मंगलवार, 21 अप्रैल 2015

EK NAZM----Tumhare khwaab tumhare khayaal taza hai,n-

Hawa ka lams
tiri yaad kyun dilata hai ?
ye soochta hun to kuch bhii samjh nahi,n aata
bichad chuka hun mai,n tujhse kai baras pahle
magar ye gham bhii mujhe gham nahi,n laga ab tak
juda to jism huye dil kabhii juda n hua
to phir judai ka mafhoom hi ghalat thahra
yahi sabab hai
ki mai,n mutmain hun zindaa,n me
hawa ko qaid me rakh hi nahi,n saka koi
ham aur tum bhii to ik roz khud hawa honge
aur uske bad hamara milan yaqeeni hai
so mere zehn ki wadi me
dil ke sahera me
tumhare khwaab tumhare khayaal taza hai,n------

कोई टिप्पणी नहीं: