शुक्रवार, 27 फ़रवरी 2015

NAZM-- SULAG RAHE HAIN BADAN KE ALAAO HAR JANIB ! ---------------------------------------------------------------------------


HAWA-E-SARD TIRA RAQS HAI BALANDI PAR
FAZA ME TAIR RAHE HAI,N GHAZAB KE SANNATE
TAMAM AAG DHUNAA,N KAR RAHI HAI HAR JANIB
MAGAR LAHU ME HARARAT TOBHAR RAHI HAI ABHI
HAMARE AHED KOJISKI BADI ZAROORAT HAI
HARARATOO,N SE GUREZAA,N RAHI HAI NASL-E-NAU
RAWAYATOO,N KE TAHAFFUZ KA JAM PEETE HUYE
NAI RUTOO,N PA MUSALLT AZAAB KI SURAT
PURANI FIKR KE JALOO,N ME PHANS GAYI THI UMMEED
SO USSE BACHNE KI KOOSHISH BAHUT ZAROORI HAI
RUKE HUYE HAIN ZAMI,N PAR HAM EK MUDDAT SE
SO APNE HONE KA EHSAS BHII KARANA HAI
NADI KE PANI SA BAHNA HAI HAMKO JEEVANME
THAHER GAYE TO KISI KAM KE RAHENGE NAHIN
YE RAZ KHUL HI GAYA HAI HAMARI KAVISH SE
ISI LIYE TO JALAI HAI HAMNE AATISH-E-NAU
AB ISKI AANCH ME ZINDA-DILAN-E-SHAHER-E AMAA,N
QALAM UTHA KE BHARENGE HAYAT ME NAVRANG
TUMHARAI AANKH BHII KHUL JAYE TO IDHAR DEEKHO
SULAG RAHE HAIN BADAN KE ALAAO HAR JANIB--!

कोई टिप्पणी नहीं: