मंगलवार, 21 अप्रैल 2015

NAZM ----- MARKAZ

Ye meri fikr kii
raftar ko shikan de kar
ye kaun hai jo chala ja raha hai su-e-falak
ye rahguzar sa banata har ek manzil ko
sab aasmanoo,n pa apne qadam badhata hua
hayat-o-maut ke sangam ke geet gata hua
masaratoo,n ki qabaye,n hawaoo,n ne pahni,n
diloo,n ke bujhte diye
phir se ho gaye raushan
wo raushni hai ki zulmat shikasht khurda hai
tulooh hone lage hai,n naye naye imkaan
ye kaun hai main yahi soochta hun
barambaar
ye dayra hai jo ik raushni ka kaun hai ye ?
mai,n apne aap se bahar hun
deekhta ye hun
sukhan ko zarb lagi hai
badan bhii sakit hai
dimaagh sunn hai aankhe,n khuli hai,n hairat se
so ab khula ki
ye jo raushni hai mahw-e-Safar
ye aur koi nahin hai
wajood main mera
jo phir rawana huaa
raushi ke markaz ko---------------------------------

कोई टिप्पणी नहीं: