शनिवार, 3 नवंबर 2012

ghazal .....HAI JINKO APNE DAUR KII NEEYAT PA AITRAZ --

HAI SINFE SHAYREE KI HIKAYAT PA AITRAZ
YAANI KI HARF HARF KI HURMAT PA AITRAZ

ZANJEER E AAGAHI KI TAHARAT PA AITRAZ
ZINDAA'N MEN BHI KHAYAL KI WUS-AT PA TRAZ

HAM HAI,N HUSAINIYAT KE PARSTAR HAMKO HAI -
AB BHI YAZEED-E-WAQT KI BAIYAT PA AITRAZ --

HAR BAR MUJHSE JANG ME KHATA RAHA SHIKAST-
DUSHMAN KO PHIR BHI HAI MIRI HIMMAT PA AITRAZ --

KHALIQ TUMHARE NOO R KE MUNKIR HAI,N AAJ BHEE-
RAKHTE HAI,N QALB KI JO TAHARAT PA AITRAZ --

MAI,N BHII AMEER-E-SHER-O-SUKHAN HUN MUJHE BHI HAI-
ALFAZ KI GIRI HUI SEHHAT PA AITRAZ --

KHANABADOSH GHOOM RAHI THIN SHARAFTE,N-
HAI JINKO APNE DAUR KII NEEYAT PA AITRAZ --

HASSAS HAIN HAREEF-E-SUKHAN SANJ HAI,N JINHEN-
DAST-E-NAWAYE-SANG-E-MALAMAT PA AITRAZ --

HAM HAI,N NAYE ZAMANE KE LEKIN HAME,N TO HAI-
IKHLAQ KI GIRI HUI QEEMAT PA AITRAZ --

INSAF KII TALAB ME GANWATE HAI,N APNI UMR-
MAULA JINHE,N HAI TEERI MASHIIYAT PA AITRAZ --

SHAHR-E-BUTA,N ME HAI,N JO RAWAYAT PASAND LOG-
KARTE HAI,N BAS WAHI MIRI JIDDAT PA AITRAZ --

WAQIF NAHI,N HAI,N ILM KI BAREEKIYAOO,N SE WO-
KARTE NAHI,N JO APNI JIHALAT PA AITRAZ --

ASHK-E-GHAME HAYAT BARASTE TO HAI,N MAGAR-
BADAL KO HAI ZAMEEN KII HIDDAT PA AITRAZ --

HAN MUFLISI GUNAH BANI HAI... JABHI TO HAI -
OONCHI HAWELIYOO,N KO MIRI CHAT PA AITRAZ --

CHOODI NAHI,N HAI AAPNE SACH BOOLNE KI ZID-
IS DAUR KO HAI AAPKI AADAT PA AITRAZ --

FIRQA PARAST ZEHNOO KO RAHTA HAI UMR BHAR--
AADAM ME ITTIHAD KI KHASLAT PA AITRAZ --

कोई टिप्पणी नहीं: