MERA MOHSIN ABHI NAHIN AAYA
-DHOOP KHUMBHLA GAYI HAI FURQAT SE-
HAM SABHI KO HAWAS HAI DUNIYA KI-
KOI BACHTA NAHIN BURI LAT SE-
MUJHKO MANZIL PUKARTI HAI JAB-
AABLE DEKHTE HAIN HAIRAT SE
DIL JALAYA THA MAINE DHARTI PAR
JHUK GAYA AASMAN HAIRAT SE
KHUSHBUYE,N RAQS PAR HAI,N AAMADA
GHAR ME SAB NOOR HAI IBADAT SE
APNI JANNAT BANAI HAI MAINE
-GHAR ME QURAAN KI TILAWAT SE
YE TO BANJAR ZAMEEN THI ISME
PHOOL MAINE UGAYE MEHNAT SE
MAIN TO BE KHAUF BOOLTA HUN SACH
-LOG DARTE HAIN MERI HIMMAT SE
USKE SAPNE KHAREED LAYA MAIN-
SIRF TANHAIYOO,N KI DAULAT SE
SAIKDOO,N AANGNOO,N KE DEEPAK WO_
KYUN BUJHATA HAI APNI NAFRAT Se
MUJHKO ROOKE HAI MERI MAJBOORI _
KHELTE HAI,N WO MERI GAIRAT SE
DEEKH FAULAD GAL BH I SAKTA HAI
---AANKH KE AANSUON KI TAQAT SE
AAJ HAI DUSHMANI PA AAMADA-
KAL PATANGE,N UDAI,N JIS CHAT SE
KHAWAB AANKHOO,N SE HO GAYE RUKHSAT
-WO BHI GHABRA GAYE QANAAT SE
LOG SAMJHENGE BUZDILI SO MAIN
DOOR RAHTA HUN AB SHARAFAT SE
AAP MUJH KO SHIKAST KYA DEENGE
HAUSLA MIL RAHA HAI DIQQAT SE
DIL ME KHANJAR WAHI UTAREGA -
-MUJHSE MILTA HAI JO MUHABBAT SE
FIKR KE PAAN,O RUK NAHI,N SAKTE
-AASMAA,N PAS HAI MIRI CHAT SE
MERE LAFZOO,N ME JAAN HAI SARI
MERE MAULA TIRI INAYAT SE
ZINDGI BHEEK ME MILE TO PHIR -
-NOCH KAR PHAINK DUN HIQARAT SE
SEHN-E-GULSHAN ME TAZGI KYA HO-
PHOOL MURJHA GAYE SIYASAT SE
DAUR-E-HAZIR ME SHAUQ SAHIB AB
-KAM CHALTA NAHI,N SHARAFAT SE
USNE PAIROO,N ME RAKH DIYA HAI SIR
-WO BHI WAQIF HAI MERI AADAT SE
कोई टिप्पणी नहीं:
एक टिप्पणी भेजें