शनिवार, 12 जनवरी 2013

ghazal....THAK GAYE HAI,N MIRE ASHAAR CHURNE WALE..

TERI AANKHOO,N DE CHALKATI HUI SAHBA PI KAR
MAIKADA BHOOL GAYE MAIKADE JANE WALE



 SHER KAHNE ME ABHI TAK HUN MAIN PAHLE JAISA . 
THAK GAYE HAI,N MIRE ASHAAR CHURNE WALE..

GHAR KI MAHDOOD FAZAOO,N SE NIKAL KAR DEEKHO. 
SHAHER ME GHOOMTE HAI,N AAG LAGANE WALE 

husn ko apne kisi taraha chupakar rakhkhoo
. aag bahte huye paani me lagne wale .

MAIL TO MAN KA KISI TAUR NAHI'N DHULNE KA .
 BAT YE JAAN  LO GANGA ME NAHANE WALE

 aaj phir khwaab se veeran hui hai,n aankhen.... 
khawab ab inme nahi,n laut ke aane wale 

KYUN MUJHE CHHOD GAYA GOSH _E _GUMAN MEIN 
. MERI AAWAAZ SE AAWAAZ MILANE WALE ..

deekhNa mulk ka itihas likhenge ik din 
. patiyaa,n sooki hui hans  ke chabane wale

 jane us shaher ki galyoo,n mein  kashish kaise hai. 
laut kar phir nahi,n aate kabhi jane wale .

PATHTHAROO,N TUMKO UCHALNE KI BURI AADAT HAI.
 DEEKHTE HO KI HAI,N PHAL SHAAKH PE AANE WALE .

 KAL ISI KHAAQ KA WO RIZQ BANENGE AYE SHAUQ .
 AAJ SOORAJ HAI,N HATEELI PE UGANE WALE ..

rasta deekhti aankhoo,n ki qasam hai tumko .
. laut bhi aana mujhe chhood ke jane wale

AAG JANGAL KE DARKHTOO,N ME LAGATE KYUN HAI,N . 
AAM KE PED KO GAMLE ME LAGANE WAALE ..

 deekhta rahta hun main roz isi basti mein
 . hath aai hui daulat ko ganwane wale..

कोई टिप्पणी नहीं: