शुक्रवार, 4 जनवरी 2013

KHUDI PA HAMNE LAGAYA HAI BE-KHUDI KA WARAQ .

HAMARI AQl-O-KHIRD PAR HAI GUMRAHI KA WARAQ .. 
KHUDI PA HAMNE LAGAYA HAI BE-KHUDI KA WARAQ .. 

JO KAH RAHA THA PADHA DUN MAI,N AAGAHI KA WARAQ .. 
WO PADH N PAYA KHUD APNI HI ZINDGI KA WARAQ .. 

KABHI MAI,N TOD SAKUNGA MUSEEBATOO,N KA HISAR.
KITAB-E-ZEEST ME HAI HI NAHI,N KHUSHI KA WARAQ ..

UNHE,N ANDHEEROO,N ME MAINE BHI ZINDGI KAR LI .
CHARAGH LIKHTE RAHE JIS SE TEERGI KA WARAQ ..

ZABAN USNE BHI KHOLI NAHI,N HAI ABKE BAR .
CHADHA KE BAITH GAYA MAI,N BHI KHAMUSHI KA WARAQ ..

KAHI,N SE DEEKH LO TUM BHI HAMRI TAHREERE,N .
HAMARI FIKR ME RAHTA HAI TAZGI KA WARAQ ..

HAMRI NASL KI TAREEKH KO SIYAAH KIYA .
LIKHA HAI DILLI ME JISNE DARINDAGI KA WARAQ ..

HAMARI FIKR KA TEEZAB GIR GAYA TO PHIR .
TUMHARI FIKR SE MIT JAYEGA KHUSHI KA WARAQ ..

LAB-E-FURAT WAHA,N KARBALA ME LIKHKHA HAI .
HUSINIYAT KE LAHU SE BHI TASHNAGI KA WARAQ ..

RAKHA HAI KISNE HATHELI SE NEELE AMBAR PAR .
SIYAH RAAT KE MAHTE PA CHANDNI KA WARAQ ..

AJEEB SHAKHS HAI KIS DAYRE ME RAKHKHA JAYE.
JO DOOSTI PA LAGATA HAI DUSHMANI KA WARAQ ..

YE DIL KA ZAKHM BHAREGA NAHI,N KISI BHI TARAH.
HAZAAR AAP LAGAYE,N TAWANGARI KA WARAQ ..

BUJHE BUJHE HUYE CHEHROO,N PA LIKH DIYA IS BAR.
ZABAN-E-URDU SE MAINE SHAGUFTAGI KA WARAQ ..

GUNAAHGAR NAZAR KA FAREEB TO DEEKHO .
USE PASAND N AAYA KABHI KISI KA WARAQ ..

TAL LUQAT KE NEEZE KI ZAD ME JAB AAYA .
KHULA HAI MUJH PA USI ROZ DOSTI KA WARAQ ..

WO LE GAYA THA NUMAISH KE WASTE MUJHKO .
SADAN ME USKO DIKHANA THA MUFLISI KA WARAQ ..

कोई टिप्पणी नहीं: