गुरुवार, 26 मार्च 2015

BAHUT ACHCHE SHAYAR_ NAZIM _NAZIM _DOST IMRAN ANWARVI KE ACHANAK SHANT HOJANE PAR----EK NAZM-- ``umeed

UDASIYOO,N KA SAMNDAR UROOJ PAR HAI ABHII
PHIR IK HAYAT KI KASHTI HAI GHARAQ PANI ME
SISAK RAHI HAI FAZAOO,N ME RAUSHNI KII LAKEER
SIYAHIYOO,N KE NAGAR ME HAI GUMSHUDA UMMED
UFUQ PA JALTE DIYE KO BHII KHA GAYE BADAL
AZAAB JAISA HUA DIN PAHAAD JAISI RAT
QALAM SE APNE DILASE KE GEET KAUN LIKHE
MAI,N APNI AANKH KE AANSU BAHA NAHIN SAKTA
TUMHARARI YAD KO SEENE ME PAL RAKHKHA HAI
YAHI ASAASA MIRI ZINDGI KA HASIL HAI
YE BEH GAYA TO MIRI ZINDGI BACHEGI NAHI,N !
WO ZINDGI SE BHARA HANSTA KHEELTA IK SHAKHSH
WO USKA RANG-E-SUKHAN WO NIZAMTE,N USKI
DAYAAR-E-ZEHN ME ZINDA RAHENGI AAKHIR TAK
WO CHAL PADA HAI ACHANAK NAYE SAFAR KE LIYE
AB USKI ROOH HAI AAMAAL-E-NEK SATH LIYE
YE WO SAFAR HAI JO SABKE LIYE ZAROORI HAI
TO IS SAFAR KII PRESHAANIYOO,N SE DAR KAISA ?
AB APNE AZM KO BHII MOTBAR BANAYA JAYE
KI YE SAFAR BHII HO AASAN ROOH-E-INSAA,N PAR
BHREGA PHIR SE KOI ZINDGI KA MASHKEEZA
YAHI UMMEED HAI GETI PA PHOOL KHILNE TAK--

कोई टिप्पणी नहीं: