मंगलवार, 21 अप्रैल 2015

EK NAZM----HASIL KA ANAND UTHAYE,N-

AAJ ACHANAK 
SOOCH RAHA HUN
JEEVAN KA HASIL HI KYA HAI
DUNIYA ME AANA AUR AAKAR ISE KAMANA
DAULAT AUR ASBAAB BANANA
LEKIN DUNIYA CHAND DINOO,N KA KHAIL HAI PYARE
PHIR HASIL SE KAISA MATLAB ?
HASIL KAB HOTA HAI KUCH BHII
SAB KUCH YAHI,N PADA RAHTA HAI
PHIR YE JHAGDE KYUN HOTE HAI.N ?
SAB KUCH HASIL KARNE KI BEJA CHAHAT ME
LOG ZINDGII KHO DETE HAI,N
MAHROOMI UNKA ZEWAR BANTI JATI HAI
AUR HOSH AATA HAI JAB TO
KOOCH KA DIN BHII AA JATA HAI
LEKIN KUCH TO AISE BHII HAI,N
JINKO HOSH NAHI,N AATA HAI
BEHOSHI ME ZINDA RAHKAR
BEHOSHI ME MAR JATE HAI,N
YE UQDA JAB KHULA HUA HAI
TO PHIR HAM BHII
AB ISSE FAYDA UTHAYE,N
NEKI KARE,N KAMAYE,N NEKI
HASIL KA ANAND UTHAYE,N-----

कोई टिप्पणी नहीं: