शनिवार, 3 नवंबर 2012

ghazal....dhoop mein jal ke wo tasveer bhi kali hui hai


DHO KE ASHKON SE KAI BAR UJALI HUI HAI ..
DHOOP ME JAL KE WO TASVEER BHI KALI HUI HAI ..

MAIN GIROONGA TO ISI KHAK SE UTHTHEGA KOI .
HAQ PARASTON SE YE DUNIYA KABHI KHALI HUI HAI ..

LAKHNAW NAZ HAI JIS PAR WAHI KOHANA TAHZEEB .
HAMNE WARSE ME SALEEQE SE SANMBHALI HUI HAI ..

KHAK ME MIL GAYA JAB ROOH KA KHALI PINJRA .
MANSAB E ISHQ PE PHIR APNI BAHALI HUI HAI ..

APNE HUJRE SE NIKAL AAI SUKHAN KI DEVI .
ABKE TAKHLEEQ HI KUCH AISE NIRALI HUI HAI ..

DASHT E WAHSHAT KA KOI KHAUF NAHIN HAI HUMKO .
SAB BHULA DENE KI TADBEER NIK LI HUI HAI ..

TERE JAISA KAHIN KOI NAHIN HAI JANAN .
HAMNE AAFAQ KI MANZIL BHI KHANGALI HUI HAI ..

MERE IS SHER PE SAR DHUNTI RAHENGI SADIYAN .
IS ME TIMSALGIRI DEKHNE WALI HUI HAI ..

HAAN MI RI FIQR ALAG HAI TO SABAB HAI ISKA .
DARD KE CHULEHE PE SAU BAR UBALI HUI HAI ..

APNA HAQ MANGNA HAKIM SE BAGHAWAT HAI MAGAR .
YE RAWAYAT BHI HAMARE HI TO DALI HUI HAI ..

कोई टिप्पणी नहीं: