रविवार, 24 फ़रवरी 2013

khak khud paan,o choomti hai janab.


main use dhoondhta raha hun aur ..
.wo mujhe dhoondhti rahi hai janab..

 main to nikla hun janib-e-manzil ...
khak khud paan,o choomti hai janab.

takh gaye log so gayi,n aankhen .
..bazm veeran ho gayi hai janab..

mere ghar tak to aai thi lekin .
.maut bahar hi ruk gayi hai janab..

khoon peete hain aaj ke bachche .
.ye shikayat to aapki hai janab..

aap kahte rahe,n ghazal ke sher
.. maine to fasl kat di hai janab ..

roz kahta hun main naye ashaar ........
..bhook ummeed se badi hai janab..

kis tarah se bujhaun main isko..
aag seene me jo lagi hai janab..

jagne ka sabab bhi hai ayuob ___
ya yunhi neend ud gayi hai janab..

roz hota hai raushni ka raqs .
.phir bhi gulshan me teergihai janab..

bhook ne cheen li hai beenai ..
 fikr -e-uqba to kho gayi hai janab....

कोई टिप्पणी नहीं: