALB ME. + MERI SHOHRAT SE JHULASTA HAI JHULAS

KHOL DEE,N HAI,N FIKR KI SAB BEDIYAA,N + SARI DUNIYA,N KO LIYA BAHOO,N ME KAS

LAFZ HAI,N BATN-E-QALAM ME MUNTAZIR + IS QADAR HASIL HAI MUJHKO DASTRAS

ISHQ KA PATHTHAR HAI BHARI KIS QADAR- + HO NA PAYA AAJ TAK JO TAS SE MAS---

USNE PHIR QAULE ALI SABIT KIYA + JIS PA BHI KHAYA KABHI MAINE TARAS

RAH GAYI,N SAYYAD KI AANKHE,N PHATI- + KAT DALI HATH KI IK- EK NAS--

HO GAYI MAHAUL ME TEZABIYAT - + KHA GAYI AAB-O-HAWA KO PHIR UMAS-

KHAN-E-DIL ME KAHE,N KOI NAHI,N- + IS QADAR BISIYAR TANHAI KI BAS--

DAST O BAZOO LE GAYA HAI WO MIRE- + KAH RAHA THA JO KI KHA MUJH PAR TARAS-

HATH ME KUCH BHI NAHIN HAI AUR TU- + CHAHTA HAI HAR KISI PAR DAT RAS--

ZULM KI WO AAKHIRI MANZIL THI JAB- + ILTIJA KHUD MAIN NE KI ALLAH BAS-

BATN-E-MADAR BAN GAYE HAI,N QATLGAH- + KIS QADAR QATIL HAI INSA,N KI HAWAS-

BE ZAMEERI SO RAHI HAI ODHKAR - + CHADAR-E -AASAISH E HIRS-O-HAWAS-

KAUN AAYA JHOOM KAR NACHI BAHAR - + GUNGUNATE HAI,N CHAMAN KE KHAR-O-KHAS--

PAAN,O KE CHHALO,N KO MANZIL MIL GAYI- + BAH GAYI HAI PHOOT KAR BOO-E-HAWAS-

TOD KAR PHIR RAT KA GAHERA SUKOOT - + DOOR SE AATI HAI AAWAZ-E-JARAS-

AANKH HO TO DEKH MERI AANKH ME- + RAT KI TANHAI KI BOONDOO,N KA RAS-

US SE MILNE KI LAGAN ME DOSTOO,N- + CHOOD AAYA JISM KI SARI UMAS --

JAB KABHI USNE MUJHE AAWAZ DI - + TOD KAR BAHAR NIKAL AAYA QAFAS--

TUJHSE BICHDA HUN TO AYE JAN-E-BAHAR- + EK IK LAMHA LAGE IK IK BARAS-

JHOOTHOO,N KI SARI KARASTANIYA,N - + TU KABHI INKI BHI TO RASSI KO KAS-

AAJ KAL HAM BHI ISI ZUMRE ME HAI,N- + KAL TALAK KHATE THE LOGO,N PAR TARAS-

WAQT TO ANGDAIYA,N LETA RAHA . + AUR HAM DEKHA KIYE ITNE BARAS..

ZINDGI MUTHTHI ME AAI RET THI - + HATH SE YUN CHHOOT KAR BIKHRI KI BAS.

PHIR KHAS O-KHASAK ULJHE PAAON ME. + DOOR SE MANZIL NAZAR AAYI KI BAS..

LAHJ _E _ DUSHNAM ME BOLE ADEEB . + JAB DILOO,N ME BAS GAYI ZALIM HAWAS..

AAO HAM UN PAR KABHI MATAM KARE,N . + JIN KI LAASHOO,N KO NAHI,N MILTA QAFAS..

RAH SE BHATKA HUN MAI,N MERE KHUDA. + AUR AB HALAT KI ZANJEER KAS..

SHAUQ US MAALI P A LAANAT BHEJIYE - + ADHKHILI KALIYOO,N KA JO PEETA HAI RAS-
..

पड़ाव

पड़ाव
मैं ज़र्द पत्तों से
ज़िन्दगी का सबक़ न सीखूं तो क्या करूं अब?
ये मेरी फ़िक्री सलाहियत का इक इम्तेहां नहीं तो ये और क्या है?
ये ज़र्द पत्ते जो रास्ते में ज़मीं के तन पर पड़े हुए हैं,
ये ज़र्द पत्ते,
कभी शजर के जवां बदन पर सजे हुए थे, टंके हुए थे,
जवां उमंगों से, हसरतों से भरे हुए थे,
हवा के बहते हुए समन्दर में खेलते थे,
तमाम मौसम की सख्तियों में किलोल करते थे, झेलते थे.
बहार का हुस्न इनके लबों की जुंबिश पे मुन्हसिर था.
शुआ-ए-उम्मीद फड़क के इनकी
जवां उमंगों को अपने लहू से सींचती थी
और इनके जिस्मों की थरथराहट को अपने सीने में भींचती थी
मगर ये मौसम भी मेहमां था कुछ इक दिनों का.
बस एक मुद्दत के बाद ऐसा हुआ कि इक दिन
ये ज़र्द पत्ते, शजर के तन से जुदा हुए तो किसी ने दिल का न हाल पूछा
ज़मीं ने इनको गले लगाया, पनाह भी दी.
ये ज़र्द पत्ते
अब अपने अगले सफर से पहले पड़ाव में हैं.

CHAIN SE DIN GUZAR LETE KASH ..

KHWAHISH-E-DIL KO MAR LETE KASH ..
CHAIN SE DIN GUZAR LETE KASH ..

SAB SE CHUP KE HAMARI AANKHO,N ME.
EK SHAB TO GUZAR LETE KASH ..

ZAHER AALOOD THI FAZA-E-SHEHAR .
KHUSHBOO-E-ZULFE YAAR LETE KASH ..

TAI SHUDA THI SHIKAST DUSHMAN KI.
HAM BHI SHAB-KHOON MAR LETE KASH..

SAB TUJHE CHATE HAIN DUINYA ME.
HAM TIRA ROOP DHAR LETE KASH ..

ISHQ ME KUCH NAHI,N LIYA JATA .
HA< YAHI IKHTIYA LETE KASH ..

HASHR KE DIN WO APNE HATHOO,N ME-
DAMN-E-DAGHDAR LETE KASH ..

RAHMATE,N AASMAN SE BARSE,N .
HAM BHI UNKI PHUHAR LETE KASH ..

DASHT -E-GHURBAT ME CHAIN SE JEETE.
NAFS KO APNE MAAR LETE KASH ..

SAR N RAKHNE ME SAR BALANDI HAI.
YE SABAQ KHAKSAR LETE KASH ..

SAB KO AAWAZ DI THI MAHFIL ME.
WO MUJHE BHI PUKAR LETE KASH ..

PI LIYA FIKR NE LAHU SARA.
ILM KI BHOOK MAR LETE KASH ..

AANSUOO,N PAR YAQEEN THA TO PHIR .
DAMN-E-DAGHDAR LETE KASH ..

HAM TUJHE DEKHNE SE THE QASIR .
DEKHTE TO PUKAR LETE KASH ..

MAIN NAHI,N THA TO MERI SOORAT HI.
PATHTHAROO,N PAR UBHAR LETE KASH ..

HAQ PARASTI KA HAQ ADA HOTA .
NOOK-E-NAIZA KE WAR LETE KASH..

SANG -E-ISHQ-JUNU BHI UTH JATA .
APNE SAR PAR YE BAR LETE KASH ..

ZINDGI CHAIN SE GUZAR JATI .
KHAK-E_NAQSH-E BAHAR LETE KASH ..

NASL-E-AADAM SUKOON PA JATI .
MADAD-E-YAAR-E GHAR LETE KASH..

NA UMEEDI SE LAKH BEHTAR THA.
LUTF E LAIL-O NIHAR LETE KASH ....**

HUM KOI JANG HARTE HI NAHI,N .
SAYA-E-ZULFIQAR LETE KASH ..

HO GAYA JISM ZAKHM AALOODA .
HAM YE KAPDA UTAR LETE KASH ..

ZULMAT _ E_ SHAB KA QATL HO JATA .
IK SITARA UTAR LETE KASH ..

BATN-E -MADAR ME MAARNE SE QABL .
AAP KUCH TO BICHAR LETE KASH ..

.SABR SE ZALIMOO,N KE CHEHROO,N SE.
RANGH -O-RAUGHAN UTAR LETE KASH..
..
JANG HOTI N PHIR QABEELE ME .
APNA APNA SHIKAR LETE KASH

HAI TIREI FIKR PAR LIBAS MIRA .
TUM YE KAPDE UTAR LETE KASH..

ROOH KE SARE DAGH DHUL JATE .
RAT SE DIN GUZAR LETE KASH..

HAI UROOS-E BAHAR SAR GARDA,N.
IK ZARA SA NIHAR LETE KASH ..

ZAHER-E-UMMEED PI KE HAM AI "SHAUQ" .
MUSHKILOO,N ME GUZAR LETE KASH ..

GHAZAL HAI SHAHR-E-TAMADDUN ME AAJ BHI MUKHLIS..

TAMEEZ-E-SHER-O-SUKHAN HAI TO SHAYARI MUKHILS..
GHAZAL HAI SHAHR-E-TAMADDUN ME AAJ BHI MUKHLIS..

HAWAS KE PANKH KATARTI HAI MUFLISI HAR WAQT.
MIRE LIYE TO HAI JESE SITAMGARI MUKHLIS---

GUMAA'N KI DHOOL HATATI HAI DIL KE SHEESHE SE.
MUJHE TO LAGTI HAI APNI HI SHAYRI MUKHLIS---

FARAR HO GAYI ZINDAN-E-JISM SE IK ROZ.
KABHI HUI N HAMARE YE RAUSHNI MUKHLIS---

BHATAK RAHE HAI,N SIYASI DAYAR ME HAM LOG .
KI AB TO LAGNE LAGI HE YE BE DARI MUKHLIS---

HAI GUMRAHI SE BACHANA HI MAQSAD-E_AWWAL .
TABHI TO KAHTA HAI MUJHSE KHARI KHARI MUKHLIS---

KISI KISI KO HAI AURANGZEB SE NISBAT .
KISI KISI KE LIYE RANG-E-SARMADI MUKHLIS---

SADAQATOO,N KA AMEE'N HUN YE BAT JANTE HO.
MAIN KAISE KAH DUN KI HAI KEENA PARWARI MUKHLIS---

TAMAM KHAMA-FAROOSHOO,N KI BHEED THI HAR SAMT.
NAHI,N HAI SHAHER-E-GHAZAL ME IK AADMI MUKHLIS---

TALLUQAT KI CHADAR UTAR DI ME'NNE .
MUJHE BHI LAGNE LAGI APNI BARHAMI MUKHLIS---

KISI KE BARE ME ACHCHA WO KAISE SOOCHEGA .
KABHI HUA NAHIN APNA JO AADMI MUKHLIS---

WO MERE QATL KA SAMAAN KAR RAHA HAI SHAUQ .
JO MUJHSE KAHTA RAHA, MAIN HUN WAQAI MUKHLIS---

ghazal .....HAI JINKO APNE DAUR KII NEEYAT PA AITRAZ --

HAI SINFE SHAYREE KI HIKAYAT PA AITRAZ
YAANI KI HARF HARF KI HURMAT PA AITRAZ

ZANJEER E AAGAHI KI TAHARAT PA AITRAZ
ZINDAA'N MEN BHI KHAYAL KI WUS-AT PA TRAZ

HAM HAI,N HUSAINIYAT KE PARSTAR HAMKO HAI -
AB BHI YAZEED-E-WAQT KI BAIYAT PA AITRAZ --

HAR BAR MUJHSE JANG ME KHATA RAHA SHIKAST-
DUSHMAN KO PHIR BHI HAI MIRI HIMMAT PA AITRAZ --

KHALIQ TUMHARE NOO R KE MUNKIR HAI,N AAJ BHEE-
RAKHTE HAI,N QALB KI JO TAHARAT PA AITRAZ --

MAI,N BHII AMEER-E-SHER-O-SUKHAN HUN MUJHE BHI HAI-
ALFAZ KI GIRI HUI SEHHAT PA AITRAZ --

KHANABADOSH GHOOM RAHI THIN SHARAFTE,N-
HAI JINKO APNE DAUR KII NEEYAT PA AITRAZ --

HASSAS HAIN HAREEF-E-SUKHAN SANJ HAI,N JINHEN-
DAST-E-NAWAYE-SANG-E-MALAMAT PA AITRAZ --

HAM HAI,N NAYE ZAMANE KE LEKIN HAME,N TO HAI-
IKHLAQ KI GIRI HUI QEEMAT PA AITRAZ --

INSAF KII TALAB ME GANWATE HAI,N APNI UMR-
MAULA JINHE,N HAI TEERI MASHIIYAT PA AITRAZ --

SHAHR-E-BUTA,N ME HAI,N JO RAWAYAT PASAND LOG-
KARTE HAI,N BAS WAHI MIRI JIDDAT PA AITRAZ --

WAQIF NAHI,N HAI,N ILM KI BAREEKIYAOO,N SE WO-
KARTE NAHI,N JO APNI JIHALAT PA AITRAZ --

ASHK-E-GHAME HAYAT BARASTE TO HAI,N MAGAR-
BADAL KO HAI ZAMEEN KII HIDDAT PA AITRAZ --

HAN MUFLISI GUNAH BANI HAI... JABHI TO HAI -
OONCHI HAWELIYOO,N KO MIRI CHAT PA AITRAZ --

CHOODI NAHI,N HAI AAPNE SACH BOOLNE KI ZID-
IS DAUR KO HAI AAPKI AADAT PA AITRAZ --

FIRQA PARAST ZEHNOO KO RAHTA HAI UMR BHAR--
AADAM ME ITTIHAD KI KHASLAT PA AITRAZ --

ghazal....dhoop mein jal ke wo tasveer bhi kali hui hai


DHO KE ASHKON SE KAI BAR UJALI HUI HAI ..
DHOOP ME JAL KE WO TASVEER BHI KALI HUI HAI ..

MAIN GIROONGA TO ISI KHAK SE UTHTHEGA KOI .
HAQ PARASTON SE YE DUNIYA KABHI KHALI HUI HAI ..

LAKHNAW NAZ HAI JIS PAR WAHI KOHANA TAHZEEB .
HAMNE WARSE ME SALEEQE SE SANMBHALI HUI HAI ..

KHAK ME MIL GAYA JAB ROOH KA KHALI PINJRA .
MANSAB E ISHQ PE PHIR APNI BAHALI HUI HAI ..

APNE HUJRE SE NIKAL AAI SUKHAN KI DEVI .
ABKE TAKHLEEQ HI KUCH AISE NIRALI HUI HAI ..

DASHT E WAHSHAT KA KOI KHAUF NAHIN HAI HUMKO .
SAB BHULA DENE KI TADBEER NIK LI HUI HAI ..

TERE JAISA KAHIN KOI NAHIN HAI JANAN .
HAMNE AAFAQ KI MANZIL BHI KHANGALI HUI HAI ..

MERE IS SHER PE SAR DHUNTI RAHENGI SADIYAN .
IS ME TIMSALGIRI DEKHNE WALI HUI HAI ..

HAAN MI RI FIQR ALAG HAI TO SABAB HAI ISKA .
DARD KE CHULEHE PE SAU BAR UBALI HUI HAI ..

APNA HAQ MANGNA HAKIM SE BAGHAWAT HAI MAGAR .
YE RAWAYAT BHI HAMARE HI TO DALI HUI HAI ..