शुक्रवार, 9 नवंबर 2012

DIYA KISI KA BHI RAHTA NAHIN KABHI MAHFOOZ ..

HAR IK MAQAM PA JAB TU HAI WAQAI MAHFOOZ ..
TO PHIR YE KAISE HAI ZEHNOO,N ME GUMRAHI MAHFOOZ ..

BINA HAWA KE BHI BUJHNA HAI EK DIN USKO .
DIYA KISI KA BHI RAHTA NAHIN KABHI MAHFOOZ ..

TO KHUD KUSHI N KARO MASALE KA HAL DHOONDHO.
JAHAN KE BAD BHI RAHTI HAI ZINDGI MAHFOOZ ..



KI MOR JHOOM KE NAACHE HAI BHEEGTE BAN ME .
RAKHO TO AISE RAKHO DIL KI HAR KHUSHI MAHFOOZ ..



HAI APNI MAUT KI AAHAT PA ROOH PHIR KHANDA,N.
BICHAD KE BHI THI YE PREETAM SE BAWALI MAHFOOZ ..



JAHAN-E-GUMSHUDGAA,N KE MAKEEN HAI,N SAARE .
YAZEED HO KI HO FIRAUN HAI KOI MAHFOOZ ..



HAI MERE JISM ME TERE HI NOOR KA PARTAV .
ISE TO RAHNA HAI MARNE KE BAD BHI MAHFOOZ ..



N KOI KHARJI MISRA N HI KOI MAFHOOM .
HAMRE SHEROO,N ME HAI FIKR-E-DAKHILI MAHFOOZ ..



KAHI,N JAHA,N ME THIKANA NAHIN MILA ISKO .
HAMRE GHAR ME HI RAHTI HAI MUFLISI MAHFOOZ ..



MITHAS ITNI BHARI HAI ZABAN-E-URDU ME .
JABHI HAI ISME BALA KI SHAGUFTGI MAHFOOZ ..



NIKAL TO AAYE HAI,N JANGAL SE SHAHER ME LEKIN.
TAMAM SHAHER ME AB TAK HAI,N JANGLI MAHFOOZ ..



BACHANE WALE SE KAMTAR HAI MARNE WALA .
JABHI HAI SHAHER-E-SITAMGAR ME ZINDGI MAHFOOZ ..



WO BANT TA HAI UJALE TAMAM DUNIYA KO .
HAI JISKI PUSHT PA SADIYOO,N KI TEERGI MAHFOOZ ..



KHUSHI ILAQ-YE-DIL SE NAHIN GUZARTI HAI .
N WO YAHAN HAI N AB USKI YAD HI MAHFOOZ ..



KHUDA NE TUMKO BANAYA HAI AFZALUL -MAKHLOOQ.
TO KISNE ZEHN ME RAKHKHI DARINDGI MAHFOOZ ..



ZAMEEn-E-FIKR ME BOTA HUN ROZ TUKHM -E-NAU.
JABHI TO GHAZLOO,N ME RAHTI HAI TAZGI MAHFOOZ ..



N RAH SAKI TIRI AANKHOO,N ME PYAR KI KHUSHBOO.
N AB BACHI MIRE SEENE ME AAG HI MAHFOOZ ..



TAMAM SHAHER SE ZINDA DILI NADARAD HAI .
BAGHAIR USKE N DIN HI N RAAT HI MAHFOOZ ..



JANAB AAPNE KAISA SAWAL POOCHA HAI .
WABA-YE -FIRQA PARASTI ME AADMi MAHFOOZ ..



HAI SIRF WIRD-E-ZABAA,N NAM IK TIRA MALIK.
N KOI DAWA E SAJDE NA DAGH HI MAHFOOZ.....

कोई टिप्पणी नहीं: