मंगलवार, 29 जनवरी 2013

KAI PARINDE PAREESHAA,N HAI,N BAL-O-PAR KE LIYE ..

MIRA TO AZM BAHUT HAI MIRE SAFAR KE LIYE ..
KAI PARINDE PAREESHAA,N HAI,N BAL-O-PAR KE LIYE ..

UDAS NASLOO,N NE DEEKHE HAI,N QAHQAHOO,N KE KHWAB.
TARAS RAHE HAI,N JO TABEER-E-MAOTBAR KE LIYE ..

HAR IK CHARAGH KO BUJHNA HAI EK MUDDAT BAD .
HAR EK NAO BANI GAYI BHANWAR KE LIYE ..

ABHI TO SIRF IRADA KIYA HAI SAJDE KA .
HAZAR NEZE LAPAKNE LAGE HAI,N SAR KE LIYE ..

KASHEED KARTA HUN LAFZOO.N SE FIKR KI KHUSHBOO.
KI YE HUNAR BHI ZAROOI HAI IS HUNAR KE LIYE ..

YE MASALA BHI MIRE MAUT NE KIYA AASAN .
TARAS RAHA THA BAHUT DIN SE EK GHAR KE LIYE ..

YE KISKE PAAN,O PADE HAI,N YE KAUN AAYA HAI .
ZAMI,N KE BOSE FARISHTOO,N NE JO UTAR KE LIYE ..

TAMAM SHAHER ME BIKHRI HUI THI TANHAI .
JISE SAMEET KE LAYA HUN APNE GHAR KE LIYE ..

कोई टिप्पणी नहीं: